Page 1 of 1

Rimjhim Rimjhim Saawan Barse.......

Posted: Mon Mar 17, 2008 6:11 pm
by munir-armaan-nasimi
Pyare Saathiyo!

Ek aur Geet....
Rimjhim Rimjhim Saawan Barse....
aapke saamne hai...

Zindagi ke kisi na kisi mod pe
Aap sab Rimjhim Rimjhim Saawan ka...
Lutf Uthaa Chuke honge....
Kisi ne kaha...
Aaya Saawan Jhoom Ke !!
To Kisi ne.....
Aag Laga Do Saawan Ko !!

Ab ye dekhna hai ke aapko ye saawan kaisa laga???

'Armaan'

Posted: Tue Mar 18, 2008 12:28 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Naseemi SaaHib tasleemaat!

kaese mizaaj haiN? aap kee kheriyat kee fikr rehtee hai.
aap kee naz^m dekhee lut^f aageyaa. kiyaa kehneY achchee koshish hai. Allah ta'alaa aap ke bayaan meN barakat a't^aa faraata chalaa jaeY.

meree jaanib se is khubSurat naz^m par dilee daad qubool keejiye.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Posted: Tue Mar 18, 2008 4:33 pm
by munir-armaan-nasimi
BAHUT BAHUT SHUKRIYA MUZAFFAR BHAI SAAHEB..... AAPKO GEET PASAND AAYA..... MERI MEHNAT WASOOL HO GAYI......!!

KAISE HAIN AAP???? SHAYAD EK MAHINE BAAD AAPNE MERI KISI TAKHLEEQ PE TABSERA SE NAWAZA HAI..... AUR HAAN AAP NE ABHI TAK NAHIN BATAYA KE AAPKO JO "BAIL" MAIN NE BHEJA THA WOHH..... SEENG TO NAHIN MAAR RAHA HAI NA????? YAA AAPNE USKO DOOOR KISI KHOONTE SE BAANDH KAR BHOOOOOOOOOL GAYE HAIN????

KABHI KABHI HUM GHARIBON PE BHI NAZR-E-KARAM KAR DIYA KAREIN BHAI......

'armaan'

Re: Rimjhim Rimjhim Saawan Barse.......

Posted: Wed Mar 19, 2008 6:53 am
by munir-armaan-nasimi
sara_j wrote:
munir-armaan-nasimi wrote:Pyare Saathiyo!

Ek aur Geet....
Rimjhim Rimjhim Saawan Barse....
aapke saamne hai...

Zindagi ke kisi na kisi mod pe
Aap sab Rimjhim Rimjhim Saawan ka...
Lutf Uthaa Chuke honge....
Kisi ne kaha...
Aaya Saawan Jhoom Ke !!
To Kisi ne.....
Aag Laga Do Saawan Ko !!

Ab ye dekhna hai ke aapko ye saawan kaisa laga???

'Armaan'
Salaam Armaan,

"Rinjhim Rimjhim saawan barse" hyderabad ki saqt garmi mein aapki nazm ke unwaan ne

kuch tabiyet mein rahat paida kardi aur kuch dair sawan ke maze se lutfandoz houne

ka mauqa diya. mujhe tou aapki tehreerein bohat pasand aati hain aur ye nazm bhi bohat pasand aayi.

meri jaanib se is purlutf tehreer per daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

aapki kitab "Aa bail mujhe maar" meri ammi ko bohat pasand aayi jo main unhe akser paRh ker

sunati rehti hoon, aur aapki tou ammi se achi khaasi waqifyet hougayi hai, aur hum aapki

kitab per likheinge tou US wapasi ke baad hi :-)

sara

sara jee... India ki sakht garmi se kuch lamhon ke liye bhi agar aapko rahat mili hai (aur baqaul aapke mere Geet se) to main apne aap ko khush-naseeb samjhoonga.... Aap hamesha meri tehreeron ko sarahti hain aur meri hausla afzaayi karti hain... es ke liye main bhi aapka hamesha mamnoon rahoonga.

Aur rahi baat meri kitaab "aa bail mujhe maar" kii to..... Khuda ka laakh laakh shukr hai ke meri kitaab Ammi ko bhi pasand aa gayi hai.... Haan main jab bhi aapki 'Ammi' se phone pe baatein karta hoon to ek sokoon ki lehar mere rooh ki gehraayion tak utar jaati hai...... aap ko pata hai ke main MAA ko....... KHUDA ke baad sab se ziyada ahmiyat deta hoon......... Aap mera wohh GEET....... "Maa Khuda kii Azeem Nemat Hai"......... jaroor padhi hongi........

MAA..... ye Dhaayi aksar ka Shabd.... apne andar itni wisat rakhta hai ke puri Kaainaat sama jaaye......
MAA..... wo chaahe kisi ki bhi ho...... koi bhi ho.......
Hindu ki, Muslim Ki....... Buddh, Jain, Sikh ya Christian ki MAA...
MAA........ MAA hoti hai......
Hamein Takhleeque karti hai........
Hamein Parwaan Chadhati hai...........!!

I have great respect for "MOTHER" in my heart. I love my Ammi more than God...... Main ne Khuda ko nahin dekha.... agar uski koi shakl o soorat hoti (Aisa sochna ya kehna........ Hamare Mazhab main Kufr hai) to........ main samajhta hoon keh wohh Meri Maa..... se behtar nahin hota.

Mujhe aapke "Tabserah" ka shiddat se intezaar rahega.

Munir Armaan