Page 1 of 1

tazah Ghazal pesh-e-khidmat hai.

Posted: Tue Mar 18, 2008 5:12 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]Yaaraan-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat! :-)

khaadim kee jaanib se chand she'er pesh kiye jaate haiN. is ummeed-o-yaqeen ke saath keh aap eHbaab-e-shaoq inheeN pasand farmate huwe apnee apnee aara' se bhee aagah farmaeeN geY. mulaHiZ^ah farmaiye.

Ghazal

1,
sadaa yahee pech-o-taab ho gaa
yaqeen-e-manzil saraab ho gaa!


2,
jise milaa nah sukoon aakhir
Ghareeq-e-jaam-e-sharaab ho gaa!


3,
rah-e-tamannaa meN ma'tabar hai
jo jitnaa khaanah kharaab ho gaa!


4,
ba chashm-e-pur aab beh geyaa hai
jigar kahaN baaziyaab ho gaa!


5,
jo kaam aaeY gaa waqt-e-rukhSat
yahee miraa iZ^tiraab ho gaa!


6,
jo khud shanaasee kaa jaam pee leY
woh Aadamee kaamyaab ho gaa!


7,
yeh dunya daar-ul-a'mal hai logo
"yaheeN peh rooz-e-Hisaab ho gaa"


8,
jo mujh ko ThukraaY gaa :Muz^affar:
wohee miraa intekhaab ho gaa!

Muz^affar A Muz^affar
[/align]

Re: tazah Ghazal pesh-e-khidmat hai.

Posted: Tue Mar 18, 2008 10:12 am
by jawaid badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]Yaaraan-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat! :-)

khaadim kee jaanib se chand she'er pesh kiye jaate haiN. is ummeed-o-yaqeen ke saath keh aap eHbaab-e-shaoq inheeN pasand farmate huwe apnee apnee aara' se bhee aagah farmaeeN geY. mulaHiZ^ah farmaiye.

Ghazal

1,
sadaa yahee pech-o-taab ho gaa
yaqeen-e-manzil saraab ho gaa!


2,
jise milaa nah sukoon aakhir
Ghareeq-e-jaam-e-sharaab ho gaa!


3,
rah-e-tamannaa meN ma'tabar hai
jo jitnaa khaanah kharaab ho gaa!


4,
ba chashm-e-pur aab beh geyaa hai
jigar kahaN baaziyaab ho gaa!


5,
jo kaam aaeY gaa waqt-e-rukhSat
yahee miraa iZ^tiraab ho gaa!


6,
jo khud shanaasee kaa jaam pee leY
woh Aadamee kaamyaab ho gaa!


7,
yeh dunya daar-ul-a'mal hai logo
"yaheeN peh rooz-e-Hisaab ho gaa"


8,
jo mujh ko ThukraaY gaa :Muz^affar:
wohee miraa intekhaab ho gaa!

Muz^affar A Muz^affar
[/align]

Azeezi Muzaffar SaaHab!
aadaab

Ghazal paRhee. Achchee zubaan. choTee zameeN meN dislkush ashAAr. qawafee bhi bohat dushwaar istaimal kiye haiN. teesra she'r KhuSuSan bohat achcha laga.

ek kaamyaab ghazal per meri daad hazir hai.

Khair andesh,

Jawaid Badauni


Re: tazah Ghazal pesh-e-khidmat hai.

Posted: Wed Mar 19, 2008 5:07 pm
by munir-armaan-nasimi
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]Yaaraan-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat! :-)

khaadim kee jaanib se chand she'er pesh kiye jaate haiN. is ummeed-o-yaqeen ke saath keh aap eHbaab-e-shaoq inheeN pasand farmate huwe apnee apnee aara' se bhee aagah farmaeeN geY. mulaHiZ^ah farmaiye.


Irshaad.... Inayat... Karam... Hum Hama Tan gosh hain Bhai jaan........


Ghazal

1,
sadaa yahee pech-o-taab ho gaa
yaqeen-e-manzil saraab ho gaa!


Bahut Khoob... Wah Wah...
Magar Bhaiya ek baat bataayein.... Ye "pech-o-taab" kis pe hoga??? humne to aapko pahle ye kehte hoye suna tha keh.....

jis din se chala hoon meri manzil pe nazar hai;
aankhon ne kabhi meel-ka-patthar nahin dekha

Aaj ye Na-Ummeedi kyonnnnnnnn
(Joking)


2,
jise milaa nah sukoon aakhir
Ghareeq-e-jaam-e-sharaab ho gaa!


Achcha Sher hai Bade Bhai......!! Daad Haazir Hai.....

Magar.....
Kya yeh Jaroori hai ke wohh "Sharaab" ka hi "Sahara" Le...???
Kabhi Kabhi aadmi kisi aur wazah se bhi be-sukoon ho sakta hai....
Jaise.....

Jo Ess Shor se "Meer" Rota Rahega;
To Hamshaya Kahe ko Sota Rahega
(Joking)


3,
rah-e-tamannaa meN ma'tabar hai
jo jitnaa khaanah kharaab ho gaa!


Masha'Allah.... Aapne mere Dil kii baat keh di....Bahut Khoob...

Aaj hamein hamari "Khaanah Kharaabi" pe "Pyar" aa raha hai...!!
Agar hum khaanah-kharaab na hote to ess sher ko
itni achchi tarah mehsoos na kar paate.....!!
(Joking)



4,
ba chashm-e-pur aab beh geyaa hai
jigar kahaN baaziyaab ho gaa!


To be very honest, main yeh sher samajh nahin paaya....



5,
jo kaam aaeY gaa waqt-e-rukhSat
yahee miraa iZ^tiraab ho gaa!


Bhai jaan... Waqt-e-rukhsat se muraad.... maut hi hai na.....???
To aise main iztiraab kaise kaam aayega???

ya phir main apni na-samjhi ki wazah se ess sher ki gehraayi ko
samajh nahin paaya hoon....
(Joking)



6,
jo khud shanaasee kaa jaam pee leY
woh Aadamee kaamyaab ho gaa!

7,
yeh dunya daar-ul-a'mal hai logo
"yaheeN peh rooz-e-Hisaab ho gaa"

8,
jo mujh ko ThukraaY gaa :Muz^affar:
wohee miraa intekhaab ho gaa!

Muz^affar A Muz^affar
[/align]


Bahut hi umda ghazal hai Bhai jaan...
Daad ke phool haazir hain. Qobool karein....
Aaj jara mood main tha to
kuch funny comments kar diye hain....
Agar bura laga ho to maazerat chaahta hoon.

Posted: Sat Mar 22, 2008 2:34 pm
by Khurshidul Hasan Naiyer
Muhtaram jb. Muzaffar Sahab
Adaab
Pahli bar urdubandhan meN hazir horaha hooN or khushnasibi hai ke aap se hi mukhatib hooN. Ghazal pasand aayi khas kar yeh sher

jo khud shanaasee kaa jaam pee leY
woh Aadamee kaamyaab ho gaa!

kya sacha sher hai waqAee

bahu pasand aaya. daad puri ghazal ke liye qubool kijye

Khurshidul Hasan Naiyer