Page 1 of 1

"Ghazal"

Posted: Wed Mar 19, 2008 10:17 am
by yasir shah
bismillaahillazee khalaqal insaana wa a'llamahul bayaan

HaaZireen maHfil !
salaam hay un ko keh jinhoN ne apnay rabb ke aagay sar-e-tasleem kham kiyaa -

aik mukhtaSar waqfay ke ba'd Phir aik Ghazal liye HaaZir-e-khidmat hooN - auroN ki taHaareer bhi mulaaHiZah se guzartee heN magar basabab-e-qaHt.ul.waqt kuCh liKh naheeN paataa keh is meN bhee saraasar bhalaaee hi bhalaaee hay -

chooNkeh radeef ronay waalee hay liHaaZaa ziyaadah t'ool se parhaiz kiyaa hay -



Ghazal



jee jo ChooT gayaa to ham Zabt' kaa daaman ChoR ke ro.ay
dil jo TooT gayaa to ham saaray bandhan toR ke ro.ay

HaaSil-e-qiblah-o-ka'bah too, ham tujh se rukh moR ke ro.ay
laiken jab eHsaas huwaa teree jaanib doR ke ro.ay

"Shaah" yeh tum kis baat peh ro.ay bolo to ham bhee ro.aiN
ro.ay un se toR ke tum yaa Phir un se joR ke ro.ay

Re: "Ghazal"

Posted: Thu Mar 20, 2008 1:53 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
yasir shah wrote:bismillaahillazee khalaqal insaana wa a'llamahul bayaan

HaaZireen maHfil !
salaam hay un ko keh jinhoN ne apnay rabb ke aagay sar-e-tasleem kham kiyaa -

aik mukhtaSar waqfay ke ba'd Phir aik Ghazal liye HaaZir-e-khidmat hooN - auroN ki taHaareer bhi mulaaHiZah se guzartee heN magar basabab-e-qaHt.ul.waqt kuCh liKh naheeN paataa keh is meN bhee saraasar bhalaaee hi bhalaaee hay -

chooNkeh radeef ronay waalee hay liHaaZaa ziyaadah t'ool se parhaiz kiyaa hay -



Ghazal



jee jo ChooT gayaa to ham Zabt' kaa daaman ChoR ke ro.ay
dil jo TooT gayaa to ham saaray bandhan toR ke ro.ay

HaaSil-e-qiblah-o-ka'bah too, ham tujh se rukh moR ke ro.ay
laiken jab eHsaas huwaa teree jaanib doR ke ro.ay

"Shaah" yeh tum kis baat peh ro.ay bolo to ham bhee ro.aiN
ro.ay un se toR ke tum yaa Phir un se joR ke ro.ay
Biradaram Yasir Shah SaaHib tasleemaat!

aap kee bazm meN shirkat kush kun hai. shukriyah!
khubSurat alfaz^ aor jazbah se bharpoor aap kee yeh mukhtaSar Ghazal qaabil-e-daad hai. munfarid andaaz-e-bayaN kee Hamil yeh Ghazal dilkashee aor ra'naee-e-fikr kee tarjumaan bhee hai. meree jaanib se dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar