Page 1 of 1
Eid-e Milad-ul-Nabi per mera tohfa..........................
Posted: Fri Mar 21, 2008 5:44 am
by jawaid badauni
Hasrat hai maiN sadaa hi muqeem-e jinaN rahooN
JaaooN "Madeene" aur hamesha wahaN rahooN
Ya Rub! Ataa ho jaam-e mai.e Hubb-e “Mustafa”*
nashshe se choor choor rehooN maiN jahaN rahooN
ShahoN ke taKht.o.taj peh bhari hai yeh sharaf
Banker gadaa-e-Sarwar-e kaun.o.makaN rahooN
Jin ka moHib hooN unke hi rauze se itni door
Kab tak shikar-e ranj aseer-e fuGhan rahooN
Moorsal* ka madH khuwaaN hooN Farsihto mujhe bataao
Doozakh meN jaooN maiN keH makeen-e jinaaN rahooN
Duniya bhi unke dar se mili mujhko deen bhi
oos dar se haT ke jaaooN to aaKhir kahaN rahooN
MadH.e Rasool-e Pak* hai m’eraaj-e fikr.o.fun
:Jawaid: kyooN na banke sadaa madH KhuwaaN rahooN
* SAWW
Jawaid Badauni
Posted: Fri Mar 21, 2008 6:48 am
by sbashwar
Mohtram Jawaid Badauni Sheb
Allah aapke khawahesh/jazbat qubool farmaye
Posted: Sun Mar 23, 2008 4:53 am
by jawaid badauni
sbashwar wrote:Mohtram Jawaid Badauni Sheb
Allah aapke khawahesh/jazbat qubool farmaye
Shukriya Bashwar SaaHab.
Kahir andesh
Jawaid
Re: Eid-e Milad-ul-Nabi per mera tohfa..........................
Posted: Thu May 22, 2008 7:41 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Jawaid Badauni SaaHib tasleemaat!
Aap kaa hadiyah-e-na'at-e-mubarakah naz^ar afrooz huwaa. mashAllah aap kee yeh na'atiyah koshish har ae'tebaar se qaabil-e-daad hai. na'tiyah asha'aar khulooS-e-dil aor hamiyat-e-eemaanee ke Ghammaaz hote haiN yahee wajah hai keh har shaae'ir kaa qalam baGharaZ^-e-takhleeq-e-na'at naheeN uThtaa. deen se a'dam dilchaspee ke baae'ib ba'aZ^ loog u'mr bhar is sa'adat se meHroom rehte haiN.
England ke ma'roof na'atiyah shaae'ir MeHmood Muradabadi jo ab tak geyaaraaN u'mre aor aek baar sa'adate-e-Haj se sarfaraaz ho chuke haiN. baRaa eemaan afrooz waqe'ah sunaate haiN. keh 1974 meN daoraan-e-Haj jis e'marat meN woh Tehre huwe the us meN e'marat ke maalik Istsfah Khan aor Mustasfah Khan jo ke :Ale'maarah: jis meN mushae'rah huwaa us e'marat ke maalik haiN.
in do bhai'yooN ne na'atiyah mushae're kaa intez^aam kiyaa. aor maqaamee shaae'rooN ko bulaa bhejaa. MeHmood SaaHib bhee majood the. is daoraan Istasfh Khan ne yeh waaqea'ah sunayaa keh 1954 meN Jigar Muradabadi baGharaZ^-e-Haj aae huwe the. aor isee jahah mushae'rah meN maojood the. jahaN ham is waqt maojood haiN. shua'raa ne kalam paRhaa mushae'rah tamaam huwaa. raat ko Istasfah Khan ke khuwaab meN Nab-e-Aaakhir Zamaan (S) tashreef aae aor farmayaa keh " Jigar Muradabdi kee na'at mujhe bohot pasand aaee hai. un se kaho keh woh dobarah ise paRheeN" lehaz^ah agle hee din dobarah mushae'rah huwaa.
na'at yeh thee "tiree Surat peh hooN qurbaan Madeene waale"
Is waaqe'ah se na'at kee faZ^eelat aor ahmiyat kaa andaazah lagayaa jaa saktaa hai. meree jaanib se dilee daad qubool keejiye Allah aap ko jazaa-e-khaer se nawaze Aameen!
Muzaffar A Muzaffar