meri taaza nazm, 'Khwaab'
Posted: Fri Mar 21, 2008 6:01 am
Khwaab
chalo tum bhi zara ye khwaab dekho
zara si der tum ye farz kar lo
har ik insaan koshish kar raha hai
woh phir jeene ki khwahish kar raha hai
koi ab bhook se marta nahiiN hai
koi ab zulm se darta nahiiN hai
sabhi ke sar pe chhat hai, aasra hai
yahaaN har aadmii kaa tan Dhakaa hai
chalo tum bhi zara ye khwaab dekho
zara si der tum ye farz kar lo
kaheen aaNsoo, kaheeN maatam nahiiN hai
GhamoN ka ab koi mausam nahiiN hai
Ghareebi kaa nahiiN ehsaas baaqi
abhi tak hai diloN meiN aas baaqi
kabhi to ham ko bhi khushyaaN mileN gi
hamaari raah meiN kaliyaaN khileN gi
chalo tum bhi zara ye khwaab dekho
zara si der tum ye farz kar lo
na raNg-o-nasl par jhagRe ga koii
na deen aur dharm par akRe ga koii
uThaayeNge na ab hathyaar hargiz
na kum hoga jahaaN se pyaar hargiz
yahaaN sab chain se, mil kar raheN ge
chaman meiN phool ab khil kar raheN ge
chalo tum bhi zara ye khwaab dekho
zara si der tum ye farz kar lo
by, Ayesha :Anmol: