Page 1 of 1
tarhi ghazl #38 k liye aik koshish hazir hai
Posted: Fri Mar 21, 2008 4:14 pm
by mujahid
salam
Posted: Sat Mar 22, 2008 1:58 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Mujahid SaaHib tasleemaat!
kaese mizaaj haiN. Guzarish#38 mah-e-rawaN ke mushae'rah ke liye aap kee Ghazal bahisht-e-naz^ar huee. jise paRh kar lut^f aageyaa. is se pehleY mushae'rah meN khaamoshee kee faZ^aa t^aaree thee. gumaaN yahee hai keh is baar zameen khaSee mushkil ma'loom hotee hai. jis kee wajah se dostooN kee mushaae'rah meN shumuliyat sust hai lekin taa Haal mutawaqqa' hai. aap ne Ghazal a't^aa farma kar baarish ka pehle qat^rh ban kar dikhaa diya hai. lehazah mushae'rah meN aap kee shumuliyat ke liye marhoon-e-minnat hooN.
Ghazal ke sabhee asha'aar dilkash haiN. zameen mushkil hai. aor chooTee beHer meN she'er kehnaa yooN bhee aasaan naheeN hotaa. maZ^ameen zehen meN hote huweY bhee daae'rah-e-beHer nihayat tanG hota hai jis kee wajah se kae'ee she'er sharmindah-e-ma'nee naheeN ho pateY. is ke bara'ks lambee beHrooN meN Surat-e-aHwaal mutaZ^aad hotee hai.
meree jaanib se is khubSurat aor kaamyaab koshish par dilee daad qubool keejiye. umeed hai isee t^arH agleY mushae'rooN meN bhee tashreef farmate raheeN ge.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar