Page 1 of 1

NAat e Nabi e Paak SAWS pesh khidmat hai

Posted: Tue Mar 25, 2008 9:19 am
by Khurshidul Hasan Naiyer
Urdu baNdhan ke tamaam aHbaab ki khidmat meN NAate paak lekar hazir hooN. Yeh NAat Rabiul awwal kee munasbat se hooi hai. Isko maiN apni sAaadat janta hooN.

NAaat Nabi e Pakk SAWS (Wo MuHammad Mustafa SAWS)

aagaye noore Hidayat Wo MuHammad Mustafa SAWS
MuNbaAe Sidquo amaanat Wo MuHammad Mustafa SAWS

aap SAWS ka hamsar nah aaya hai na aayega
paikare Husn o shujaaAt Wo MuHammad Mustafa SAWS

muntaZir aquwaam Aaalam thee usee ek Zaat kee
banke aaye sab kee chaahat Wo MuHammad Mustafa SAWS

chaNd ke TukDe kiye suraj ko loTayaa kiyaa
moAjzoN se dee dalaalat Wo MuHammad Mustafa SAWS

La ilaaha illa hoo kee dAwat Haqu de ke hee
Khatm kee sab ki sharakat Wo MuHammad Mustafa SAWS

baNdh kar patthar shikam par raat ko be khwaab kar
de gaye ummat ko raahat Wo MuHammad Mustafa SAWS

koo-e-baTHae se safar meAraaj ke hee darmiyaN
aNbayaa kee, kee imaamat Wo MuHammad Mustafa SAWS

arZ-e-Taiba keyoN nah nazaN ho keh maskaan ke leeye
is shahar ko dee eejaabat Wo MuHammad Mustafa SAWS

raHmatullil AaalamiN haiN aap SAWS Khatmul MursleeN
haiN shahanshaahe sakhaawat Wo MuHammad Mustafa SAWS

Zaat-e-aqudas aap SAWS kee ummi thee par KhuTbaat meN
thee faSaHat our balaaGhat Wo MuHammad Mustafa SAWS

hon malaayek yaa nabi, hoN iNs-o-jin yaa baHr-o-bar
sab pa hai jinkee Aenaayat Wo MuHammad Mustafa SAWS

naqush-e-paaye musTafa SAWS par jisne paa rakhaa use
dee hai Jannat kee bashaarat Wo MuHammad Mustafa SAWS

bu bakar (RZ) kee jaN netharee par kahaa badlaa teraa
dooNga maiN roz-e-queyaamat Wo MuHammad Mustafa SAWS

roz-e-maHshar ummat-e-baiZa ke Haque meN Rab jinheN
bakhshe gaa sharfe shafaaAt Wo MuHammad Mustafa SAWS

aap Naiyer jaaneeye jis Zikr-e-baa barkaat se
miltee hai Qualbee Halaawat Wo MuHammad Mustafa SAWS


Khurshidu Hasan Naiyer

Posted: Wed Mar 26, 2008 1:53 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Khurshidu Hasan Naiyer saaHib tasleemaat!

meHfil-e-Urdubandhan meN aap kee tashreef aawaaree HaoSlah afzaa hai. hameeN khushee hai keh aap aese arbaab-e- adab nawaaz kee tawajah is jaanib markooz huee hai. ummeed hai keh yeh rishtah barqaraar rahe gaa. aap kee deegar mashmulaat kaa bhee intez^aar rahe gaa. tashreef laate rahiye gaa.

aap kee na'at bilaa shubah qaabil-e-Sad daad hai. so meree jaanib se daad qubool keejiye.
wassalam
Muzaffar A Muzaffar