Page 1 of 1

ek ghazal ( bhool baiThy thay )

Posted: Sun Mar 30, 2008 11:03 pm
by rukhsar
sabhi ahbab-e sukhan ko AADAB ek ghazal pesh-e khidmat hay

GHAZAL

bhool baiThy thaY jahaaN maiN chand log
khaa kay jhooti pyaar ki sogandh log

haadsay par ab koi ruktaa nahiN
apnay apnay waqt kay paaband log

kuch na kuch Ejaad kartay hi rahay
be hunar be bus zaroorat mand log

jis qabilay say ta,alluq hay mera
os qabilay kay faqat haiN chand log

Umr haatoN say nikal jaati hay aur
Sochtay rahtay haiN ghairatmand log

doobnay walaa to Obhraa bhi nahi
koshishaiN kartay rahay harchand log

lamhaa lamhaa joR kar bantaa hay jo
ToR detay haiN wohi sambandh log

maiN bhut takheer say pahuncha wahan
kar chukay thay ghar kay sub dar band log

teri bakhshi zindgi maiN aey khudaa
Lay rahay haiN muot ka aanand log

........................
aapky mashwaroN ka intzaar rahayga
rukhsar

Posted: Wed Apr 02, 2008 7:46 pm
by jawaid badauni
Azeezi Rukhsar SaaHab

aaap ki deegar ghazal per apni aara pahle hi irsaal kar chuka hoon. Yeh bhi bohat Haseen ghazal hai. bohat dushwaar qawafee ko bohut KhubSuratee se nibhaya hai aap ne. meree daad qubool kijiye.

Sambandh qafiye wale sher ke miSraa.e oolah meN "typo" hai thik kar lijiyega. bahr ke hasaab se "bantaa HAI jo" hona chaahiye.'

Ziyadah doa,

MuKhliS
Jawaid Badauni

Re: ek ghazal ( bhool baiThy thay )

Posted: Wed Apr 02, 2008 8:54 pm
by m.naeem.sameer
haadsay par ab koi ruktaa nahiN
apnay apnay waqt kay paaband log

bohat hi Khoob ruKhsaar saaHibah, daad HaaZir hai, gar qabool uftaad.


SAMEER

Posted: Wed Apr 02, 2008 11:48 pm
by rukhsar
mohtaram Jawaid Badauni sahib
aadab
aapki daad aur huosla afzaai ka be hud mamnoon hon bhut shukriyaa
aap nay durust kahaa SAMBANDH qafiy walay sher main ( HAY ) type honay say reh gayaa tha
main nay durost kia magar ghazal paje par do jagah print ho gai
huosla afzai ka baar-e digar shukriyaa
rukhsar

Posted: Wed Apr 02, 2008 11:51 pm
by rukhsar
janab sameer sahib
aadab
houslaa afzaai ka bhut bhut shukriyaa , nawazish

mohammad rukhsar nazimabadi

Posted: Thu Apr 03, 2008 4:21 am
by jawaid badauni
rukhsar wrote:mohtaram Jawaid Badauni sahib
aadab
aapki daad aur huosla afzaai ka be hud mamnoon hon bhut shukriyaa
aap nay durust kahaa SAMBANDH qafiy walay sher main ( HAY ) type honay say reh gayaa tha
main nay durost kia magar ghazal paje par do jagah print ho gai
maiN ne doosri jagah se aap ki ghazal delete kar dee hai jaisee ki aap ki marZee thee.

Jawaid

huosla afzai ka baar-e digar shukriyaa
rukhsar

Posted: Fri Apr 04, 2008 12:30 am
by rukhsar
mohtaram Jawaid Badauni Sahib
aadab
aapkay ta,awwun ka bhut bhut shukriyaa parwardigaar aapka
waqar aur buland karay
.......................
Rukhsar