"keh khush hau doosra dekhaa nah jaaye"taaza tarhi
Posted: Mon Mar 31, 2008 10:57 am
Assalaam o alaikum
dosto
tarhi kalaam aapki bacaaratoN kay hawaalay kar rahay haiN
gar qubool uftad zhay...
arz kiya hai
koyee bhatka hua daykhaa nah jaaye
andhayroN meiN ghiraa daykhaa nah jaaye
taraasha hai jisay haathoN say apnay
kahay uskau khudaa daykhaa nah jaaye
badaa zaalim hai daykho nafsay insaaN
keh is say paarsaa daykhaa nah jaaye
dilauN per hukmraani hai hasad ki
keh khush hau doosraa daykhaa nah jaaye
nahiN hai baulnay ki jis meiN taaqat
"woh but hai' yaa khudaa daykhaa nah jaaye
kitaabay zindagi meiN likh day haamid
keh tujh say baywafaa daykhaa nah jaaye
nateejaye fikr
haamid baaqari
al hamdulil
dosto
tarhi kalaam aapki bacaaratoN kay hawaalay kar rahay haiN
gar qubool uftad zhay...
arz kiya hai
koyee bhatka hua daykhaa nah jaaye
andhayroN meiN ghiraa daykhaa nah jaaye
taraasha hai jisay haathoN say apnay
kahay uskau khudaa daykhaa nah jaaye
badaa zaalim hai daykho nafsay insaaN
keh is say paarsaa daykhaa nah jaaye
dilauN per hukmraani hai hasad ki
keh khush hau doosraa daykhaa nah jaaye
nahiN hai baulnay ki jis meiN taaqat
"woh but hai' yaa khudaa daykhaa nah jaaye
kitaabay zindagi meiN likh day haamid
keh tujh say baywafaa daykhaa nah jaaye
nateejaye fikr
haamid baaqari
al hamdulil