Page 1 of 1

jis musawwir main khamoshi hogi

Posted: Tue Apr 01, 2008 10:44 pm
by rukhsar
aadab
Ek ghazal pesh-e khidmat hay aapkay mufeed mashwaroN ka intzaar rahayga

GHAZAL

JIs musawwir maiN khamshi ho gi
Us ki tasweer Bolti ho gi

Waqt saraa guzar chuka hoga
Aur mahsoos ek ghaRi ho gi

zindgi youN sanbhaal kar rakhkhi
yeh kisi kay to kaam ki ho gi

Un kay dum say hi noor phelay ga
Jin kay seenoN maiN ruoshni ho gi

Ek khush Fikr falsafi nay kahaa
Dost hongay to Dushmani ho gi

Toor ki Guftgoo Talaash karaiN
Vo KhalaaoN main Ghoomti ho gi

Mujh ko Takheer ho gae bahar
MaaN Preshan ho rahi ho gi

muskraa kar jo tum nay likhkhi hay
Yeh kahaani bhi Dukhbhari ho gi

.........................
aapki a,ara ka intzaar rahayga
rukhsar

Posted: Wed Apr 02, 2008 9:50 am
by jawaid badauni
moHibbee RuKhsar SaaHab, aadaab

zindabaad. Bohat din bAAd ek bohat sada magar nihayat achchee Ghazal nazar se guzree hai. main bhi kuch kuch isee andaaz meN kahta hooN. aap is bazm meN naye haiN is liye shayad mujh se waqif nah hooN waise in mahafil meN kafi ehbaab mujhe jaante haiN. ya yuun kah lijiye kaafi budnaam hoon.

Dushmani qafiye wala sher aur Maan pareshan ho rahee hogee, yeh dou ashArr KhuSuSan pasaNd aayee. waise aapke tamam ashaar Saaf haiN aur bolte huuwe haiN.

meri daad qubool farmaaiye aur khudara apna kalam bhejte rahyega.

aapka muKhliS

Jawaid Badauni

Re: jis musawwir main khamoshi hogi

Posted: Wed Apr 02, 2008 9:12 pm
by m.naeem.sameer
moHtarmah Rukhsaar SaaHibah
aadaab.


abhi abhi aapki dusri Ghazal per daad di thi kay is ghazal per bhi nazar paRh gayee, aap toh waqiee kamaal shaaiiri kar rahiN haiN, choti choti behroN maiN, sel e mumtana ko apnatey huwe baRi fikr ko shair band karney kaa fun Khoob hai aap kay paas, aapkii laga taar 2 GhazleN paRh kar toh mujhey marhoom "Nasir Kazmi" yaad aagaye,

itni ach~chi Ghazal per Khaaksaar kii jaanib say daad aur mubarakbaad qabool kijye.


SAMEER

Posted: Thu Apr 03, 2008 12:07 am
by rukhsar
mohtaram Jawaid Badauni sahib
aadab
jawed sahib aapnay sahi farmayaa is bazm maiN nayaa hon . aur pichlay 4/5 maah say bazm say ghair haazir raha
jiska malaal hay.. aapsay ghaibaana ta,arruf to hay bazm main aapka kalaam paRhta thaa behrhaal ab bazm maiN
haazir rahnay ki poori koshish rahaygi
aapki daad huoslaa afzaai ka bhut bhut shukriyaa
...................
rukhsar