Page 1 of 1
jab woh mer bayaaz khole hai
Posted: Wed Apr 09, 2008 6:04 pm
by Khurshidul Hasan Naiyer
urdu bandhan ke sukhanwaraan or ahbaab kee nazar ek ghazal
jab woh meree bayaaz khole hai
apne zulm o sitam pa roele hai
shaAree kayee sehal kaam nahiN
dil dukhe hai to zabaaN bole hai
yeh hai urdu zabaan kaa jaadoo
kaan maiN chashnee jo ghole hai
ham bhi uske karam ko parkheNge
jo bhi mere wafaa ko tole hai
ho khudee or Khudaa mataaA dil
to nafas daar par bni soe le hai
rakh nah de saNp aasteeN main kaheeN
dekho "Naiyer" woh kiyaa TaTole hai
Re: jab woh mer bayaaz khole hai
Posted: Fri Apr 11, 2008 9:08 pm
by rukhsar
aadab
achcha kalaam hay
shaAree koyee sehal kaam nahiN
dil dukhe to zabaaN bole hai
..........................
is sher main type ki ghalti hay durust kar lejeyga
rukhsar
Khurshidul Hasan Naiyer wrote:
urdu bandhan ke sukhanwaraan or ahbaab kee nazar ek ghazal
jab woh meree bayaaz khole hai
apne zulm o sitam pa roele hai
shaAree koyee sehal kaam nahiN
dil dukhe to zabaaN bole hai
yeh hai urdu zabaan kaa jaadoo
kaan maiN chashnee jo ghole hai
ham bhi uske karam ko parkheNge
jo bhi mere wafaa ko tole hai
ho khudee or Khudaa mataaA dil
to nafas daar par bni soe le hai
rakh nah de saNp aasteeN main kaheeN
dekho "Naiyer" woh kiyaa TaTole hai
Posted: Sat Apr 12, 2008 7:53 am
by Khurshidul Hasan Naiyer
shukriya rukhsar sb