Page 1 of 1

Re: Nazm.......!!

Posted: Sun Apr 13, 2008 5:48 pm
by manu1979
sara_j wrote:Assalam-o-alaikum,

aek nazm jo apne haaliya safar ke tassuraat per likhi.

Nazam.........!!

"Deccan" ki bahaareiN vo gali koocha o bazaar
bachpan ki sabhi yadeN huuweeN taza phir ik baar

abaad ghar aadha tha tou veeraaN bhi tha aadhaa
deevaareN sisaktee huwee veeraan sa kamraa

awaaz mere Abbi ki aati rahee akser
lekin mujhe unki huuwee shafqat nah mayassar

“Ammi” bhi sunaati rahiN qisse mujhe har pal
yaad “Abbi” ki aati thee tou dil hota tha bekul

Pahle tou bohat royee keh dil pe nah tha qaaboo
phir waqt ke marham ne kiye khushk kuch aansu

un donoN ki qurbat se mili qalb ko raaHat
kuch “Bhayya” ki shafqat thee tou kuch “Bhabhi” ki shafqat

is aas pe maiN aa gayee apnoN se bichaR kar
qismat ne diya saath tou phir jaoNgee maiN ghar

jab jaooNgee ho jaaoNgee “Ammi” ke liye waqf
har lamha mira hoga bus un hee ke liye waqf

duniya meN har aulaad se mera hai yeh kahna
maaN-baap ko peeri meN nah choRo kabhi tanha

kya Khaliq.e Akbar ka hai farman nah bhoolo
ik lamhe ko maan-baap ka eHsaan nah bhoolo


Niazmand, Sara

bahoot khoob sara jee
behad khoobsurat hai aap kii nazm yeh
padh kar dil baag baag ho gaya
regards
manu

Posted: Mon Apr 14, 2008 11:27 pm
by rukhsar
mohtarama sara sahiba
aadab
bhut achchi aur sachchi NAZM hay daad qubool kejey
khaaskar aakhir kay 4 misray bhut pasand aay


duniya meN har aulaad se mera hai yeh kahna
maaN-baap ko peeri meN nah choRo kabhi tanha

kya Khaliq.e Akbar ka hai farman nah bhoolo
ik lamhe ko maan-baap ka eHsaan nah bhoolo

wah waaaaaaaaaaah

rukhsar

Posted: Thu Apr 17, 2008 8:55 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah Saara JabeeN SaaHibah aadaab-o-tasleemaat!

Aap ne apne Hindustan ke safar aor wahaaN apne aabaee sheher aor wahaaN guzree huee zindagee kaa baRee khubSurat andaaz meN naqshah khenchaa hai. Haqeeqat to yeh hai keh maiN naz^m paRh kar udaas ho geyaa. aor mujheY meraa sheher "Nowshera Cantt" Pakistan yaad aageya. jahaN meraa pachpan guzraa thaa.

maiN aap ke jazbaat kaa qadr karte huwe daad-o-mubarak baad pesh kartaa hooN.
Allah aap ko khush rakheY
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Re: Nazm.......!!

Posted: Sat Apr 19, 2008 8:26 am
by m.naeem.sameer
moHtarmah Sara SaaHibah
aadaab.


aap kii naZm paRh kar baRi udaasi chaa gayee hai, bachpan maiN jin buzurgoN kii shafqat maiN aur jis maaHol (purana ghar) waghera maiN aankh kholii thi, woh sub shiddat say yaad aaraha hai.


mujh pe chahi hi yeh maayusi aap kii naZm kii kaamyabi kii zamaanat hai


SAMEER

Re: Nazm.......!!

Posted: Sat Apr 19, 2008 4:30 pm
by munir-armaan-nasimi
sara_j wrote:Assalam-o-alaikum,

aek nazm jo apne haaliya safar ke tassuraat per likhi.

Nazam.........!!

"Deccan" ki bahaareiN vo gali koocha o bazaar
bachpan ki sabhi yadeN huuweeN taza phir ik baar

abaad ghar aadha tha tou veeraaN bhi tha aadhaa
deevaareN sisaktee huwee veeraan sa kamraa

awaaz mere Abbi ki aati rahee akser
lekin mujhe unki huuwee shafqat nah mayassar

“Ammi” bhi sunaati rahiN qisse mujhe har pal
yaad “Abbi” ki aati thee tou dil hota tha bekul

Pahle tou bohat royee keh dil pe nah tha qaaboo
phir waqt ke marham ne kiye khushk kuch aansu

un donoN ki qurbat se mili qalb ko raaHat
kuch “Bhayya” ki shafqat thee tou kuch “Bhabhi” ki shafqat

is aas pe maiN aa gayee apnoN se bichaR kar
qismat ne diya saath tou phir jaoNgee maiN ghar

jab jaooNgee ho jaaoNgee “Ammi” ke liye waqf
har lamha mira hoga bus un hee ke liye waqf

duniya meN har aulaad se mera hai yeh kahna
maaN-baap ko peeri meN nah choRo kabhi tanha

kya Khaliq.e Akbar ka hai farman nah bhoolo
ik lamhe ko maan-baap ka eHsaan nah bhoolo


Niazmand, Sara

MASHA-ALLAH... AAP NWE TO HAMEIN RULA HI DIYAA.... DIL SE JO BAAT NIKALTI HAI WOH AISI HI ASAR KARTI HAI.... BAHUT ACHCHI NAZM HAI..... AAPKI AAJ TAK KI SAB SE BEHTAREIN TAKHLEEQUE.........!!

duniya meN har aulaad se mera hai yeh kahna
maaN-baap ko peeri meN nah choRo kabhi tanha

kya Khaliq.e Akbar ka hai farman nah bhoolo
ik lamhe ko maan-baap ka eHsaan nah bhoolo

YE CHAAR MISRE MAIN 'TABARRUK' KI TARAH RAKH LETA HOON..... KYA AAP YAQEEN KARENGI KE MAIN DELHI MAIN CORPORATE SECTOR MAIN BADI ACHCHI JOB KAR RAHA THA MAGAR.. DO SAAL KE ANDER "MERI AMMI" NE ITNE KHAT LIKHE KEH..... MAIN UNKI MOHABBAT AUR SHAFAQQAT KE AAGE HAAR GAYA AUR NAUKRI CHHOD KAR WAPAS GHAR AA GAYA.....

AB MAA KA BETA HOON AUR EK CHOTA SA SOCIAL WORKER..... KUCH DOST ES BAAT KO MERA 'PAGALPAN' KEHTE HAIN MAGAR MAIN ESKO 'MOHABBAT' KEHTA HOON....!!

ARREY HAAN..... DHER SAARI DAAD QOBOLO FARMAAYEIN......!!

armaan

Posted: Wed Apr 23, 2008 2:36 am
by tahira Masood
Sara jee

salaam-e-khuloos

aap ki nazm dil gudaaz ker gaee

aansuu palkoN peh laraz rehay haiN

dilee daa qabuul kareiN

wassalam

Re: Nazm.......!!

Posted: Sat Jun 07, 2008 5:36 pm
by Anmol
Dear Sara,

tumhaari nazm mujhe bahut pasand aayi, khusoosan aakhri 4 lines behad achchhi lageeN.

meri jaanib se daad qubool karo.

Anmol

Re: Nazm.......!!

Posted: Sun Jun 08, 2008 6:03 am
by Khurshidul Hasan Naiyer
muHtarma Sara Sahiba

salam-o-raHmah

ek achhee or dil ko chhoo lene waali naz^m par daad or mubarak baad pesh hai. qubool farmayeN.

wassalam

Khurshid H. Naiyer

Re: Nazm.......!!

Posted: Thu Jul 24, 2008 8:05 pm
by hassan_bashir
Sara jii, aadab!

ummid hai khair-o-aafiyat se hoN gi?!

muddatoN baad aap ka kalaam paRhne ko milaa, aur voh bhii itnanii pyaari nazm, maiN bataa nahiN sakta k isey paRh kar mujhe kyaa hua.

is kalaam kii taareef k liye mere paas alfaaz nahiN haiN, kuch der k liye mehsoos huaa k kahiN yeh sab maiN ne to nahiN likha?, kyuuN k is meiN mujhe apnii ziNdagii ka bhii hissa nazar aaya, paRh kar aaNkheN bhar aaii'N.

merii jaanib se se dilii aur bahut-bahut aur bahut ziyadah daad-o-mubaarak-baad qubool keejiYe! rose1 :-)


Hassan