Page 1 of 1

kyooN na ham aaj se har baat pe mucbat socheN

Posted: Sat Apr 12, 2008 6:58 am
by muhammad_19k
Salam 'azeezan,

aek mukhtalif andaaz ki koshish Haazir e khidmat hai aor aap ki raa-aye ki ashad zaroorat hai.


Khawar.


1.
kyooN na ham aaj se har baat pe mucbat socheN
in badalte huway Haalat pe mucbat socheN

2.
ham bhalaa janeN hi kyaa taaqat e parwaz abhi
din nikal aa-aye agar raat pe mucbat socheN

3.
soch mucbat ho to raste bhi nayee milte heN
kyooN na is baat ke acbaat pe mucbat socheN

4. kab bhalaa rehte heN Haalaat koi bhi mushkil
ham jo ik baar bhi Haalat pe mucbat socheN

5. apni har haar meN ik jeet ka rasta daikheN
ham agar haar ke har maat pe mucbat socheN

6. kyooN na har shakhS lagay ham ko payaara khawar
bhool kar aib jo har zaat pe mucbat socheN.

Re: kyooN na ham aaj se har baat pe mucbat socheN

Posted: Sat Apr 12, 2008 8:02 pm
by m.naeem.sameer
apni har haar meN ik jeet ka rasta daikheN
ham agar haar ke har maat pe mucbat socheN


moHtaram Khawar SaaHib,
aadaab.

yuN toh poori Ghazal hi ach~chi lagi, lekin uper diya huwa shair toh bahat hi Khoob laga, is nayee aur mushkill zameen ko aap ney Khoob nibhaya hai.

naa cheez kii daad aur mubarakbaad HaaZir hai.

SAMEER

Re: kyooN na ham aaj se har baat pe mucbat socheN

Posted: Sun Apr 13, 2008 8:24 pm
by muhammad_19k
m.naeem.sameer wrote:apni har haar meN ik jeet ka rasta daikheN
ham agar haar ke har maat pe mucbat socheN


moHtaram Khawar SaaHib,
aadaab.

yuN toh poori Ghazal hi ach~chi lagi, lekin uper diya huwa shair toh bahat hi Khoob laga, is nayee aur mushkill zameen ko aap ney Khoob nibhaya hai.

naa cheez kii daad aur mubarakbaad HaaZir hai.

SAMEER
Sameer SaHeb,

aap ki daad ke leeaye bohat shukrguzaar hooN

Re: kyooN na ham aaj se har baat pe mucbat socheN

Posted: Mon Apr 14, 2008 5:55 am
by manu1979
muhammad_19k wrote:Salam 'azeezan,

aek mukhtalif andaaz ki koshish Haazir e khidmat hai aor aap ki raa-aye ki ashad zaroorat hai.


Khawar.


1.
kyooN na ham aaj se har baat pe mucbat socheN
in badalte huway Haalat pe mucbat socheN

2.
ham bhalaa janeN hi kyaa taaqat e parwaz abhi
din nikal aa-aye agar raat pe mucbat socheN

3.
soch mucbat ho to raste bhi nayee milte heN
kyooN na is baat ke acbaat pe mucbat socheN

4. kab bhalaa rehte heN Haalaat koi bhi mushkil
ham jo ik baar bhi Haalat pe mucbat socheN

5. apni har haar meN ik jeet ka rasta daikheN
ham agar haar ke har maat pe mucbat socheN

6. kyooN na har shakhS lagay ham ko payaara khawar
bhool kar aib jo har zaat pe mucbat socheN.
janaab muhammad salaam-aaleikum
bhai aap ki ghazal padhne ka bahoot mazaa aaya ,
behad khoobsurat alphaazo me aap ne apne jazbaato ko piiro kar jo yeh ghazal chhedi hai vo sidhi nigaah ke raastey ho kar dil me utar jaati hai,

bahoot khoob likha haidil se mubaarakbad qubool farmaye
yunhi likhate rahe
regards
manu

Re: kyooN na ham aaj se har baat pe mucbat socheN

Posted: Mon Apr 14, 2008 11:11 am
by muhammad_19k
[quote/
janaab muhammad salaam-aaleikum
bhai aap ki ghazal padhne ka bahoot mazaa aaya ,
behad khoobsurat alphaazo me aap ne apne jazbaato ko piiro kar jo yeh ghazal chhedi hai vo sidhi nigaah ke raastey ho kar dil me utar jaati hai,

bahoot khoob likha haidil se mubaarakbad qubool farmaye
yunhi likhate rahe
regards
manu[/quote]

manu ji,

aap ka t'aareef karne ka andaaz bohat dilnasheen hai. mujhe bohat achhchaa lagaa. shukriyaa qubool kijiaye.

regards,

Posted: Wed May 21, 2008 10:20 pm
by dilshadnazmi
bhai siddiqui sahib
salam _o_alaekum

aap ki khoobsurat gazal nazar nawaz hui , wallah maza aa gaya , sari gazal apne makhsoos rang me dhali hui hai aur sare mazameen ka rabt eak sa lagte huwey bhi juda juda maza de raha hai ,yehi iss gazal ke khoobsurat hone ki dalil hai ,

. kab bhalaa rehte heN Haalaat koi bhi mushkil
ham jo ik baar bhi Haalat pe mucbat socheN


aap ne iss sher me kaha hai ke ,
kab bhala rahte hain halaat { koi bhi mushkil} yeh koi bhi mushkil mujhe kuch ajeeb sa laga , albatta agar yo'n hota tou behtar hota ,

kab bhala rahte hain halat hamesha mushkil ,ya aap isse kuch dusri tarah se bhi kah sakte hain ,

umeed hai meri iss jisarat ko aap meri gustakhi par mahmool nahi kareingey .

dilshadnazmi