Page 1 of 1
guzarish # 39 k liye aik koshish hazir-i-khidmuth hai
Posted: Sun Apr 13, 2008 12:19 pm
by mujahid
salam
Posted: Mon Apr 14, 2008 11:23 am
by muhammad_19k
Salam mujhaahid SaHeb,
aap ki ghazal ka majm'ee ta,aacur bohat achchaa hai. daad qubool kijaiye. maazaameen aor bayaan dono hi mujhe pasand aa-aye. Sirf aek kami rahi to roman version ki [:)]
1. maTla meN mujhe rabt kuch kamzoor laga.
2. qiyaamat se nahi thaa kam tiraa deedaar ik lamHa.
3. zameen oar ghar dono aek hi muqaam heN maire khyaal meN agar aap falak ki baat kareN mazmoon meN zydaa dilkashi ho gi jaise ke
falak se chaand ka tukRa utar aayaa miray ghar meN!
miraa khyaal ghalat bhi ho saktaa hai.
4. woh meN lailaa oar majnooN dono aa aajte heN is leeaye miSra ke aakhir meN bhi ghair zaroori lag raha hai. maire zehn meN aek shakl ye hai.
ke SadyooN ..................................
aor is sher meN bhi rabt kamzor lag rahaa hai.
5. achchaa sher hai.
6. bohat khoob.
khairandesh,
Muhammad K. Siddiqui.
Posted: Mon Apr 14, 2008 9:33 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Mujahid SaaHib taslemaat!
rawaN mushae'rah ke liye aap kee shumuliyat khushee masrarrat aor iftekhaar kaa baae'c hai. is e'nayat ke liye mamnoon-o-mutashakker hooN.
Aap kee Ghazal lut^f de gaee. zameen kee dushwaaree kaa mujheY puraa eHsaas hai. lekin yeh yaqeen bhee hai keh majlis meN ab khuda ke faZ^l se sabhee dost kuhnah mashq haiN. aor aesee zameen un kee she'er gaoee meN deewaar nah bane gee. aap kee Ghazal bhee yahee taacur de rahee hai. mujheY khushee hai keh aap ne apne khubSurat asha'aar se aaGhaaz-e-mushae'rah kar diya hai.
kalam apnee infaradiyat aor jaazbiyat ke aa'tebaar se numaayaaN maqaam rakhtaa hai. khaaSee meHnat se kaam liya geyaa hai. sabhee asha'aar dilkash haiN. agar aap roman urdu meN bhee likh dete to tabSirah karne meN baRee aasaanee rehtee aor farda" farda" har she'er par iz^haar-e-kheyaal sehel ho jaataa. khaer meree jaanib se is khubSurat Ghazal par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Posted: Fri Apr 18, 2008 1:18 pm
by jawaid badauni
Azeezi MujaHid SaaHab
aadaab
aap ki tarahe gahzal nazar nawaz huuwee. achche sher kahe haiN aap ne. meri daad qubool kijieyega.
ummid hai aaindah bhi in mushairoN ki raunaq meN izafah farmyeNge.
Ek Arz yeh ahi keh maqtey meN aap ne lafz Nah ko bawazn FA istaimal kiya hai. Yeh aur Woh
alfaz ke liye aisa karne ki ijazat hai magar Nah ke liye buzurgaane Urdu ne sirf NooN aur ZABAR
ka istaimal hi durust bataya hai. nazar.e Caani kar lijiyega. agar meri baat nagawaar guzree ho
tou maAzrat khuwaah hooN.
aapka muKhliS
Jawaid Badauni
Posted: Sat Apr 26, 2008 10:16 am
by Khurshidul Hasan Naiyer
jb. Mujahid sb
Assalam a'laikum
Mushaire meN aap kee ghazal paRhee. Ghazal masha Allah saaf or murassa hai. Mazameen bhee achee hain. ek achhee or dilkash Ghazal par mujh naacheez kee daad qubul kijye.
Ummid hai mezaj giramee bakhai hoNge
Allah Hafiz
Khurshiul H. Naiyer