Page 1 of 1

guzaarish # 39 par kamzoar see kaawish

Posted: Wed Apr 16, 2008 4:37 pm
by Khurshidul Hasan Naiyer
Muhtaram ah^baab e urdubandhan

Salaam o Aadaab

apnee kamzoar see koshish lekar h^aaz^ir hooN ummid hai pasand aayegee.


unhaeN maeree mujhe unkee rahee hai justujoo barsoN
sitam gaar e zamaana ho sake naa roo-ba-roo barsoN

muh^abbat dil maeN aayee tab milee naaloN ko parwaazeN
dua^aa maiN ne bahut kee, karke aaNsoo se waz^oo barsoN

kitaab-e-dil ke warqoN maiN use bainussatar paayaa
khud apni zaat ke bahar thee jiskee justujoo barsoN

a^naadil or papeehaa kee zabaaN maeN dard kab aataa
nah phirte gar talaash-e-yaar maiN yeh koo-ba-koo barsoN

gawaahee deNge yeh mere lahoo ke hamnasheeN sunle
teree zulfoN ke t^oolo a^arz^ inke raNgo boo barsoN

nikal aayaa tamannaa dil maeN lekar sarfaroashee kee
naheeN sahtaa koyee insaaN shikast-e-aarzoo barsoN

jo aahe sard se jal jaate haiN koNpal tamannaa ke
muwaafiq ho fiz^aa tab bhee naheeN aatee numoo barsoN

zabaaN ke raNg o nikhat, chaashnee, soazo gudaazee ko
dabistaan-e-ghazal maeN kee ghazal se guftugoo barsoN

yeh taeree chaak damaani hai :Naiyer: toh^fae jaananaaN
nah tum bhoolo ge unko or nah ye hoNge rufoo barsoN


Khair andesh e urdubandhan

Khurshidul Hasan Naiyer

Posted: Thu Apr 17, 2008 8:25 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Khurshidul Hasan Naiyer SaaHib tasleemaat! :-)

kese mizaaj haiN. ummeed hai kheriyat se hooN ge. mushae'rah meN aap kee shumuliyat khushee kee baat hai. aap aese eHbaab kee badaolat hee yeh meHfil aabaad-o-shaadaab hai. ummeed hai isee t^arH ise aabaad rakheeN ge. aor apnee qalamee SalaHiyatooN se ham sab ko mustafeed farmate raheeN ge.

Aap kee t^arHee Ghazal dekhee. mashAllah achchee koshish hai. asha'aar aap kee meHnat aor jazbah ke akkaas haiN. kalam meN saoz-o-saaz kee aesee amezish hai keh qaaree thooRee der ke liye sarmast ho jataa hai. asha'aar kee barjastagee aor shustagee qaabil-e-daad hai. aor yahee is beHer kaa taqaaZ^ah bhee hai. aap ne baRee kaamyabee se zameen kaa Haq ada kar diya hai. so is kaamyaabee par meree jaanib se dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

unhaeN maeree mujhe unkee rahee hai justujoo barsoN
sitam gaar e zamaana ho sake naa roo-ba-roo barsoN

Waah!

muh^abbat dil maeN aayee tab milee naaloN ko parwaazeN
dua^aa maiN ne bahut kee, karke aaNsoo se waz^oo barsoN

Waah!

kitaab-e-dil ke warqoN maiN use bainussatar paayaa
khud apni zaat ke bahar thee jiskee justujoo barsoN

Waah!

a^naadil or papeehaa kee zabaaN maeN dard kab aataa
nah phirte gar talaash-e-yaar maiN yeh koo-ba-koo barsoN

Kiya kehne!

gawaahee deNge yeh mere lahoo ke hamnasheeN sunle
teree zulfoN ke t^oolo a^arz^ inke raNgo boo barsoN

Waah!

nikal aayaa tamannaa dil maeN lekar sarfaroashee kee
naheeN sahtaa koyee insaaN shikast-e-aarzoo barsoN

Bohot khoob Waah Waah! Kiya kehen! lajawaab girah hai.

jo aahe sard se jal jaate haiN koNpal tamannaa ke
muwaafiq ho fiz^aa tab bhee naheeN aatee numoo barsoN

Kiya kehne Waah!

zabaaN ke raNg o nikhat, chaashnee, soazo gudaazee ko
dabistaan-e-ghazal maeN kee ghazal se guftugoo barsoN

Waah!

yeh taeree chaak damaani hai :Naiyer: toh^fae jaananaaN
nah tum bhoolo ge unko or nah ye hoNge rufoo barsoN

Waah Waah!

khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Re: guzaarish # 39 par kamzoar see kaawish

Posted: Fri Apr 18, 2008 1:10 pm
by jawaid badauni
Khurshidul Hasan Naiyer wrote:Muhtaram ah^baab e urdubandhan

Salaam o Aadaab

apnee kamzoar see koshish lekar h^aaz^ir hooN ummid hai pasand aayegee.


unhaeN maeree mujhe unkee rahee hai justujoo barsoN
sitam gaar e zamaana ho sake naa roo-ba-roo barsoN

muh^abbat dil maeN aayee tab milee naaloN ko parwaazeN
dua^aa maiN ne bahut kee, karke aaNsoo se waz^oo barsoN

kitaab-e-dil ke warqoN maiN use bainussatar paayaa
khud apni zaat ke bahar thee jiskee justujoo barsoN

a^naadil or papeehaa kee zabaaN maeN dard kab aataa
nah phirte gar talaash-e-yaar maiN yeh koo-ba-koo barsoN

gawaahee deNge yeh mere lahoo ke hamnasheeN sunle
teree zulfoN ke t^oolo a^arz^ inke raNgo boo barsoN

nikal aayaa tamannaa dil maeN lekar sarfaroashee kee
naheeN sahtaa koyee insaaN shikast-e-aarzoo barsoN

jo aahe sard se jal jaate haiN koNpal tamannaa ke
muwaafiq ho fiz^aa tab bhee naheeN aatee numoo barsoN

zabaaN ke raNg o nikhat, chaashnee, soazo gudaazee ko
dabistaan-e-ghazal maeN kee ghazal se guftugoo barsoN

yeh taeree chaak damaani hai :Naiyer: toh^fae jaananaaN
nah tum bhoolo ge unko or nah ye hoNge rufoo barsoN


Khair andesh e urdubandhan

Khurshidul Hasan Naiyer


moHtarmee Khurshidul Hasan SaaHab
tasleemaat

sub se pahle tou yeh maAzrat keh aap ki ijazat ke baGhair main ne aap ke FONTS ka colour badal diya. aap ki taHreer bohat dhuNdhli ho gayee thee ashAAr paRhne meN nahiN aa rahe thEy.

mujhe pahli baar aap ka kalam paRhne ka mauqa mila. bohat achcha kahte haiN masha Allah. Ghazal per meri daad qubool kijiye.

Urdubandhan meN aap ka istaqbaal karta hooN. Ummid hai aaindah bhi aate-jaate raheNge aur woh bhi apne kalam ke saath.

Khair andesh

Jawaid Badauni

Re: guzaarish # 39 par kamzoar see kaawish

Posted: Fri Apr 25, 2008 5:53 pm
by muhammad_19k
khursheed SaHeb,

mushaaira meN apni ghazal pesh kar ise ronaq bakhshne ke leeaye mubaarakbaad qubool kijiaye. ghazal behtareen hai aor paRhte huwaay mairi kafiat is t^araH rahi.

unhaeN maeree mujhe unkee rahee hai justujoo barsoN
sitam gaar e zamaana ho sake naa roo-ba-roo barsoN


bohat khoob.

muh^abbat dil maeN aayee tab milee naaloN ko parwaazeN
dua^aa maiN ne bahut kee, karke aaNsoo se waz^oo barsoN


muh^abbat dil maeN aayee tab milee naaloN ko parwaazeN
dua^aa maiN ne bahut kee, karke aaNsoo se waz^oo barsoN

hmmm

kitaab-e-dil ke warqoN maiN use bainussatar paayaa
khud apni zaat ke bahar thee jiskee justujoo barsoN


hmmm. ye bhi kuch khaaS samajh nahi aayaa.

a^naadil or papeehaa kee zabaaN maeN dard kab aataa
nah phirte gar talaash-e-yaar maiN yeh koo-ba-koo barsoN


bohat khoob.

gawaahee deNge yeh mere lahoo ke hamnasheeN sunle
teree zulfoN ke t^oolo a^arz^ inke raNgo boo barsoN


achhchhaa khyaal hai. laikin aisaa lagaa hai ke baat bilkul clear nahi.

nikal aayaa tamannaa dil maeN lekar sarfaroashee kee
naheeN sahtaa koyee insaaN shikast-e-aarzoo barsoN


aahaa hai. bohat khoob. pehlay miSra meN agar aayaa [jo aek baar ko zaahir kartaa hai] ki jaagaa aataa [jo baar baar ko zaahir kartaa hai ] aa jaa-aye to maire samajh ke mutaabiq sher aor shaandaar ho jaa-aye. daikhne meN kyaa harj hai.

nikal aataaa hai dil meN laike khaahish sarfaroshi ki

jo aahe sard se jal jaate haiN koNpal tamannaa ke
muwaafiq ho fiz^aa tab bhee naheeN aatee numoo barsoN


bohat khoob. is ke doosre miSra meN aatee ko paatee kar ke daikhe leN.

zabaaN ke raNg o nikhat, chaashnee, soazo gudaazee ko
dabistaan-e-ghazal maeN kee ghazal se guftugoo barsoN


leejiaye ye to sar ke oooper se guzar gyaa.

yeh taeree chaak damaani hai :Naiyer: toh^fae jaananaaN
nah tum bhoolo ge unko or nah ye hoNge rufoo barsoN


pehle miSra meN tairi oar doosre meN tum. baat theek nahi. aor aakhir men jaanaanaaN ki jagaa se jaanaaN se bhi kaam chal saktaa hai.

tumhaari chaak daamaani hai Naiyer toHfa e jaanaaN
na tum bhool........................................................


mairi raa-aye se aap ko Sirf ye pataa chalay ga ke aek kam ilm qaari ko aap ki ghazal kaise lagi.

niazmand,

Muhammad Khawar.

Posted: Sat Apr 26, 2008 7:49 am
by Khurshidul Hasan Naiyer
muHtaram Jb. Muzaffar sb

Assalam Alaikum

Ummeed hai bakhair hoNge.

aap kee pazirayee jo mere pahlee ghazal par kee thee ne mujhe dobara apni mashqe sukhan Hazir karne ka hosla diyaa. yeh aap kee adab nawazee or muhabbat hai ke aap ne meree kawish ko pasand farmaya.

maiN dil se aap ke daad do qubool karta hooN

Allah aap ko achha rakhe

Khair Andesh

Khurshidul H. Naiyer

Posted: Sat Apr 26, 2008 8:04 am
by Khurshidul Hasan Naiyer
MuHtaram Jawaid Badauni sb

Tasleemat

Sabse pahle aap kaa shukrya adaa karta chalooN keh aap kee madad ne meree ghazal ko ba aasaani padhne ke qaabil banaa diyaa warna na jaane mujhse kiya ghalat ho gayaa thaa ke puree taHreer hee dhuNdhlee ho gayee thee. Allah aap ko jazaae khair de.

aap ko meree kaawish pasaNd aayee. maiN mamnoon o mashkoor hooN.

t^aalibe dua'aa

Khurshid H Naiyer

Posted: Sat Apr 26, 2008 8:17 am
by Khurshidul Hasan Naiyer
MuHtaram Khawar Siddiquee sb

adaab


Bahut khushee horahee hai keh mugh naa ahle khee ghazal maiN ka kuchh sha'er aap ko pasand aayaa or aapne daad dee. aap se daad wasool karna "phool kumaaree ko haNsaane" se kam mushkil kaam naheeN. Main aap kaa mamnoon o mashkoor hooN.

aap ke tabsere se dil khush hua. or bhai over maeN ek aadh ball to "bounce" hona bhee chahiye. maqtaae keliye bilkul durst farmayaa aapne. aap ke mashware se matlaa acchaa hogaya. Allah aap ko bharpoor jazae khair de. Aameen.

aHqar

Khurshid H. Naiyer