Page 1 of 1
Ghazal _ khataoN ki baateN
Posted: Thu Apr 24, 2008 8:12 pm
by Sohail Malik
azeezaan e anjuman salaam!
bohat din baad aaj aik ghazal aap ki khidmet maiN pesh ker raha huN.
dekhiay aur apni raey say nawaziay
sohail malik
Posted: Sat Apr 26, 2008 2:00 am
by muhammad_19k
Sohail SaHeb,
bohat khoob. ghazal bohat achhchhi aor acar aNgez hai. sher no. 2, 4, 11 aor 12 boaht achhchhe lagay.
mukhliS
Posted: Sat Apr 26, 2008 11:31 am
by Sohail Malik
muhammad_19k wrote:Sohail SaHeb,
bohat khoob. ghazal bohat achhchhi aor acar aNgez hai. sher no. 2, 4, 11 aor 12 boaht achhchhe lagay.
mukhliS
khawer bhaee ghazal pasand kernay ka bohat shukria
waisay sach puchaiN to aap ki tareef say ziaadah aap ki nukta cheeni ka lutf aataa hay aur woh abhi udhaar hay
wassalam
sohail malik
Posted: Sat Apr 26, 2008 12:30 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biradaram Sohail Malik SaaHib tasleemaat!
Aap kee dilkash Ghazal firdoos-e-naz^ar huee. lajawaab asha'aar kee aai'nah daar yeh Ghazal kisee ta'reef-o-taoSeef kee moHtaaj naheeN. balkeh az khud aek jawahir paarah hai jo apnee micaal aap hai.
meree jaanib se is khubSurat kaawish par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye. aor meHfil meN tashreef laate rahiye. nawazish ho gee.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Posted: Sun Apr 27, 2008 7:48 am
by Sohail Malik
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Biradaram Sohail Malik SaaHib tasleemaat!
Aap kee dilkash Ghazal firdoos-e-naz^ar huee. lajawaab asha'aar kee aai'nah daar yeh Ghazal kisee ta'reef-o-taoSeef kee moHtaaj naheeN. balkeh az khud aek jawahir paarah hai jo apnee micaal aap hai.
meree jaanib se is khubSurat kaawish par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye. aor meHfil meN tashreef laate rahiye. nawazish ho gee.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Muzaffar bhaee salaam!
kaisay mizaaj haiN? baRay arSay baat aap say baat ho rehi hay. lagta hay meri teraah aap bhi aaj kal bazm maiN kam kam hi aa rhay haiN. ghazal pasand kernay aur hoSla afzaee per maiN aap ka mamnun huN. khush rehiay.
faqet
sohail malik
Posted: Sun Apr 27, 2008 8:20 pm
by muhammad_19k
Sohail Malik wrote:muhammad_19k wrote:Sohail SaHeb,
bohat khoob. ghazal bohat achhchhi aor acar aNgez hai. sher no. 2, 4, 11 aor 12 boaht achhchhe lagay.
mukhliS
khawer bhaee ghazal pasand kernay ka bohat shukria
waisay sach puchaiN to aap ki tareef say ziaadah aap ki nukta cheeni ka lutf aataa hay aur woh abhi udhaar hay
wassalam
sohail malik
Sohail bhai,
aap jaante hi heN ke maire paas kuch kehne ko ho to mooN hichkachaataa nahi. aor phir aap se kyaa takkuluf?
regards,
Posted: Mon May 12, 2008 1:19 pm
by Sohail Malik
sara_j wrote:Salaam Sohail sahib,
bohat hi khaas baateiN aapne khoobsurti se bayaan ki hain
aapka andaaz bohat acha laga aur ghazal ke sabhi ashaar paRhte hi pasand aagaye
"bhala kaun masoom hai is jahaaN mein
sunaate ho kin paarsaouN ki baateiN"
bohat ache bohat ache!! dhair saari daad qubool keejiye.
sara
Sara ji aadaab!
der say jawaab dainay per mazret khwah huN. deraSl meri jaanib kuch din network ka masala bhi raha
ghazal qabul kernay kay liay aap ka mamnun huN.
khair andesh
sohail malik
Posted: Wed May 14, 2008 12:32 am
by rukhsar
sohail malik sahib
aadab
mizaj-e giraami
aapki ghazal ka muta,ala kia mashah allah achchi ghazal hay sab achchy ash,aar hain
bhut khoob daad qubool kejey . wah wah waaaaaaaaaaaaaaaaaaaah
.............................
is ghazal kay ek sher ka pahlaa misra kuch is tarah hay
...............
bhut marz ki baat hoti rahi hay
........................................... yeh misra aapki tawajjah chahta hay
rukhsar
Re: Ghazal _ khataoN ki baateN
Posted: Sat Jun 07, 2008 5:55 pm
by Anmol
Sohail SaaHib, aadaab!
bhulaate nahiiN kyooN Khataa'oN ki baateN
kiye ja rahay ho sazaa'oN ki baateN
matla bahut pasand aaya. mujhe apna aik she'r yaad aa gaya,
woh kyooN ranjishoN ko hawa de raha hai
usey yaad kyooN haiN bhulaane ki baateN ---- by Ayesha :Anmol:
junooN ke hawaale Khudii jab se ki hai
maiN karta huuN bus intihaa'oN ki baateN
bahut Khoob!
ye kya muajra hai, kareN kyooN maseeHa
dawaa chhoR kar ab dua'oN ki baateN
well said!
baRii talKh haiN so, buri to lageNgi
haqaaiq ke naGhma'saraaoN ki baateN
true!
Khoob ghazal hai janaab. daad qubool kijiye!
Anmol
Re: Ghazal _ khataoN ki baateN
Posted: Sun Jun 08, 2008 5:59 am
by Khurshidul Hasan Naiyer
jb. muHtaram Sohail Sb
salaam-o-raHmah
kiyaa baat hia Sb. khoob Ghazala kahee hai aap ne. daad hee daad Haz^ir hai. qubool kijye.
wassalam
Khurshidul Hasan Naiyer