Page 1 of 1

GuZarish#39 pesh-e-khidmat hai.

Posted: Fri Apr 25, 2008 12:11 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]arbaab-e-meHfil-e-Urdubandhan aadaab-o-tasleemaat!

Apnee saadah see koshish le kar HaaZ^ir-e-khidmat hooN. mujheY ummeed hai keh aap SaaHibaan-e-qalam apnee qeematee aara' se bandah ko aagah farmaeeN ge. so asha'aar pesh-e-khidmat haiN. mulaaHiZ^ah farmaiye.

Ghazal

baGuleY dasht-o-SeHraa meN uReeN geY Chaar su barsooN
baheY gaa gar dil-e-majrooH kaa naaHaq lahoo barsooN!


Qafas meN reh ke beGaanah naheeN eHsaas-e-Gulshan se
mujheY beshaen rakheY gaa kheyaal-e-ranG-o-bu barsooN!


bayaaN keseY kareY QiSSah woh apnee beqaraaree kaa?
jiseY rehnaa paRaa tishnah kinaar-e-Aabju barsooN!


kheyaal-e-ehd-e-raftah se Qalejah muNh ko aataa hai.
Jigar se naawak-e-Hasrat ne Tapkaayaa lahu barsooN!


shab-e-furQat kee talkhee jaaN Gusal thee par tiree khaat^ir
ajal se ham raheY dast-o-GareebaaN tundkhu barsooN!


azal se tu Hareem-e-dil meN hai jawlah numaa lekin
a'bac kartaa rahaa teree khudaayaa justuju barsooN!


Junoon-e-shaoQ ne pal meN uRaae'eN dhajjiyaaN jis kee
usee jeb-o-gareebaaN ko kiyaa maiN ne rafu barsooN!


khulaa yeh raaZ-e-bastah mar ke ham ehl-e-muHabbat par
"naheeN sehtaa koee insaaN shikast-e-Aarzu barsooN"


ta'ajub hai :Muzaffar: ko nah pehchaanaa ZamaaneY neY
micaal-e-Aa'inah aayaa jahaaN ke rubaru barsooN!


Muzaffar A Muzaffar[/align]

Posted: Fri Apr 25, 2008 6:12 pm
by muhammad_19k
Salam Muzaffar SaHeb,

aap se bhala kyaa takkaluf, leejiaye Haazir huwaa chaahtaa hooN.

baGuleY dasht-o-SeHraa meN uReeN geY Chaar su barsooN
baheY gaa gar dil-e-majrooH kaa naaHaq lahoo barsooN!


zabardast! l


Qafas meN reh ke beGaanah naheeN eHsaas-e-Gulshan se
mujheY beshaen rakheY gaa kheyaal-e-ranG-o-bu barsooN!


waah waah janab. bohat khoob.


bayaaN keseY kareY QiSSah woh apnee beqaraaree kaa?
jiseY rehnaa paRaa tishnah kinaar-e-Aabju barsooN!


kinaar e aaj e joo? ye kinaar to mujhe bos o kinaar ke saath yaad paRhtaa hai. kyaa is kinaar ko kinaaray ke t^or par istemaal karnaa theek hai?


kheyaal-e-ehd-e-raftah se Qalejah muNh ko aataa hai.
Jigar se naawak-e-Hasrat ne Tapkaayaa lahu barsooN!

ahaah haa janb. waah bohat. khoob. zaraa apne mubarak haathoN se aek baar phir ye sher likhiaye.


shab-e-furQat kee talkhee jaaN Gusal thee par tiree khaat^ir
ajal se ham raheY dast-o-GareebaaN tundkhu barsooN!


ye sher kuch kamzor laga ( zaahir hai ke ye sirf mairaa khyaal hai.). aek to pehlaa misra bohat dheela hai aor doosre misra meN tundkhu ka istemaal samajh nahi aa raha


azal se tu Hareem-e-dil meN hai jawlah numaa lekin
a'bac kartaa rahaa teree khudaayaa justuju barsooN!


waah waah. bohat zabardast.


Junoon-e-shaoQ ne pal meN uRaae'eN dhajjiyaaN jis kee
usee jeb-o-gareebaaN ko kiyaa maiN ne rafu barsooN!


bohat khoob.


khulaa yeh raaZ-e-bastah mar ke ham ehl-e-muHabbat par
"naheeN sehtaa koee insaaN shikast-e-Aarzu barsooN"


muaafi dijiayge gaa. girah ne mujh par koi khaaS acar nahi chhoRa.


ta'ajub hai :Muzaffar: ko nah pehchaanaa ZamaaneY neY
micaal-e-Aa'inah aayaa jahaaN ke rubaru barsooN!


bohat khoob. aek baar pehlay miSRa meN hai ko kyaa kar ke daikheN. mujhe to kyaa bohat shaandar lagaa.

ta'ajub kya :Muzaffar: ko nah pehchaanaa ZamaaneY neY
micaal e ......................................................................

niazmand,

Posted: Fri Apr 25, 2008 11:17 pm
by Rehana.A

Muzaffar bhaa,i

Nazar ke saath saath jigar nawaaz bhi :grin: hu,ee aap ki tazaa ghazal ,
mashallah kya kahon aisa lagta he kah kalaijaa nikaal kar rakh diya he is ghazal mien aap nay ,
apnay fun kee us bulandee par haien aap kag har ghazal mien jis ko pana kaar e mohaal he .
is haseen takheeq par apna jitna bhi fakhar karaen mairay khyaal mien kam hoga .khasoosan daraj zail
ashaar nay to mojhay wartaa e Hairat mien Daal kar rakh diya he


shab-e-furQat kee talkhee jaaN Gusal thee par tiree khaat^ir
ajal se ham raheY dast-o-GareebaaN tundkhu barsooN!


azal se tu Hareem-e-dil meN hai jawlah numaa lekin
a'bac kartaa rahaa teree khudaayaa justuju barsooN!


Junoon-e-shaoQ ne pal meN uRaae'eN dhajjiyaaN jis kee
usee jeb-o-gareebaaN ko kiyaa maiN ne rafu barsooN!


khulaa yeh raaZ-e-bastah mar ke ham ehl-e-muHabbat par
"naheeN sehtaa koee insaaN shikast-e-Aarzu barsooN"


ta'ajub hai :Muzaffar: ko nah pehchaanaa ZamaaneY neY
micaal-e-Aa'inah aayaa jahaaN ke rubaru barsooN!


buhut hi khoob mashAllah nazar bad door ,daad o mubarak baad paish kartee hoon

gar qabool uftad zahey iz o sharuf

Posted: Sat Apr 26, 2008 8:40 am
by Khurshidul Hasan Naiyer
muHtaram jb Muzaffar A Muzaffar Sb

Assalam a'laikum

ronaque mushaaa'eraa banee yeh aap kee ghal. aap kee is ghazal par jab MuHtaram Dr. Kaleem a'aajis sb kaa yeh sha'er yaad aa rahaa hai, key

seene kaa bahut khoon-e-jigar jaye hai pyare
tab Zulf kaheeN ta ba kamr jaye hai pyare

itne achee asha'aar kam dekhne ko milte haiN. jismeN khayal kee buland parwaazi, lahje meN soz or saaz ke saath range taGazzul ko Qaaem rakha gaya ho. aapne khoob soorat or saaherana kalaam paish kiyaa hai. muj jaise ghazal khaN kee daad qabool farma kar izzat baqsheN.

bayaaN keseY kareY QiSSah woh apnee beqaraaree kaa?
jiseY rehnaa paRaa tishnah kinaar-e-Aabju barsooN!

bahut pyaraa sha'er hai

Posted: Sat Apr 26, 2008 8:42 am
by Khurshidul Hasan Naiyer
muHtaram jb Muzaffar A Muzaffar Sb

Assalam a'laikum

ronaque mushaaa'eraa banee yeh aap kee ghal. aap kee is ghazal par jab MuHtaram Dr. Kaleem a'aajis sb kaa yeh sha'er yaad aa rahaa hai, key

seene kaa bahut khoon-e-jigar jaye hai pyare
tab Zulf kaheeN ta ba kamr jaye hai pyare

itne achee asha'aar kam dekhne ko milte haiN. jismeN khayal kee buland parwaazi, lahje meN soz or saaz ke saath range taGazzul ko Qaaem rakha gaya ho. aapne khoob soorat or saaherana kalaam paish kiyaa hai. muj jaise ghazal khaN kee daad qabool farma kar izzat baqsheN.

bayaaN keseY kareY QiSSah woh apnee beqaraaree kaa?
jiseY rehnaa paRaa tishnah kinaar-e-Aabju barsooN!

bahut pyaraa sha'er hai

Junoon-e-shaoQ ne pal meN uRaae'eN dhajjiyaaN jis kee
usee jeb-o-gareebaaN ko kiyaa maiN ne rafu barsooN!

wah wah

puree ghazal ke saath yeh do sha'er or maqta bahut pasand aaya

Allah kare zore qalam or ziyadah

Ahqar

Khurshid H Naiyer