Page 1 of 1
Ghazal bar,ay Mushaira e maah e rawaan
Posted: Fri Apr 25, 2008 11:03 pm
by Rehana.A
Aziz Dosto!
tasleemaat
Mushairay kee kaamyaabi par sub doston ko mubarak baad paish kartee hoon .
aur apni addna see koshish aap sub kee basaarton kee nazar kartee hoon .daikhiay aap ko kaisi lagtee he .
[align=center]
[/align]
Posted: Sat Apr 26, 2008 1:58 am
by muhammad_19k
Posted: Sat Apr 26, 2008 10:31 am
by Khurshidul Hasan Naiyer
MuHtarma ReHanah Ahmed sb
Tasleemaat
Ghazal ke khoobSurat pesh kash ke liye mubarakbaad. Khoob achhi ghazal hai or rawanee bhee khoob ahi.
Meri ek raye yeh hai keh teesre sha'er ke pahle misre ko dobaraa dekh leN to achha ho
NiazmaNd
Khurshiudl H. Naiyer
Posted: Sat Apr 26, 2008 12:56 pm
by Rehana.A
Khawer bhaa,i!
atni faraakh dilee se daad dainay ka buhut shukriya .khaaSi huoSlaa afzaa,i hu,ee he mairi ,
teh dil se mamnoon hoon ,buhut buhut shukriya.
Posted: Sat Apr 26, 2008 1:04 pm
by Rehana.A
Khurshidul Hasan Naiyer wrote:MuHtarma ReHanah Ahmed sb
Tasleemaat
Ghazal ke khoobSurat pesh kash ke liye mubarakbaad. Khoob achhi ghazal hai or rawanee bhee khoob ahi.
Meri ek raye yeh hai keh teesre sha'er ke pahle misre ko dobaraa dekh leN to achha ho
NiazmaNd
Khurshiudl H. Naiyer
Khurshidul Hasan Naiyer Sahib!
huoSla afza,ee aur rehnumaa,i ke liay bay Had mamnoon hoon ghazal dobara likh kar
lagaa dee he ,teh dil se shukriya adda kartee hoon aap.
Posted: Sun Apr 27, 2008 7:49 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah ReHanah A janaN SaaHibah tasleemaat!
kese mizaaj haiN? ummeed hai kheriyat se hooN gee. meHfil meN tashreef aawaree ke liye teh-e-dil se mamnoon hooN.
aap kee Ghazal chand dinooN pehle dekh lee thee. sochaa keh deegar dost iz^haar-e-kheyaal farmaa leeN. to maiN kuch a'rZ^ karooN. mashAllah bohot khubSurat aor dilkash Ghazal hai. aap ne baRee saadagee se apne maa fee Z^ameer ko asha'aar kaa roop diya hai. mujheY sabhee asha'aar dil-o-jaan se pasand aae haiN. so meree jaanib se dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
mujheY ummed hai keh aap yooN hee meHfil meN tashreef laa kar hamaree HaoSliah afzaee farmatee raheeN gee. is meN shubah naheeN hai keh yeh meHfil aap aesee abad nawaaz shakhSiyaat se aabaad hai.
Muzaffar A Muzaffar
Posted: Mon Apr 28, 2008 10:49 am
by jawaid badauni
Azeezah ReHanah JanaN SaaHibah aadaab
behud mukammal aur murassah ghazal kahee hai aap ne. beHud meHnat ki hai
yaqeenan daad ki Haqdaar haiN aap. meri janib se daad qubool farmaaiyega.
Mundarjah zel sher ke Hawale se kuch Arz karna chaahta hooN:
nahiN dhaRkan kabhi rooktii kabhi tou sun too ai Zalim
SadayeN tum ko dil deta raha hao koo ba koo barsoN
mundarjah bala sher meN aap ne pahle misre meN apne mehboob
ko "tou" kah kar muKhatib kiya hai ab doosrey miSrey meN "Tum ko deta raha"
hai nahiN kah saktee haiN. Is aib ko suKhan men shutar Gurbah ka naam diya
gaya hai. aap ko doosrey misrey meN bhi "SadayeN TUJH ko dil deta raha hai"
hi kahna hoga. mujhe Hairat hai mujh se qabl tabsarah karne walon ki nazar is
per kyuuNker nah gaii! baharHal mera e'traz baraye tAAmeer hai baraye e'traaz nahiN.
ummid hai aaindah bhi apne kalam se in mushairoN ki zeenat meN izafah farmayeNgee.
Aapka muKhliS
Jawaid