Tarahee Ghazal mushairah Urduduniya.com
Posted: Tue May 06, 2008 7:40 pm
ik bhikari kah raha tha tera kya reh jayega
jo faqeeroN ko diya bus woh bachaa reh jayega
kis meN dum hai waqt ki aaNdhee kare gee faiSlah
"jis diye meN jaan ho gee woh diyaa reh jaaeY gaa"
Khoon.e Haq taareeKh ke auraaq se miT’ta nahiN
muddatoN tak daagh SafHoN per laga reh jayega
yeh makaN yeh gaaRiyaaN yeh teri ooper ki kamaii
tou chala jayega sub ka sub dhara reh jayega
beTiyaN pehneNgee aglee nasl ki aisa libaas
baap bechara bus un ko dekhta reh jayega
ai musafir humsafar hoN ge nah rehbar tere sath
Khaar rah jayeNge purKham rasta rah jayega
kaise ai :Jawaid: unke Gham ka daman choR dooN
zindage meN meri phir jine ko kya reh jayega
aapki giraNqadr aara ka muntazir,
Jawaid Badauni