Page 1 of 1
moshirah # 40 k liye aik chhoti c koshish
Posted: Thu May 08, 2008 9:22 pm
by mujahid
salam
Posted: Fri May 09, 2008 10:32 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biradaram Mujahid SaaHib tasleemaat!
rawaN mushae'rah ke liye aap kee Ghazal kisee khubSurat toHfah se kam naheeN. sabhee asha'aar dilkash aor khubSurat haiN. mushae'rah meN aap kee shirkar HaoSlah afzaa hai. maiN aap kaa teh-e-dil se mamnoon hooN. tashreef laate raheN ge to bohot khushee ho gee. aor yooN hameeN bohot kuch seekhne sikhaane ke mowaqe' bhee milte raheeN ge.
Ghazal ke sabhee she'er qaabil-e-daad haiN. asha'aar par dilee daad-o-mubarak baad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Posted: Wed May 14, 2008 9:47 am
by muhammad_19k
Mujahid SaHeb,
khoob ghazal kahi aap ne daad qubool kijiaye.
1. sher achhcha aahi. --------------------------nahi mil rahaa ye moqa ke woh giRgaRa ke ro-aye--------woh ki takraar se bachne ke leeaye
2. kuch khaaS samajh nahi aayaa.
3. jo oar woh ki kuch gaR baR lag rahi hai.
4. ye bhi achchaa sher hai.
5. achhchhaa ahi. usse ko hameN bhi kiyaa ja saktaa hai.
6. khyaal achaa hai laikin behtari ki gunjaish hai ( waise to woh har sher meN hi hoti hai.) agar aap mutmain heN to theek hai.
mukhliS
Posted: Wed May 14, 2008 2:23 pm
by Khurshidul Hasan Naiyer
muHtaram mujahid Sb
Assalaam a'laikum
bahut achhee ghazal pesh kee hai aap ne. tamaam asha'aar pasNd aaye. daad or mubarak baad pesh hai qubool farmaayeN
khair aNdesh
Khurshidul H. Naiyer