Page 1 of 1

Lafz par Ashaar#4--"IBADATH "

Posted: Wed Feb 23, 2005 1:11 pm
by syed bilal armaan
Ab ek naya unwan(topic) hazir hai "IBADATH ".
is unwan par bhi app apne pasandida ashar bhejein. (-BILAL)




roz taroun ki IBADATH main kalal padta hai
chand pagal hai andher'oun main nikal padta hai.

Posted: Thu Feb 24, 2005 5:31 am
by Hashmat Usmani
gir ke kal paanuuN pe uske ek bosaa de diyaa
sar ke bal sajde meN girnaa bhii ibaadat hii to hai


Hashmat Usmani

Posted: Thu Feb 24, 2005 12:33 pm
by Shummu
Apni Zaat ke mehwar mein tujhey Zum kar loon
Ibaadaton mein tera Ishq bhi raqam kar loon

Terey Ashkon se ho agar "Wazoo" na-mumkin
Mein terey Jissm Ki Matti se "Tayamum" kar loon :-)

Posted: Fri Feb 25, 2005 8:33 am
by syed bilal armaan

jis ko haasil ho zindagi ka sha'or
us ka jeena bhi ek ibaadat hai...

Posted: Sat Feb 26, 2005 8:39 am
by Shummu
ibaadat karate hai.n jo log jannat kii tamannaa me.n
ibaadat to nahii.n hai ik tarah kii vo tijaarat hai

Posted: Sat Feb 26, 2005 1:25 pm
by syed bilal armaan

hum ney yo'un bhi teri ibaadat ki hai
ba wajoo hokar tere khat ki tilawat ki hai.

Posted: Sun Feb 27, 2005 10:45 am
by Ibn-e-siddique
saraapa rehn-e-ishq-o-naa.guzeer-e-ulfat-o-hastii
ibaadat barq ki karta hooN aur afsos Hasil ka

Ibaadat

Posted: Sun Feb 27, 2005 11:18 am
by Abdullah Nazir
[red]


Sir jhukaalene se mukammal nahiN houtaa sajdah
bandagi wo hei ke jis meiN hou Ibaadat dil se

[/color]

Nazir.


Ibaadat

Posted: Thu Mar 03, 2005 7:01 pm
by Abdullah Nazir



Nah poochiye ke ibaadat meiN aarzoo kyaa hei

bajuz tumhaare bhalaa mere robaroo kyaa hei.



Nazir.


Posted: Sat Mar 05, 2005 11:49 am
by syed bilal armaan

bilal! ibaadat kar lo ya phir mohabbat kar lo
waqt hi kitna hai azaa'n se namaz tak....

"ibaadat"

Posted: Sat Mar 05, 2005 2:36 pm
by Abdullah Nazir



Ibaadat karrahaa hooN bekhudii meiN

uThegaa sar nah tere aastaaN se



Nazir.