Page 1 of 1
jo mushkil rastaa hay
Posted: Fri May 09, 2008 10:55 pm
by rukhsar
Aadab ek ghazal hazir-e khidmat hay aapki aaraa ka intizaar rahayga
GHAZAL
jo mushkil raasta hay
vohi hum nay chounaa hay
kinaray par khRay ho
vo koi doobtaa hay
meray ander hi ander
vo kitnaa boltaa hay
faqat kirdaar hain hum
yeh sub likhkha hoa hay
koi manzil nahi to
yeh par kiun toltaa hay
har ek manzar nazar main
bhut bheega hoa hay
sanbhal jaengay aakhir
abhi dhachka lagaa hay
faqat ek dil hay apna
so vo khali paRaa hay
mohabbat chahtaa hay
ARY Pagal hoa hay
.....................
aara ka muntazir
Rukhsar
Re: jo mushkil rastaa hay
Posted: Fri May 09, 2008 11:10 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
rukhsar wrote:Aadab ek ghazal hazir-e khidmat hay aapki aaraa ka intizaar rahayga
GHAZAL
jo mushkil raasta hay
vohi hum nay chounaa hay
kinaray par khRay ho
vo koi doobtaa hay
meray ander hi ander
vo kitnaa boltaa hay
faqat kirdaar hain hum
yeh sub likhkha hoa hay
koi manzil nahi to
yeh par kiun toltaa hay
har ek manzar nazar main
bhut bheega hoa hay
sanbhal jaengay aakhir
abhi dhachka lagaa hay
faqat ek dil hay apna
so vo khali paRaa hay
mohabbat chahtaa hay
ARY Pagal hoa hay
.....................
aara ka muntazir
Rukhsar
moHtaram Rukhsar SaaHib aadaab!
kese mizaaj haiN? maiN baakheriyat hooN.
aap kee Ghazal dekhee kiyaa kehne aap ne waqa'ee bohot khubSurat asha'aar kahe haiN. meree jaanib se is khubSurat aor dilpazeer koshish par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
ummeed hai aae'ndah bhee tashreef late raheeN ge.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Posted: Mon May 12, 2008 6:27 am
by Khurshidul Hasan Naiyer
muHtaram Rukhsaar Sb
pahlee baar aapse mukhat^ib hooN. ek achhee ghazal par daad lekar. chooTee baHar par Ghazal kahnaa ek mushkil kaam hai. jisko aapne baDee khoobSoortee se aNjaam diyaa hai.
miree janib se daad hee daad qubool farmaeN.
umeed hai aap ma'lkhair hoNge
mukhlis
Khurshidul H. Naiyer
Posted: Wed May 14, 2008 12:02 am
by rukhsar
mohtaram Muzaffar sahib
aadab
mizaj-e giraami
aapki houslaa afzaai ka bhut shukriyaa aap hazraat ki housla afzaai say mazeed himmat
aa jati hay bhut shukriyaa
rukhsar
Posted: Wed May 14, 2008 12:07 am
by rukhsar
Khurshidul Hasan Naiyer
SAHIB aadab
mizaj-e giraami
aapki daad aur housla afzaai ka be had mamnoon hon bhut shukriyaa nawazish
rukhsar
Re: jo mushkil rastaa hay
Posted: Wed May 14, 2008 10:03 am
by muhammad_19k
Janab Rukhsaar SaHeb,
aadaab. aap ki ghazal bohat shaandaar aor pur acar hai mubaarak baad qubool kijiaye. ashaar ka inifiraadi acar ye rahaa.
jo mushkil raasta hay
vohi hum nay chounaa hay-------------------------------------bohat khoob.
kinaray par khRay ho
vo koi doobtaa hay----------------------------------------------bohat khoob.
meray ander hi ander
vo kitnaa boltaa hay--------------------------------------------zabardast.
laikin ye andar hi andaar wali baat kyaa hoee. Sirf aek andar kaafi nahi thaa?
faqat kirdaar hain hum
yeh sub likhkha hoa hay-----------------------------------------ye bohat saadaa sher aor 'aam khyaal hai.
koi manzil nahi to
yeh par kiun toltaa hay------------------------------------------ye kon? is ki waZaHat nhi hoti
har ek manzar nazar main
bhut bheega hoa hay---------------------------------------------zabardast.
sanbhal jaengay aakhir
abhi dhachka lagaa hay------------------------------------------bohat khoob.
abhi Sadma nayaa hai. is ke baarey men kyaa khyaal hai aap ka?
faqat ek dil hay apna
so vo khali paRaa hay-----------------------------------------------theek.
mohabbat chahtaa hay
ARY Pagal hoa hay--------------------------------------------------zabardast.
mukhliS,