Page 1 of 1

she'r tab warq par utartaa hai

Posted: Mon May 12, 2008 6:47 am
by Khurshidul Hasan Naiyer
[align=center]aHbaab Urdubandhan

assalaam a'laikum

ek ghazal aap sab kee naz^r hai


she'r tab warq par utartaa hai
dil pa jab zakhm koyee kartaa hai

phool yaadoN ke zard paRne par
raNj o gham raNg ismeiN bhartaa hai

hai bahut shaaq judaayee lekin
door ho kar bhi din guzartaa hai

deedah dar par lagaaye baiThaa miraa
kon ab intaz^aar karta hai

wahee hotaa hai she'r meiN manz^oom
jo tire khayaal se ubhartaa hai

qeemtee tabhee hotaa hai :Naiyer:
jab yeh dil TooT ke bikhartaa hai


Khurshidul H. Naiyer[/align]

Re: she'r tab warq par utartaa hai

Posted: Wed May 14, 2008 10:21 am
by muhammad_19k
Khurshid SaHeb,

walaikum us salam.

kaise heN aap? inheN bazmoN ki badolat aap ke naam aor kalam se shanashai ho chuki hai. kuch mazeed aap ke baare meN pataa chalay to bohat khusi ho gi. kyaa aap apne tuaraf ka link day sakte heN.

chaliaye aate heN ghazal ki tara. sach to ye hai abhi paRhi nahi :). chaliaye ab paRhtaa jaataa hoo aor saath saath comments bhi daitaa jaataa hooN.


she'r tab warq par utartaa hai
dil pa jab zakhm koyee kartaa hai------------------------------------hmm

zakham karnaa par shayed koi aitraaz uTh aa-aye. maire zehn ne to fori tor par is sher ko aise qubool kiyaa.

sher kab warq par utartaa hai?
zakm jab dil pe koi lagta hai.


phool yaadoN ke zard paRne par
raNj o gham raNg ismeiN bhartaa hai----------------------------------------hmm

aap yehi kehnaa chah raheN na ke jab yaadeN pheeki paRhti heN to ranj o gham ki wajaa se phir taazi ho jaati heN? to is meN do qabaHeteN heN

1. dard ho raaha hai to yaad kaise pheeki paRh sakit hai
2. sher aap walaa mafhoom bhi kuch mushkils se hi adaa kar rahaa hai.

hai bahut shaaq judaayee lekin
door ho kar bhi din guzartaa hai---------------------------------------------khyaal achchaa hai.

pehla miSra bebeHr hogyaa hai.


deedah dar par lagaaye baiThaa miraa
kon ab intaz^aar karta hai--------------------------------------------------achchaa hai.

kuch lafzoN ka hair phir mumkin hai.

deedah dar par laaga-ye baiThaa ab
miraa kon intezaar kartaa hai?

laiye ham hee khat^aa karte haiN
aap se zulf kab saNwartaa hai-----------------------------------------------ohh ho

zulf saNwartaa to patHan bhayoN wali urdu ho gayee.[:)] zulf to saNwarti hai.
pehla miSra bhi bebeHr lag rahaa hai.

wahee hotaa hai she'r meiN manz^oom
jo tire khayaal se ubhartaa hai-------------------------------------------------achchi koshish hai.

meN is ko is taraH daikhtaa hooN.

'aks dhaltaa hai sh'er ki Soorat.
jo tiri yaad se ubhartaa hai.

qeemtee tabhee hotaa hai :Naiyer:
jab yeh dil TooT ke bikhartaa hai[/color]-----------------------------------pehla miSra bebHer ho gyaa hai.

qadr is ki bhalaa hai kia :Nayer:
lo! ye dil TooT kar bikhartaa hai.


so majmooee tor ye aek achhchhi koshish hai jis meN aap ke nazuk khyaalaat ko baaNdhne ki koshish ki hai.


mukhliS,

Posted: Wed May 14, 2008 1:42 pm
by Khurshidul Hasan Naiyer
Shukriyaa khawar Sb

aap mere baare meiN jaan kar kiyaa kareNge. maiN ne zulf waale she'r ko jismeN ek baRee Ghaltee ho gayee thee remove kardiyaa hai, baqee aap kee bateN sar aaNkhoN par.

mashware kaa shukriyaa.

wassalam

iHsaan maNd


Khurshidul H. Naiyer