Page 1 of 1

Aik ghazal

Posted: Fri May 16, 2008 1:47 pm
by rafat
Azizan-e- Mahfil Aadab

Urdu Bandhan ke bazan phle murtaba hazir hoo rahe hoon aik ghazal ke saath tawajah farmiyie ga bohat shukriya
rafat

Jee rahee hoon ke mar gaaie hoon meiN
Reza reza bikhar gaie hoon meiN

Tan-e- tanha hoon reegzarooN mein
KarwaaN se bichar gaie hoon meiN

Khuaab jab se hooie heiN dariya burd
Sahiloon se bhee dar gaie hoon meiN

Garme_a-shoouq ab naheiN baqee
mujamid hoon thithar gaie hoon meiN

malgijee hoo gaie hein sab mazar
dhudlakooN meiN ottaar gaie hoon meiN

Posted: Fri May 16, 2008 6:43 pm
by muhammad_19k
[align=center]rafat,

Image

aap ki ghazal bohat achchhi hai. mairi t^araf se dheroN daad qubool kijiaye

[/align]

regards,

Re: Aik ghazal

Posted: Tue May 27, 2008 2:11 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah Rafat SaaHibah aadaab!

Aap kee Ghazal dilkashee aor khubSuratee meN apna jawaab aap hai. sabhee asha'aar dil ko chu gae haiN. meree jaanib se dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.



Jee rahee hoon ke mar gaaie hoon meiN
Reza reza bikhar gaie hoon meiN

Tan-e- tanha hoon reegzarooN mein
KarwaaN se bichar gaie hoon meiN

Khuaab jab se hooie heiN dariya burd
Sahiloon se bhee dar gaie hoon meiN

Garme_a-shoouq ab naheiN baqee
mujamid hoon thithar gaie hoon meiN

malgijee hoo gaie hein sab mazar
dhudlakooN meiN ottaar gaie hoon meiN
Azizan-e- Mahfil Aadab

Urdu Bandhan ke bazan phle murtaba hazir hoo rahe hoon aik ghazal ke saath tawajah farmiyie ga bohat shukriya
rafat

Jee rahee hoon ke mar gaaie hoon meiN
Reza reza bikhar gaie hoon meiN

Tan-e- tanha hoon reegzarooN mein
KarwaaN se bichar gaie hoon meiN

Khuaab jab se hooie heiN dariya burd
Sahiloon se bhee dar gaie hoon meiN

Garme_a-shoouq ab naheiN baqee
mujamid hoon thithar gaie hoon meiN

malgijee hoo gaie hein sab mazar
dhudlakooN meiN ottaar gaie hoon meiN


ummeed hai meHfil meN tashreef laatee raheeN gee.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Re: Aik ghazal

Posted: Tue May 27, 2008 10:37 am
by jawaid badauni
moHtarmah Rafat SaaHibah,
aadaab

muKhtaSar magar nihayat Gair riwayatee Ghazal se nawazah hai aap ne. behud munfarid aur dishwaar qawafee ke istaimal ne Ghazal ko aur bhi dilkuch bana diya hai. meri daad quabool farmaaiye.

Aapka MukHilS
Jawaid Badauni

Re: Aik ghazal

Posted: Wed May 28, 2008 9:56 pm
by rafat
Azizan-e- Mohtaram
Aadab
Aap sab ke huslaafzie keliye behad momnoon hoon
Aap ne mere nachez kawish ko sarraha ic izzatafzaie keleiye mashkoor hoon
Rafat

Re: Aik ghazal

Posted: Fri May 30, 2008 12:08 pm
by sbashwar
Mohtaramah Rafat Saahiba
:salaam:

Khush-amdeed urdubandhan par.
Ghazal umad hai. Yeh sheir zyada pasand ayaa:

Tan-e- tanha hoon reegzarooN mein
KarwaaN se bichar gaie hoon meiN

Re: Aik ghazal

Posted: Tue Jun 17, 2008 9:17 pm
by rafat
Mohtaram sbashwar Sahib
Ghazal ke pasandeedge aur husla afzaie ke liye bohat mashkoor hoon
Rafat