Page 1 of 1

miree daastaane Hasrat woh sunaa sunaa ke roye

Posted: Sun May 18, 2008 8:35 am
by Khurshidul Hasan Naiyer
[align=center]Yaaran-e-maHfil adaab


meree adnaa see kawish pesh hai. apnee aaraa se nawazeN.

kisee bewafa kee jaanib yeh qadam baRhaaa ke roye
raah-e-a'aashiqee mein apnaa dil-o-jaaN luTaa ke roye

jinheN thaa Ghuroor apnee hee adaae dilbaree kaa
:miree dastaan-e-Hasrat woh sunaa sunaa ke roye:

hai yeh aaghee-e-ulfat huwaa Gham se aashnah woh
shab-o-roz jis se apnaa gham-e-dil chhupaa ke roye

yahee bazm-e-zindagee hai yahN kuch bhee t^ay naheeN hai
kabhee ham sajaa ke maHfil to kabhee uThaa ke roye

naheeN Gham ko yaN baqaa hai nah khushee ko jawidaanee
abhee khush huwey adaa par abhee zakhm khaa ke roye

hai yeh dastaan-e-ulfat yeh Ghazal nahiN hai pyaare
jise aap sun ke roye jise ham sunaa ke roye

idhar aa Gham-e-muHabbat tujhe ham gale lagaa leiN
yeh hamheeN mein HoSlah hai jo gale lagaa ke roye

junooN kah rahaa hai :Naiyer: keh chiraaGh Gham jalaa rakh
haiN kherad ke bazm waale jo bujhaa bujhaa ke roye
[/align]


[align=center]khair aNdesh

Khurshidul H. Naiyer[/align]

Posted: Tue May 20, 2008 1:06 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Biradaram Naiyar SaaHib tasleemaat!

mushae'rah meN aap kee shirkat ke liye shukriyah qubool keejiye. Aap kee Ghazal naz^ar afreez huee mashAllah achchee koshish hai. meree jaanib se is khubSurat Ghazal par dilee daad qubool keejiye.


haNs haNs ke barq see woh dil par giraa ke roye
miraa ghar samajh ke apne ghar ko jalaa ke roye

maZ^moon to achchaa hai lekin donooN miSre' beHer meN naheeN aasake.

jinheN thaa Ghuroor apnee hee adaae dilbaree kaa
:miree dastaan-e-Hasrat woh sunaa sunaa ke roye:

Waah Waah! kiya kehne!

hai yeh aaghee-e-ulfat huwaa Gham se aashnah woh
shab-o-roz jis se apnaa gham-e-dil chhupaa ke roye

Kiya kehne Waah! Waah Waah! lajaawaab she'er hai. Waah! :clap01:

yahee bazm-e-zindagee hai yahN kuch bhee t^ay naheeN hai
kabhee ham sajaa ke maHfil to kabhee uThaa ke roye

Bohot khoob waah Waah! kamal kar diya hai aap ne!!!! :clap01:

naheeN Gham ko yaN baqaa hai nah khushee ko jawidaanee
abhee khush huwe adaa par abhee zakhm khaa ke roye

Waah! Waah! :ko:=:hai: :abhee khush huwa:======>kabhee khush huwey ada par: "huwa" =:huwey:

hai yeh dastaan-e-ulfat yeh Ghazal nahiN hai pyaare
jise aap sun ke roye jise ham sunaa ke roye

Bohot khoob Waah Waah Waah Waah! kiya kehne Waah! :clap01:

idhar aa Gham-e-muHabbat tujhe maiN gale lagaa looN
ham hee chaak gareebaaN haiN jo gale lagaa ke roye

Waah! dusra miSra' beHer se khaarij ho geyaa hai. aor shutar gurbah bhee paedah ho geya hai. aopar ke miSta' meN :maiN: aor neeche :ham: ke baae'c!

junooN kah rahaa hai :Naiyer: keh chiraaGh Gham jalaa rakh
jo kherad haiN payambar woh ise bujhaa ke roye

dusra miSra' beHer meN naheeN aasakaa.

mushae'rah meN tashreef aawaaree kaa dobarah shukriyah!

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Posted: Tue May 20, 2008 7:11 am
by Khurshidul Hasan Naiyer
muHtaram Muzaffar Sb

tasleemaat

aap ne meree adna see kawish per apna qeemtee waqt diyaa or daad ke saath saath iSlaaH bhee farmayee. maiN aapkaa mamnoon o mashkoor kooN. meraa HoSlah baRhaa. Allah aap ko jazaaye khair de.

maiN ne mat^la' ko yooN kar diyaa hai

kisee bewafa kee jaanib yeh qadam baRhaaa ke roye
raah-e-a'aashiqee mein apnaa dil-o-jaaN luTaa ke roye

or phir aakhree she'r ko is t^arH

idhar aa Gham-e-muHabbat tujhe ham gale lagaa leiN
yeh hamheeN mein HoSlah hai jo gale lagaa ke roye

maqt^a' ke bhee behtaree kee koshis kee hai

junooN kah rahaa hai :Naiyer: keh chiraaGh Gham jalaa rakh
haiN kherad ke bazm waale jo bujhaa bujhaa ke roye

aap ko furSat mele to dekhleN or phir apnee raye se nawazeN

ummeed hai aap bakhair hoNge

khair aNdesh

Khurshidul H. Naiyer

Re:

Posted: Thu May 22, 2008 11:38 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Khurshidul Hasan Naiyer wrote:muHtaram Muzaffar Sb

tasleemaat

aap ne meree adna see kawish per apna qeemtee waqt diyaa or daad ke saath saath iSlaaH bhee farmayee. maiN aapkaa mamnoon o mashkoor kooN. meraa HoSlah baRhaa. Allah aap ko jazaaye khair de.

maiN ne mat^la' ko yooN kar diyaa hai

kisee bewafa kee jaanib yeh qadam baRhaaa ke roye
raah-e-a'aashiqee mein apnaa dil-o-jaaN luTaa ke roye

or phir aakhree she'r ko is t^arH

idhar aa Gham-e-muHabbat tujhe ham gale lagaa leiN
yeh hamheeN mein HoSlah hai jo gale lagaa ke roye

maqt^a' ke bhee behtaree kee koshis kee hai

junooN kah rahaa hai :Naiyer: keh chiraaGh Gham jalaa rakh
haiN kherad ke bazm waale jo bujhaa bujhaa ke roye

aap ko furSat mele to dekhleN or phir apnee raye se nawazeN

ummeed hai aap bakhair hoNge

khair aNdesh

Khurshidul H. Naiyer
Naiyar SaaHib aadaab!

Ghazal kee na'ee shakl dilkash hai.
mat^la' meN :yeh: ko :jo: se badal deN.
deegar asha'aar bohot khubSurat haiN.

aap kee she'eree SalaHiyateeN qaabil-e-rashk haiN. Allah kare Z^aor-e-qalam aor zeyaadah!

Wassalam
Muzaffar

Re: miree daastaane Hasrat woh sunaa sunaa ke roye

Posted: Sat May 24, 2008 7:42 am
by Khurshidul Hasan Naiyer
muHtaram Muzaffar Sb

assalaam a'laikum

site kee jadeed shakl pasaNd aayee. aap kee kaawish ko nazranae muHabbat pesh kartaa hooN.

aap kee nawazishoN kaa bahut bahut shukriyaa keh aapne dobaaraa waqt nikaal kar mujh e daad o taHseen se nawazah. Allah aapko achhaa rakhe

t^aalibe dua'aa

khair aNdesh

Khurshidul H. Naiyer