Page 1 of 1

gazal .

Posted: Sun May 18, 2008 9:03 am
by dilshadnazmi
Azizan_e_urdubandhan,
Salaam _o_alaekum ,
Apni eak gazal aap ki nazr hai , aap ki qeemti aa_ra ka muntazir hoon ,
Dilshadnazmi.


Tawba tawba! Meri shamat mujhey taiyar kare
Sheikh Ki saqi gari! Mujh SA gunahgar kare??

Eak ik saan’s Teri, wasl ka izhar kare
Dast_e_ nazuk hai ke inkar pe inkar kare

Muskurahat pe meri peesta hai dant apney
Tez zalim kabhi talwar pe talwar kare

Aaeina dekhte hi khud pe bahot peyar aaya,
Aks se kahne lage!” koi mujhe peyar kare “

Khaeinch kar taish me chilman KO joonu ne ye kaha.
Bas raqeeb aap ka deedar pe deedar kare!!!???

Khouf_e_ruswai kabhi tez kare qadmo’n ko
WO nazr shoq si chalna kabhi dushwar kare

Zul bikhraey dareechey se koi jhankta hai
Aesey alam me bhala kon gali par kare

Main bhi hoon rah banane ke hunar se waqif
Lakh dilshad koi rah me deewar kare


;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;

Dilshad nazmi ,ksa jubail

Re: gazal .

Posted: Sat May 31, 2008 1:03 pm
by sbashwar
Mohtaram Dilshad Nazmi Saheb
:salaam:

Wah bohat khoob. Ghazal bohat pasand ayee. Har sheir qabil-e-daad hai.
Meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.

Wassalaam
Salem Bashwar

Re: gazal .

Posted: Mon Jun 02, 2008 6:06 am
by dilshadnazmi
sbashwar wrote:Mohtaram Dilshad Nazmi Saheb
:salaam:

Wah bohat khoob. Ghazal bohat pasand ayee. Har sheir qabil-e-daad hai.
Meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.

Wassalaam
Salem Bashwar
;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;


mohtaram salem bashwar.
salam _o_alaekum,
khushi huwi ke aap ne meri iss adna si kawish ko saraha , warna main ne isse bahot pahley yahaa'n chaspaa'n kiya thaa ,
magar shayed kisi ne kisi qabil nahi samjha , khaer aap ki ho'nsla afzai ka be had shukriya ,
mukhlis
dilshadnazmi

Re: gazal .

Posted: Mon Jun 02, 2008 1:11 pm
by Sohail Malik
dilshaad bbhaee salaam!

is khubSuret ghazal per meri jaanib say daad hazir hay.

khair andesh

sohail malik

Re: gazal .

Posted: Mon Jun 02, 2008 3:58 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Biradaram Sohail SaaHib tasleemaat!

Aap kee yeh Ghazal qadr-e-taakheer se dekhee is baat kaa baRaa malaal hai. khaer ab baRee Ghaor se paRhne kaa maoqa' milaa hai. asha'aar achche aor pur kashish haiN. na'ee fikr aor nudrat-e-bayaaN asha'aar ko dilkash bana rahe haiN. jo qaabil-e-daad-o-taoSeef haiN.


Tawba tawba! Meri shamat mujhey taiyar kare
Sheikh Ki saqi gari! Mujh SA gunahgar kare??

Waah!

Eak ik saan’s Teri, wasl ka izhar kare
Dast_e_ nazuk hai ke inkar pe inkar kare

Waah!

Muskurahat pe meri peesta hai dant apney
Tez zalim kabhi talwar pe talwar kare

Waah!

Aaeina dekhte hi khud pe bahot peyar aaya,
Aks se kahne lage!” koi mujhe peyar kare “

Waah!

Khaeinch kar taish me chilman KO joonu ne ye kaha.
Bas raqeeb aap ka deedar pe deedar kare!!!???

kiya kehne!

Khouf_e_ruswai kabhi tez kare qadmo’n ko
WO nazr shoq si chalna kabhi dushwar kare

waah!

Zul bikhraey dareechey se koi jhankta hai
Aesey alam me bhala kon gali par kare

Waah!

Main bhi hoon rah banane ke hunar se waqif
Lakh dilshad koi rah me deewar kare

khoob kaha hai!

meree jaanib se dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar

Re: gazal .

Posted: Sat Jun 07, 2008 1:28 pm
by Anmol
Muzaffar SaaHib, ye ghazal Sohail SaaHib ki nahiiN, balke Dilshad SaaHib ki hai.

Dilshad SaaHib, aadaab!

ye ghazal aap ke maKhsoos rang se qadre mukhtalif hai. ye kalaam bhi pasand aaya, meri jaanib se daad qubool kijiye!

Anmol

Re: gazal .

Posted: Sat Jun 07, 2008 4:25 pm
by Khurshidul Hasan Naiyer
muHtaram Dilshaad Sb

Salam o raHmah

aap kee ghazal baRee achhee or dilkash hai. daad lekar aayaa hooN. farsee to aati naheeN lekin gar qubool uftaNd wall i baat kahtaa chalooN

Khouf_e_ruswai kabhi tez kare qadmo’n ko
WO nazr shoq si chalna kabhi dushwar kare

Zul bikhraey dareechey se koi jhankta hai
Aesey alam me bhala kon gali par kare

yeh asha'aar zeyadah pasaNd aaye

khair aNdesh

Khurshidul H. Naiyer