Mohtaram janab Jawaid SaHeb,
aap ki ghazal ki badaloat bohat se 'aroozi nikaat bhi seekh chukaa hooN. to sochaa kyooN na is par kuch raa-aye bhi day di jaa-aye. mairi koi baat naagwaar lage to paishgi ma'ziraat. kuch tajaaveez bhi hoN gi. jin ka maqSad aap se Sirf ye poochna hai k kyaa meN saHeeH samajh rahaa hooN. aap ki farakhdili hamesha maire HoSla afzaai karti hai.
hameN tou shub meN ujala dikhayee deta hai
aur unko din meN bhi kala dikhayee deta hai -----------------------------------------------hmm
aap ki matla' waqiatan munfarid andaaz ka hai. bohat sochne k b'aad is par daad diaye baghair koi chaaraa nahi.
tou kiya woh shaKhs bhi apne waTan ko choR gaya?
Ab uske dar pe bhi tala dikhayee deta hai---------------------------------------------------zabardast.
laikn
dar pe bhi taalaa ko baa aasaani muHaawara meN badal sakte heN.
ghar pe bhi taalaa . baaqi aap behtar jaante heN.
KhanDar sa bun gaya yeh ghar tumhare jaane ke bAAd
Harek kamrey meN jaala dikhayee deta hai------------------------------------------------
is par to pehlay hi bohat baat ho chuki hai.
Watan GhareeboN ka kya bus udhar hi jaa pahoonchey
Jidhar bhee ek niwalah dikhayee deta hai---------------------------------------------------------bohat khoob.
laikin pahonchne se wataniat ka taSavur kuch khaaS wazeH nhai ho rahaa.
watan ghareeboN ka kya bus waheeN pe aa thehray
jahaaN bhi .............
Ghazab tou dekho keh jismeN nahiN koyee Khoobee
woh sub ko KhoobiyoN wala dikhayee deta hai----------------------------------------------bohat khoob.
Hum apne shahr meN aaye haiN ek muddat bAAd
Harek shaKhS nirala dikhaayee deta hai-------------------------------------------------------muafi chaahtaa hooN.
is ka mafhoom kuch waZeH nahi. niraala se kyaa muraad hai. kyaa aadaat meN niraala, rehne sehne meN niraala ya kisi aor taraH.
Suna hai aaj bhi “Jawaid” hai woh rahrawey Haq
Woh shaKhS Hausley waala dikhayee deta hai----------------------------------------------yahaaN bhi muaafi chaahtaa hooN
doosra miSra zabardast hai laikin pehla miSra kuch Saaf samajh nahi aa rahaa.
mukhliS,