Page 1 of 1

Ghazal-- saaebaaN hi naheeN

Posted: Tue May 20, 2008 3:35 pm
by Sohail Malik
azeezaan e bazm

aaj aap ki khidmet maiN kuch arSa qabl likhi gaee aik ghazal pesh kerta huN

issay dekhiay aur apni raey say nawaaziay

wassalam

sohail malik


1-yeh ik ridaaye munaqqash ka saayebaaN hi naheeN
rah e sauud idher hay! had-e-jahaaN hi naheeN

2-zameen fikr o hunar ko jila bhi daitee hay
shikaar gaah tiri hay yeh aashiaaN hi naheeN

3-junuN ki aag say pighlaa tamaam zanjeeraiN
zamaaN bhi qaid hay teri faqat makaaN hi naheeN

4-samajh lay raaz-e-aqeem-us-salaat bhi naadaaN
tiray wajud ko darkaar aab o naaN hi naheeN

5-jisay karay nahiN sairaab chashma-e-aalaa
woh zindegi ki nadi dam bah dam rawaaN hi naheeN

6-malaekaa say tiraa sarsari ta'aaruf hay
bajuz khudaa kay tiraa koee raazdaaN hi naheeN

7-hay muztarib dil-e-saaqi pilaye jaam kissay
baRay dinoN say yahaaN garmi-e-fughaaN hi naheeN

8-yeh haadiCay tiray mehkum haiN khabar nah tujhay
keh tu mureed o nigahdaar-e-kehkashaaN hi naheeN

9-giraaN hay dasht nawardi so kia milay is ko
shaheed-e-saaya-e-tuubaa yeh kaarwaaN hi naheeN

10-nah jaanay kitnay maraahil haiN muntazir tairay
rah-e-hayaat maiN teri yeh do jahaaN hi naheeN

11-nah tuu samajh keh sukuN laamakaaN maiN paey gaa
yeh justuju hay wahaaN bhi faqat yahaaN hi nahiN

12-muSeebatoN say bachaa kar nawaaz day tuu mujhay
karam bhi chahuN tiraa maiN faqat amaaN hi naheeN

13-arooz o qafiaa bandi say shaeri go sajay
magar khayaal bina maqSad-e-bayaaN hi naheeN