Page 1 of 1
GuZarish#40 pesh-e-khidmat hai.
Posted: Fri May 23, 2008 12:23 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
yaaraan-e-meHfil-e-mushae'rah tasleemaat!
rawaN mushae'rah meN apnee shirkat ko Ghaneemat samajhte huwe chand she'er pesh-e-khidmat haiN. mulaHiZ^ah farma kar mamnoon farmaaiye.
Ghazal
1,
mire khun-e-Aarzu ko woh baha baha ke roey
miraa dil jalaane wale miraa dil jala ke roey!
2,
koee jaa ke kuch khabar le keh aseer-e-qaryah-e-Gham
kabhee sar paTakh ke roey kabhee ghar jala ke roey!
3,
koee kaash us se pooche tiree kaj adaaee kiyaa hai?
shab-e-Gham kee teeragee meN jo diyaa jalaa ke roey!
4,
Gham-e-do jahaN ne dil ko yoN bana diyaa hai paththar
nah yeh shaadmaaN thaa paa kar nah tujhe gaNwaa ke roey!
5,
miree weHshatooN kaa un par yeh huwaa acar :Muzaffar:
"miree daastaan-e-Hasrat woh sunaa sunaa ke roey"
Muzaffar AHmad Muzaffar
Re: GuZarish#40 pesh-e-khidmat hai.
Posted: Fri May 23, 2008 5:59 am
by muhammad_19k
Muzaffar bhai,
jab se bandhan par aa rahaa hooN aap ki aisi mukhtaSir ghazal kabhi na daikhi, andaaza hotaa hai k aap bohat maSroof heN. laikin ye gham e duniyaa bhalaa aap ko sher kehne se kaise roktaa. so phir bhi aap ne chand ashaar keh hi diaye.
1,
mire khun-e-Aarzu ko woh baha baha ke roey
miraa dil jalaane wale miraa dil jala ke roey!-------------------------------------------------------------bohat khoob.
2,
koee jaa ke kuch khabar le keh aseer-e-qaryah-e-Gham
kabhee sar paTakh ke roey kabhee ghar jala ke roey!---------------------------------------------------wah wah.
3,
koee kaash us se pooche tiree kaj adaaee kiyaa hai?
shab-e-Gham kee teeragee meN jo diyaa jalaa ke roey!-------------------------------------------------zabardast.
agar aise likhe deN to?
koee kaash us se pooche "tiree kaj adaaee kiyaa hai"?
4,
Gham-e-do jahaN ne dil ko yoN bana diyaa hai paththar
nah yeh shaadmaaN thaa paa kar nah tujhe gaNwaa ke roey!------------------------------------------bohat khoob.
gaNwaa ke royaa hotaa to aek baar hotaa, gaNwaa ke roaye, amal e musalsal lag rahaa hai. so agar shaadmaaN thaa ko bhi shaadmaaN ho kar diyaa jaa-aye to khona/paanaa laga rahay aor bayaqeeni ki kafiat paidaa oh
na ye shaadmaaN ho paa kar na tujhe gaNwaa ke roaye
5,
miree weHshatooN kaa un par yeh huwaa acar :Muzaffar:
"miree daastaan-e-Hasrat woh sunaa sunaa ke roey"---------------------------------------------------------zardast.
huwaa acar>>>>>>>>>>>>>>>>> acar huwa?
ashar bohat achhchhe heN daad qubool kijiaye.
mukhliS,
Re: GuZarish#40 pesh-e-khidmat hai.
Posted: Sat May 24, 2008 1:53 pm
by Khurshidul Hasan Naiyer
muHtaram Muzaffar Sb,
Assalaam a'laikum
aap kee yeh muKhtaSar see Ghazal pasaNd ayee. sabhee asha'aar qabeele sad taHseen haiN. magar pahlee baar aapkee itnee mukhtaSar see Ghazal dekhne ko milee. shaayad ke mushGhuliayat ziyadah hogee. khair khobsoorat alfaaz^ se sajee hoyee Ghazal pasaN aayee. ek baar phir daad Haz^ir hai.
khair aNdesh
Khurshidul H. Naiyer
Re: GuZarish#40 pesh-e-khidmat hai.
Posted: Sat May 24, 2008 2:22 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biradaram Khawar SaaHib tasleemaat!
Aap ne SaHeH andazah lagaya hai. maiN waqa'ee aaj kal khaSee maSroofiyat kaa shikaar ho geya hooN. aek to Gham-e-roozgaar hai woh to khaer har kisee ko laaHiq hai. is ke e'lawah maqaamee mushae'ere haiN. Urdu ababee aor Ghaer ababee sargarmiyaaN haiN. Urdu ijtima'aat aor un kee taiyaaree hai. :Dastak: kaa kaal hai. Urduduniya Urdubandhan aor deegar chaopalooN kee zimmah daaree hai.
t^arHee maSaara' par chalte phirte she'er waarid honaa shuro' ho jate haiN. to kisee kaaGhaz par likh choortaa hooN. ba'ad meN bachche us kaaGhaz ko apne istema'aal meN le aate haiN aor khabhee kaaGhaz kee kashtee aor ba'aZ^ aoqaat hawaaee jahaz bana kar takhleeq kaa galah ghooNT dete haiN.
qillat-e-waqt ko dekhte huwe ab 5/7/9 asha'aar par hee iktefaa karnee kaa iradah hai. daraSl yeh kheyaal bhee daaman geer hai keh t^uweel GhazleeN kaheeN khaar-e-eHbaab par giraaN nah guzreeN. ba eeN wajah ab ikhteSaar se kaam lenaa shuro' kiya hai.
aap kee tajaweez hameshah darkhur-e-tawajjah-o-taqleed hotee haiN. maiN is nawazish ke liye mamnoon-e-eHsaan hooN.
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Re: GuZarish#40 pesh-e-khidmat hai.
Posted: Sat May 24, 2008 2:32 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Khurshidul Hasan Naiyer wrote:muHtaram Muzaffar Sb,
Assalaam a'laikum
aap kee yeh muKhtaSar see Ghazal pasaNd ayee. sabhee asha'aar qabeele sad taHseen haiN. magar pahlee baar aapkee itnee mukhtaSar see Ghazal dekhne ko milee. shaayad ke mushGhuliayat ziyadah hogee. khair khobsoorat alfaaz^ se sajee hoyee Ghazal pasaN aayee. ek baar phir daad Haz^ir hai.
khair aNdesh
Khurshidul H. Naiyer
A'zeez moHtaram Naiyar SaaHib tasleemaat!
jee Naiyar SaaHib in dinooN khaadim waqa'ee maSroofiat kaa shikaar hai. jee to chahataa hai keh zeyaadah waqt adabee kamooN ko dooN lekin maSroofiyat hai keh is kee ijaazut hee naheeN detee.
is t^arH par pehle 9 asha'aar kee Ghazal ho gaee thee. kaheeN rakh ke bhool geyaa. chand she'er yaad reh gae the. so ab pesh kar diye haiN. ba'ad meN wohee Ghazal mujhe paanee ke Tab meN milee. jis kaaGhaz par likhee thee use mere 2 saalah beTe ne apne bhaee se kashtee banwaa kar paanee meN Dubo diya shaayad woh isee qaabil thee.
Aap kee HaoSlah afzaee aor kalam hazah meN baRhtee huee dilchaspee himmat barhaa detee hai. maiN aap kaa mamnoon-o-eHsaan mand hooN.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar