Page 1 of 1

Meri ek aur taza Ghazal...........

Posted: Tue May 27, 2008 9:05 am
by jawaid badauni

zameer unka nahiN raha hai mujhe yehee sub bata rahe haiN
tou jurm karne se qabl unke yeh paaoN kyuun Dagmaga rahe haiN

muSeebatoN meN jo dostoN ke daroN pe hum khaTkhaTa rahe haiN
hameN Khabar hai woh kya kareNge hum unko bus aazma rahe haiN

mire kisaanoN ne Khudkushe ki, Khudara aisa kabhi nah kahna
khushee se Khud apni jaan dekar woh qarz apna chuuka rahe haiN

yeh Gair mulkoN ki chiknee saRkeN nigaah kyuuN unpe Daalee maiN ne
mujhe watan ki saRak ke gadhdhe ab aur bhee yaad aa rahe haiN

kisee ki yaadoN se mera rishta bus itna samjho bus itna jaano
charaG kuch bujh gaye hawa se tou ab bhi kuch jhilmila rahe haiN

waTan ko choRa chaman ko choRa khushee se “Gang.o.Jaman” ko ChoRa
nah jane kya kya gaNwaya hum ne tou chund sikke kama rahe haiN

zara suno tou zamane walo! nayee ghazal ho rahee hai shayad
Janab.e “Jawaid” baiThe baiThe nah jane kya gunguna rahe haiN
------------------------------------------------------------------------------

Aapki giraaNqadr aara ka muntazir,
Jawaid Badauni

Re: Meri ek aur taza Ghazal...........

Posted: Tue May 27, 2008 5:57 pm
by muhammad_19k
Salam Jawaid SaHeb,

ghazal ki majmoo' taacur bohat shaandaar hai. aor ashaar ka infiradi acar ye hai,

zameer unka nahiN raha hai mujhe yehee sub bata rahe haiN
tou jurm karne se qabl unke yeh paaoN kyuun Dagmaga rahe haiN---------------------bohat khoob.

muSeebatoN meN jo dostoN ke daroN pe hum khaTkhaTa rahe haiN
hameN Khabar hai woh kya kareNge hum unko bus aazma rahe haiN-------------------wah wah. zabardast.

mire kisaanoN ne Khudkushe ki, Khudara aisa kabhi nah kahna
khushee se Khud apni jaan dekar woh qarz apna chuuka rahe haiN-------------------- hmm

khushi kis baat ki thi ye nahi samajh sakaa meN

yeh Gair mulkoN ki chiknee saRkeN nigaah kyuuN unpe Daalee maiN ne
mujhe watan ki saRak ke gadhdhe ab aur bhee yaad aa rahe haiN--------------------bohat khoob.

kisee ki yaadoN se mera rishta bus itna samjho bus itna jaano
charaG kuch bujh gaye hawa se tou ab bhi kuch jhilmila rahe haiN------------------ wah wah

waTan ko choRa chaman ko choRa khushee se “Gang.o.Jaman” ko ChoRa
nah jane kya kya gaNwaya hum ne tou chund sikke kama rahe haiN----------------- bohat khoob. janab bohat khoob.

zara suno tou zamane walo! nayee ghazal ho rahee hai shayad
Janab.e “Jawaid” baiThe baiThe nah jane kya gunguna rahe haiN-------------------- ahaa haa. bohat khoob.

maqta' bohat pasand aayaa. daad qubool kijiaye,

Re: Meri ek aur taza Ghazal...........

Posted: Tue May 27, 2008 8:07 pm
by jawaid badauni
muhammad_19k wrote:Salam Jawaid SaHeb,

Azeezi Khawar SaaHab,
aadaab

Urdubandhan ka naya roop rung aap sub ko mubarak ho. Ghazal aap ko achchi lagee. Shukriya.

Jis sher meN Khushee lafz per aap ko Hairat huuwee wahaN Khushee se muraad "apni marZee" hai masarrat nahiN. Sher ke lab.o.lehje per tawajjo farmaya kijiye.

mujhe bohat Khushee hai keh azeem Urdudaan aur SaHafee janab Tariq Ghazi Saahab ne meri is doosree Haliya Ghazal per bhi ek mazmoon se mujhe nawazah hai aur unke is mazmooN se jo Aligarh Urdu Club meN maujood hai mujhe bohat kuch seekhne ka mauqa mila.

Khush raheN!

Jawaid

Re: Meri ek aur taza Ghazal...........

Posted: Fri May 30, 2008 12:24 pm
by sbashwar
Mohtaram Jawaid Saheb
:salaam:

zameer unka nahiN raha hai mujhe yehee sub bata rahe haiN
tou jurm karne se qabl unke yeh paaoN kyuun Dagmaga rahe haiN ----------> Bohat khoob

muSeebatoN meN jo dostoN ke daroN pe hum khaTkhaTa rahe haiN
hameN Khabar hai woh kya kareNge hum unko bus aazma rahe haiN ----------> Wah, haqeeqat se bohat qareeb

mire kisaanoN ne Khudkushe ki, Khudara aisa kabhi nah kahna
khushee se Khud apni jaan dekar woh qarz apna chuuka rahe haiN ----------> daur hazira par achcha sheir kaha aapne

yeh Gair mulkoN ki chiknee saRkeN nigaah kyuuN unpe Daalee maiN ne
mujhe watan ki saRak ke gadhdhe ab aur bhee yaad aa rahe haiN ---------> "Logaun ke mehlooN se apna jhopRa behtar"

kisee ki yaadoN se mera rishta bus itna samjho bus itna jaano
charaG kuch bujh gaye hawa se tou ab bhi kuch jhilmila rahe haiN ---------> bohat accha sheir hai

waTan ko choRa chaman ko choRa khushee se “Gang.o.Jaman” ko ChoRa
nah jane kya kya gaNwaya hum ne tou chund sikke kama rahe haiN ---------> Bohat khoob, kya kehe

zara suno tou zamane walo! nayee ghazal ho rahee hai shayad
Janab.e “Jawaid” baiThe baiThe nah jane kya gunguna rahe haiN

Meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye. Yeh aapki ghazal Nazir saheb ko zuroor sunaonga. insha-allah.

Re: Meri ek aur taza Ghazal...........

Posted: Wed Jun 04, 2008 9:04 am
by jawaid badauni
sbashwar wrote:Mohtaram Jawaid Saheb

mohtaram Bashwar SaaHab
tasleemaat

kuch taaKheer se aap ko jawab de raha hooN, "huuwe taaKheer tou kuch baaiYise Taakheer bhi hoga."

Ummid hai mizaj bakhair hoNge. Ghazal ki pazeeraayee ke liye aap ka behud mamnoon hooN. Ummid hai aapne mere nacheez Ghazal moHtarm Nazir SaHib ki Khidmat meN pesh ki hogee. unki Sihat ki Taraf se fikr rahtee hai. dil chaahta woh ek baar phir hamari maHafil meN shamil hoN.

Khair talab,

Jawaid Badauni

Re: Meri ek aur taza Ghazal...........

Posted: Thu Jun 05, 2008 11:59 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biradaram Jawaid SaaHib aadaab-o-tasleemaat!

Aap kee Ghazal chand dinooN qabl dekhee thee lekin raaye nah de sakaa. so ab HaaZ^ir-e-khidmat hooN. asha'aar aap ke apne makhSooS andaaz meN haiN. mua'asharatee aor samaajee masaa'il kee aai'nah daar yeh Ghazal dilee daad aor mubarak baad kee Haqdaar hai. so dilee daad qubool keejiye.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Re: Meri ek aur taza Ghazal...........

Posted: Sat Jun 07, 2008 8:04 am
by jawaid badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Biradaram Jawaid SaaHib aadaab-o-tasleemaat!

Aap kee Ghazal chand dinooN qabl dekhee thee lekin raaye nah de sakaa. so ab HaaZ^ir-e-khidmat hooN. asha'aar aap ke apne makhSooS andaaz meN haiN. mua'asharatee aor samaajee masaa'il kee aai'nah daar yeh Ghazal dilee daad aor mubarak baad kee Haqdaar hai. so dilee daad qubool keejiye.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Azeezi wa moHibbee Muzaffar Saahab,
aadaab

"der aayad durust aayad". Ghazal ki pazeeraayee ke liye mamnoon hooN. jahaN tak ho sakega maiN ab isee rung meN shairee karooNga. Himmat afzaayee ke liye ek baar phir shukriya.

Aapka MuKhliS

Jawaid