Page 1 of 1

raasta to ho

Posted: Sat May 31, 2008 6:00 pm
by poetrazi
manzil agar nahin hay koi raasta to ho
apnay bhataktay rehnay ka ik silsila to ho

mayri talaash main karay khud ko koi talaash
mayri tara say khud ko koi dhoondta to ho

us ka wisaal mojzay sy kum sahi magar
is mojzay sy barh k koi mojza to ho

main ik charaagh aur too khushboo bhari hawa
phir bhi main chaahta hoon tera saamna to ho

jo mil chuka hy kho k usay phir karain talaash
jeewan guzaarnay ka koi mashghala to ho

hum bhi zaroor laut k ghar jaain shaam ko
laykin hamari raah koi daykhta to ho

Re: raasta to ho

Posted: Mon Jun 02, 2008 2:44 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Poetrazi SaaHib tasleemaat!

kese mizaaj haiN. meHfil meN ek khubSurat Ghazal ke saath tashreef aawaree ke liye mamnoon hooN.
nihayat dilkash kalam hai. sabhee asha'aar meN nudrat-e-bayaaN kee aesee khubSurat mucaaleeN haiN keh dil khush ho geyaa. Z^aroorat hai keh aesee takhleeqee kawishooN kee daaGh bel Daalee jae.

manzil agar nahin hay koi raasta to ho
apnay bhataktay rehnay ka ik silsila to ho

Waah Waah!

mayri talaash main karay khud ko koi talaash
mayri tara say khud ko koi dhoondta to ho

Kiya kehne! Waah!

us ka wisaal mojzay sy kum sahi magar
is mojzay sy barh k koi mojza to ho

Waah!

main ik charaagh aur too khushboo bhari hawa
phir bhi main chaahta hoon tera saamna to ho

Kiya kehne Waah Wah!

jo mil chuka hy kho k usay phir karain talaash
jeewan guzaarnay ka koi mashghala to ho

Waah Waah!

hum bhi zaroor laut k ghar jaain shaam ko
laykin hamari raah koi daykhta to ho

Bohot khoob! Waah!

meree jaanib se dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Re: raasta to ho

Posted: Sat Jun 07, 2008 1:38 pm
by Anmol
Aadaab, Razi SaaHib!

aap ki ghazal bahut pasand aayi, daad qubool kijiye!

Anmol

Re: raasta to ho

Posted: Sat Jun 07, 2008 1:50 pm
by Khurshidul Hasan Naiyer
muHtaram Jb. Razi Sb

salaam o raHmah

ek achhee or dilkash Ghazal par daad qabool farmaayeN

wassalaam

Khurshidul Hasan Naiyer