tazah t^araHee Ghazal pesh-e-khidmat hai.
Posted: Mon Jun 16, 2008 2:17 pm
Yaaraan-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat!
bandah apnee koshish le kar HaaZ^ir-e-khidmat hai. mulaaHiZ^ah keejiye.
Ghazal
1,
tujheY paa ke yeh maajraa ho geyaa!
maiN maojood thaa laa pataa ho geyaa!
2,
judaaee meN kuch kam thaa dard-e-jigar
magar tujh se mil ke siwaa ho geyaa!
3,
tere naam kee paRh ke tasbeeH ham
yeh samjhe keh zikr-e-khudaa ho geyaa!
4,
muHabbat use Ghaer se ho gaee
Chalo Yaar dard aashnaa ho geyaa!
5,
uThaa jab kabhee meraa dast-e-t^alam
tiraa naam Harf-e-dua'aa ho geyaa!
6,
tiraa naam sun ke machalne lagaa
"najaaneY mireY dil ko kiyaa ho geyaa"
7,
use naqd-e-jaaN de ke masroor hooN
:Muzaffar: yeh Haq bhee adaa ho geyaa!
Muzaffar A Muzaffar