GHAZAL BY YUSUF JAMAL-Shaakhon men sabz rang ki lahren jo ..
Posted: Mon Jun 16, 2008 4:32 pm
Shaakhon men sabz rang ki lahren jo aayengi
Patton pe taalian bhi hawaayen bajayengi
Pazmurda tehniyon pe parinde na aayenge
Sukhe shajar ko munh bhi baharen chirhayengi
Chehron pe Qahat saali ka manzar liye huwe
Lamhon ki dastaken bhi kiwaren sunayengi
parwaaz shauq per mujhe itna hai etamaad
Rangeen titliyan kabhi mujhko uraayengi
Baaqi nahi hai zehan me ab mousamon ke naam
Guzri huyi ruton ki na yaaden sataayengi
Tha rang asl jis men wo shai qadr kho chuki
Naqlee jo rangaten hai wo dil ko lubhayengi
shishe ki har khanak se yahan dolta tha man
Ab seep ki hai chooriyan kiya khankhanyengi
Mujhko khabar na thi ke yeh ghazlen meri kabhi
Haddi ka dhancha faaqon se mujhko banayengi
Dil me panap rahi hain tamannayen jo jamal
yeh thokaron pe thokaren mujhko lagayengi
YUSUF JAMAL
RAJGANGPUR-770017
Orissa- India