Page 1 of 1

Guzarish #41 par ek koshish

Posted: Tue Jun 17, 2008 8:58 am
by Khurshidul Hasan Naiyer
muHtaram aHbaa-e-bazm

Assalaam a'laikum

meree tukbaNdiyaaN to kayee dinoN se likhee paRee thee. magar himmat naheeN horahee thee keh Haz^ir hooN. Jb muHtaram Muzaffar Sb kee khubsoorat Ghazal dekhee to maiN bhee makhmal meiN TaaT kee t^arH se aa gayaa hooN. ek naz^ar ho sake to idher bhee karleN. asha'aar yooN huwe haiN keh.....

miree ab maantaa koyee naheeN hai
:mujhe pahchaantaa koyee naheeN hai:

taGhaful kee naz^ar aesaa huwaa hooN
keh jaise jantaa koyee naheeN hai

bayaaN karne se kuchh hotaa hai halkaa
Ghama-e-dil baNtaa koyee naheeN hai

tumheN bhee pyaar ho ek saNg dil se
sewaa iske dua'aa koyee naheeN hai

hai dard-e-dil i'naayat dostoN kee
Khudaa tum se gilah koyee naheeN

shanasaayee ho tiree dard-e-dil se
miraa ab mudua'aa koyee naheeN hai.

unheN phooloN kee qeemat kya pataa ho
jiNheN kaaNTaa chubhaa koyee naheeN hai

mat^ab par dard-e-dil ke ab haiN taale
keh ismeiN mubtalah koyee naheeN hai

haiN goahar saNg rezoN meiN chhupe par
phaTakta chhaNtaa koyee naheeN hai

hai gudRee meiN chhupaa ek laal :A'aajiz:
unheN pahchaanta koyee naheeN hai

hameshah se hunar par muflisoN ke
nigaaheN Daaltaa koyee naheeN hai

lahoo jaltaa hai tab hotee hai GhazleN
ise par aaNktaa koyee naheeN hai.

chalaa aataa hooN maiN bazm-e-sukhan meiN
magar gardaantaa koyee naheeN hai

palaT kar dekhte ho kisko :Naiyer:
tumheN detaa Sadaa koyee naheeN hai


mashq-e-sukhan :by: khurshidul Hasan Naiyer

Re: Guzarish #41 par ek koshish

Posted: Fri Jun 20, 2008 12:45 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Khurshidul Hasan Naiyer wrote:
muHtaram aHbaa-e-bazm

Assalaam a'laikum

meree tukbaNdiyaaN to kayee dinoN se likhee paRee thee. magar himmat naheeN horahee thee keh Haz^ir hooN. Jb muHtaram Muzaffar Sb kee khubsoorat Ghazal dekhee to maiN bhee makhmal meiN TaaT kee t^arH se aa gayaa hooN. ek naz^ar ho sake to idher bhee karleN. asha'aar yooN huwe haiN keh.....

miree ab maantaa koyee naheeN hai
:mujhe pahchaantaa koyee naheeN hai:

taGhaful kee naz^ar aesaa huwaa hooN
keh jaise jantaa koyee naheeN hai

bayaaN karne se kuchh hotaa hai halkaa
Ghama-e-dil baNtaa koyee naheeN hai

tumheN bhee pyaar ho ek saNg dil se
sewaa iske dua'aa koyee naheeN hai

hai dard-e-dil i'naayat dostoN kee
Khudaa tum se gilah koyee naheeN

shanasaayee ho tiree dard-e-dil se
miraa ab mudua'aa koyee naheeN hai.

unheN phooloN kee qeemat kya pataa ho
jiNheN kaaNTaa chubhaa koyee naheeN hai

mat^ab par dard-e-dil ke ab haiN taale
keh ismeiN mubtalah koyee naheeN hai

haiN goahar saNg rezoN meiN chhupe par
phaTakta chhaNtaa koyee naheeN hai

hai gudRee meiN chhupaa ek laal :A'aajiz:
unheN pahchaanta koyee naheeN hai

hameshah se hunar par muflisoN ke
nigaaheN Daaltaa koyee naheeN hai

lahoo jaltaa hai tab hotee hai GhazleN
ise par aaNktaa koyee naheeN hai.

chalaa aataa hooN maiN bazm-e-sukhan meiN
magar gardaantaa koyee naheeN hai

palaT kar dekhte ho kisko :Naiyer:
tumheN detaa Sadaa koyee naheeN hai


mashq-e-sukhan :by: khurshidul Hasan Naiyer
moHtaram Naiyar SaaHib tasleemaat!

kese mizaaj haiN. ummeed hai kheriyat se hooN ge. mushae'rah meN aap kee Ghazal dekh kar jee bohot khush huwaa. keh aap ne itnee talaash aor lagan se she'er kahe haiN aor woh bhee itnee baRee ta'daad meN kiyaa kehne! asha'aar meN aek khaaS dilkashee aor dard kee leY Saaf meHsoos hotee hai. aap ne baRee hunar mandee se asha'aar meN apne maa fee Z^ameer ko ujaagar karnee kee kaamyaab koshish kee hai. jo qaabil Sad daad-o-teHseen hai.

ummeed hai keh aap agle mushae'rah meN bhee shirkat farma kar mamnoon farmaeeN ge.

khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar[/b]