Saghar Khayyami marHoom ko Khiraaj.e a'qeedat
Posted: Sun Jun 22, 2008 6:00 pm
Tanz.o.mizaah sub ko haNsaate tou haiN magar
Khud aaj ro rahe the bohat phooT phooT kar
maiN ne kaha bataao mujhe runj ka sabab
tum aur mehv.e girya yeh tou ho gaya ghazab
ai tanz tere dum se tabassum hai barqaraar
is daur men wagarna harik dil hai sogwaar
yeh kya huuwa keh aane lagee tere lub pe aah
tou ne hi tou sikhaya tha haNsana hameN mizaah!
kyuuN baaYiS.e sukoon hi muztar hai ai Khuda !
HairaaN tha maiN keh aaj zarafat ko kya huuwa
aaKhir mizaah.o.tanz ne mujhko diya jawab
kya baaYiSe alam hai kaheN kis TaraH janab
Hum jis pe naaz karte the woh shaKhS mar gaya
Woh taajdaar tha jo jahaN se guzar gaya
Maila kafan huuwa nah “Dilawar Figar” ka
“Saghar” ka asra tha so ab woh bhi chal basa
Hum ne hamesha sub ko haNsaya hai kya KareN
“Saghar” ne aaj hum ko rulaya hai kya KareN
Dil aisa muztarib hai keh baqi nahiN Hawas
Qit’aat mehv-e girya haiN nazmeN haiN mehv-e yaas
Ik hum hi kya jahaan-e suKhan sogwaar hai
Urdu tou yuuN bhee roz GhamoN ka shikaar hai
Tanz.o.mizaah karne lage mujh se ilteja
Lillaah dil se kijiye ik baar yeh doa
M’aabbod unke sare gunahoN ko baKhsh dey
ChoTee BaRee tamam KhatoN ko baKh dey
Sardaar-e anbiya’* ki shafa’at naSeeb ho
“Saghar” ko ai Khuda tiree jannat naSeeb ho
----------------------------------------------------
* SAWW
Jawaid Badauni