Page 1 of 1

GHAZAL

Posted: Fri Feb 25, 2005 8:37 am
by Waqar Zaidi
GHAZAL

WOH KITNAY BAD NASEEB INSAAN HAIN JIN KO GHAM NAHIN MILTAY
KEH ZAIBA HI NAHIN WOH ZULF JIS MAIN KHAM NAHIN MILTAY

WOH LAMHA KAUN SA LAMHA HAY JIS LAMHAY MAIN HAM TUM SAY
LAHOO DIL KO KIYE BA DEEDA E PUR NAM NAHIN MILTAY

BAKHEELI KI ADAOON MAIN BHI HAD DARJA SAKHAWAT HAY
AGAR MILNAY PAR AA JAYAIN TO HAM SAY KAM NAHIN MILTAY

ZAMANAY KAY SABAB SAY HAY TABIAAT SARGARAAN AISI
KISI SAY DIL NAHIN MILTA KISI SAY HAM NAHIN MILTAY

WAQAR APNAY TO SHERON MAIN RIWAYAT HI JHALAKTI HAY
SAHAR JAISAY MAGAR AFKAR E TAZA DAM NAHAIN MILTAY


( SAHAR........MAIRAY USTAD E MUHTARAM PR.SAHAR ANSARI )



WAQAR ZAIDI.

Posted: Fri Feb 25, 2005 3:24 pm
by Shummu
wah wah wahhhhhhhhhh ek aur khoobsurat ghazal rawaangi se bharpoor... is ghazal pe bhi dheron daad haazir hai Waqar sahab :grin: Aap SUBJECT mein ghazal ka koi ek misra likh diya kijiye...aise Thora idea mil jaayega ke kis mood ki ghazal hai :grin:

Shumaila