Page 1 of 1
baat aisee huyee hai kyaa SaaHeb?: ek Ghazal
Posted: Sun Jul 06, 2008 1:56 pm
by Sarwar A. Raz
yaaraan-e-Bandhan: aadaab!
ek Ghazal pesh kar rahaa hooN. aap kee raaYe kaa intizaar rahe gaa. shukriyah!
Sarwar A. Raz :Sarwar:
=============================================
GHAZAL
baat aisee huyee hai kyaa SaaHeb?
ho gaYe aap kyoN Khafaa SaaHeb?
kuchh to kahiYe kahaaN kee yeh aaKhir
lag gayee aap ko hawaa SaaHeb?
khaamashee aur aisee Khaamoshee!
kab muHabbat meN hai rawaa SaaHeb?
haaYe yeh kaisee be-niyaazee hai
raNg-e-hastee bikhar gayaa SaaHeb!
kyaa koyee mujh se bad-gumaanee hai?
taubah, taubah, Khudaa, Khudaa! SaaHeb!
yaad hai aap ko keh maiN hooN kaun?
aashnaa aur baa-wafaa! SaaHeb!
mujh se koyee agar shikaayat hai
keejiYe aap barmalaa SaaHeb!
chhoRiYe, ab mu,a'af kar deejiYe
kuchh agar ho kahaa sunaa SaaHeb!
dostee aur aashtee ke siwaa
is jahaaN meN rakhaa hai kyaa SaaHeb?
aap dil meN haiN, aap aaNkhoN meN
meree Soorat hai aa,eenaa SaaHeb!
reh-rav-e-raah-e-aashnaayee hooN
gar cheh hooN maiN shikastah-paa SaaHeb!
dardmandee ke aur muHabbat ke
wa'de sab keejiYe wafaa SaaHeb!
maiN bhee ho jaa,ooN aap hee jaisaa
mere Haq meN kareN du,a'a SaaHeb!
behr-e-tajdeed-e-shauq :Sarwar: ko
yaad karnaa hai kyaa buraa SaaHeb?
========================================
Sarwar A. Raz :Sarwar:
Re: baat aisee huyee hai kyaa SaaHeb?: ek Ghazal
Posted: Sun Jul 27, 2008 5:21 am
by jawaid badauni
Sarwar A. Raz wrote:yaaraan-e-Bandhan: aadaab!
ek Ghazal pesh kar rahaa hooN. aap kee raaYe kaa intizaar rahe gaa. shukriyah!
Sarwar A. Raz :Sarwar:
=============================================
GHAZAL
baat aisee huyee hai kyaa SaaHeb?
ho gaYe aap kyoN Khafaa SaaHeb?
kuchh to kahiYe kahaaN kee yeh aaKhir
lag gayee aap ko hawaa SaaHeb?
khaamashee aur aisee Khaamoshee!
kab muHabbat meN hai rawaa SaaHeb?
haaYe yeh kaisee be-niyaazee hai
raNg-e-hastee bikhar gayaa SaaHeb!
kyaa koyee mujh se bad-gumaanee hai?
taubah, taubah, Khudaa, Khudaa! SaaHeb!
yaad hai aap ko keh maiN hooN kaun?
aashnaa aur baa-wafaa! SaaHeb!
mujh se koyee agar shikaayat hai
keejiYe aap barmalaa SaaHeb!
chhoRiYe, ab mu,a'af kar deejiYe
kuchh agar ho kahaa sunaa SaaHeb!
dostee aur aashtee ke siwaa
is jahaaN meN rakhaa hai kyaa SaaHeb?
aap dil meN haiN, aap aaNkhoN meN
meree Soorat hai aa,eenaa SaaHeb!
reh-rav-e-raah-e-aashnaayee hooN
gar cheh hooN maiN shikastah-paa SaaHeb!
dardmandee ke aur muHabbat ke
wa'de sab keejiYe wafaa SaaHeb!
maiN bhee ho jaa,ooN aap hee jaisaa
mere Haq meN kareN du,a'a SaaHeb!
behr-e-tajdeed-e-shauq :Sarwar: ko
yaad karnaa hai kyaa buraa SaaHeb?
========================================
Sarwar A. Raz :Sarwar:
moHtarmee Sarwar Raz SaaHab,
aadaab
aapki ghazal per meri nazar bohat der se paRi. mera is Taraf aanaa jaana zara kum hi ho raha hai. kuch maSroofiyaat ke sabab ab net per hi kum aata hooN.
Ghazal beHud Haseen hai. taqreeban tamam asha'ar musalsal ya Qit'abund jaise mehsoos hote haiN. yaa'ni mukammal ghazal taqreeban ek hi ruNg meN hai. mundarjazel sher ziyadah achcha laga:
maiN bhee ho jaa,ooN aap hee jaisaa
mere Haq meN kareN du,a'a SaaHeb!
meri daad qubool farmaaiye.
aapka muKhliS
Jawaid
Re: baat aisee huyee hai kyaa SaaHeb?: ek Ghazal
Posted: Tue Jul 29, 2008 9:34 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Sarwar A'alam Raz Sarwar SaaHib tasleemaat!
bazm-e-Urdubandhan meN aap kee shirkat baai'c-e-iftekhaar-o-musarrat hai. so tashreef aawaaree ke liye saraapaa sipaas hooN.
Ghazal ganjeenah-e-Harf-o-mua'nee hai. rawaayatee usloob-e-Ghazal kohnah mushq-e-sukhan kaa mutaqaaZ^ee hotaa hai. kalam se Saaf z^aahir hai keh aap ne rawaayat kaa daman haath se nah jaane diya aor iz^haar ke liye Ghazal ke peraae ko muntakhib karte huwe caqah shua'raa kee perawee meN shahkaar Ghazal takhleeq kee hai.
jo Husn-e-Ghazal kaa aek HaseeN eHsaas liye huwe hai.
meree jaanib se is kaamyaab aor dilawaez Ghazal par guldastah-e-daad qubool keejiye. mazeed kalam-e-moa'tabar kaa intez^aar rahe gaa.
Wassalam
Muzaffar a Muzaffar
Re: baat aisee huyee hai kyaa SaaHeb?: ek Ghazal
Posted: Thu Aug 07, 2008 4:03 am
by Sarwar A. Raz
qiblah Jawaid SaaHeb:aadaab!
bandah-nawaazee aur Ghareeb-parwaree ke liYe mamnoon-o-mutashakkir hooN. Ghazal par daad us par :sone par suhaagah: keh leejiYe! shukriyah!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Re: baat aisee huyee hai kyaa SaaHeb?: ek Ghazal
Posted: Thu Aug 07, 2008 4:05 am
by Sarwar A. Raz
mukarramee Muzaffar SaaHeb: aadaab!
der aayad durust aayad? Ghazal pasand karne aur apne maKhSooS andaaz meN daad dene kaa bohat bohat shukriyah! aap kee nawaazishaat mere liYe bohat haiN. Khush rahiYe:
aur darwesh kee Sadaa kyaa hai!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Re: baat aisee huyee hai kyaa SaaHeb?: ek Ghazal
Posted: Wed Oct 29, 2008 12:27 am
by afzalshah
Sarwar A. Raz wrote:yaaraan-e-Bandhan: aadaab!
ek Ghazal pesh kar rahaa hooN. aap kee raaYe kaa intizaar rahe gaa. shukriyah!
Sarwar A. Raz :Sarwar:
=============================================
GHAZAL
baat aisee huyee hai kyaa SaaHeb?
ho gaYe aap kyoN Khafaa SaaHeb?
kuchh to kahiYe kahaaN kee yeh aaKhir
lag gayee aap ko hawaa SaaHeb?
khaamashee aur aisee Khaamoshee!
kab muHabbat meN hai rawaa SaaHeb?
haaYe yeh kaisee be-niyaazee hai
raNg-e-hastee bikhar gayaa SaaHeb!
kyaa koyee mujh se bad-gumaanee hai?
taubah, taubah, Khudaa, Khudaa! SaaHeb!
yaad hai aap ko keh maiN hooN kaun?
aashnaa aur baa-wafaa! SaaHeb!
mujh se koyee agar shikaayat hai
keejiYe aap barmalaa SaaHeb!
chhoRiYe, ab mu,a'af kar deejiYe
kuchh agar ho kahaa sunaa SaaHeb!
dostee aur aashtee ke siwaa
is jahaaN meN rakhaa hai kyaa SaaHeb?
aap dil meN haiN, aap aaNkhoN meN
meree Soorat hai aa,eenaa SaaHeb!
reh-rav-e-raah-e-aashnaayee hooN
gar cheh hooN maiN shikastah-paa SaaHeb!
dardmandee ke aur muHabbat ke
wa'de sab keejiYe wafaa SaaHeb!
maiN bhee ho jaa,ooN aap hee jaisaa
mere Haq meN kareN du,a'a SaaHeb!
behr-e-tajdeed-e-shauq :Sarwar: ko
yaad karnaa hai kyaa buraa SaaHeb?
========================================
Sarwar A. Raz :Sarwar:
muhtaram Sarwar A. Raz sahib salam !
bohut khoob sahib kiya kehnay masha'allah aap hi ke'h saktay haiN
aisi pur'kaif ,fikr aNgaiz ,raNgeen,khoobsurat ghazal
khushi huii
aap nay jao bhi kucch kaha saahib
aap hi kao hay ye rawa saahib
mairi taraf say bohut bohut daad qubool farmaa'iye
talib-e-duaa
AFZAL SHAH