Page 1 of 1

Guzarish#42 ke liye mere chand she'er!

Posted: Tue Jul 29, 2008 9:15 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
yaaraan-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat!

mushae'rah meN apne chand she'eroon ke saath haaZ^ir ho rahaa hooN. yeh abhee chand lamHooN pehle maozooN huwe haiN. pas aap eHbaab ke zaoq-e-mut^aalea'ah kee nazr karte huwe khushee aor masarrat se do chaar hooN. mujhe ummeed hai keh sabhee dost apnee qeematee aaraa' se Z^aroor nawazeeN ge. jis ke liye maiN mamnoon hooN gaa. aap kee himmat afzaaee ke liye peshgee shukriyah bhee pesh-e-khimat hai.

Ghazal

barbaadee-e-hastee kee taSweer naz^ar aaee!
"shaayad ke bahaar aaee Zanjeer naz^ar aaee"

itnaa to huwaa aakhir bismil ke taRapne se
woh jaan-e-tamannaa bhee dilgeer naz^ar aaee!

meHshar nah bapaa kar de deewaanah sar-e-meHfil
TooTee huee wehshee kee Zanjeer naz^ar aaee!

Is jaadah-e-hastee peh khun-e-dil-e-a'aashiq hee
khuwaab-e-shab-e-hijraaN kee ta'beer naz^ar aaee!

Qismat se milaa thaa woh ek lamHah muHabbat meN
gardan peh :Muzaffar: jab shamsheer naz^ar aaee!

Muzaffar A Muzaffar
[/color][/size]