Insha Allah Khan :Insha: kee ek Ghazal
Posted: Mon Aug 18, 2008 4:34 am
yaaraan-e-meHfi: aadaab!
Insha Allah Khan "Insah" agle zamaaneh ke asaatiZah meN shumaar hote the. bohat Zaheen aur munfarid mizaaj rakhte the. un kee ek mash,hoor Ghazal pesh kar rahaa hooN. is ke kayee she'r har shaKhS kee zabaan par chaRhe huwe haiN. aap ko Ghazal yaqeena" pasand aaYe gee.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
========================
Ghazal
Insha Allah Khan :Insha:
kamar baaNdhe huwe chalne ko yaaN sab yaar baiThe haiN
bohat aage gaYe baaqee jo haiN tai,yyaar baiThe haiN!
nah chheR ai nakhat-e-baad-e-bahaaree raah lag apnee
tujhe aThkheliyaaN soojhee haiN ham bezaar baiThe haiN!
taSawwur a'rsh par hai aur sar hai paa-e-saaqee par
GharaZ^ kuchh aur dhun meN is ghaRee maiKhwaar baiThe haiN
basaan-e-naqsh-e-paa-e-rehrawaaN koo-e-tamannaa meN
naheeN uThne kee t^aaqat, kyaa kareN laachaar baiThe haiN
najeeboN kaa a'jab kuchh Haal hai is daur meN yaaro
jise poochho yehee kehtaa hai, ham bekaar baiThe haiN!
yeh apnee chaal hai uftaadagee se ab keh, pehroN tak
naz^ar aayaa jahaaN par saayah-e-deewaar, baiThe haiN!
bhalaa gardish falak kee chain detee hai kise :Insha:
Ghaneemat hai jo ham-Soorat yahaaN do-chaar baiThe haiN
===================================