Page 1 of 1
marSiya Janab Ahmad Faraz marHoom
Posted: Tue Aug 26, 2008 7:18 am
by jawaid badauni
Re: marSiya Janab Ahmad Faraz marHoom
Posted: Wed Aug 27, 2008 5:39 am
by Khurshidul Hasan Naiyer
muHtaram Jb Badauni Sb
adaab
aap kaa ersaal kardah marSiyaa khul naheeN paa rahaa hai. na jaane yeh mere PC ka noqS hai yaa a'aam.
khair aNdesh
Khurshidul Hasan Naiyer
Re: marSiya Janab Ahmad Faraz marHoom
Posted: Wed Aug 27, 2008 7:18 am
by jawaid badauni
Khurshidul Hasan Naiyer wrote:muHtaram Jb Badauni Sb
adaab
aap kaa ersaal kardah marSiyaa khul naheeN paa rahaa hai. na jaane yeh mere PC ka noqS hai yaa a'aam.
khair aNdesh
Khurshidul Hasan Naiyer
moHtarmee Khurshidul Hasan Niyer Saahab, tasleemaat
inhee wojooHaat ke peshe nazar main Roman ko tarjeeh deta hooN.
Aap aisa kijiye :
Pl right click, then click at "show picture". It will be visisble.
MaiN marSiya Roman meN likh huwwa bhi irsaal kar raha hooN.
KhulooSkaar,
Jawaid
pahle Janab.e “Faiz” hameN choRkar gaye
phir “Qasmi”, “Niayazi” JahaN se guzar gaye
“Ahmad Faarz” jin se suKhan meN bahaar thee
ab gulsitaaN-e she’r ko veeraan kar gayee
ro ro ke Urdu kahtee hai “Ahmed Faraz” se
tum kya gaye keh dil ke sub armaan mar gaye
maayuusiyaN nah itni sukhan ko huuweeN kabhee
kitne hi is jahaan se ahl-e nazar gaye
purnam haiN ahle zauq ki aaNkheN woh kya kareN
lagta hai jaise Sabr ke paimaney bhar gaye
nasloN ko yaad aayeNge SadiyoN tak ai “Faraz”
asha’ar teer bunke jo dil meN utar gaye
hai hai suKhan ne dekhe thEy kaise Haseen Khuwaab
pal bhar meN TooT kar jo zameeN per bikhar gaye
Sub ki doa hai Khuld a’taa ho “Faraz” ko
Jo aj kooch a'arZee duniya se kar gaye