Page 1 of 1
HaathoN Kii LakeeroN Main......
Posted: Wed Aug 27, 2008 3:49 pm
by munir-armaan-nasimi
Pyare Dosto aur Azeez Saathiyo,
Salaam-o-Rehmat !! Ek Ghazal pesh-e-khidmat hai, apni aara se nawazein... aur apne DuaoN main mujhe bhi..... YAAD rakhkhein.
Shukriya !
aap ka apna,
munir armaan nasimi
GHAZAL
haathoN kee lakeeroN meN muqaddar naheeN hotaa
har jeetne waalaa bhee Sikandar naheeN hotaa!
jhuktee hai jabeeN apnee faqat^ ek hee dar par
dar dar jo bhaTke woh qalandar naheeN hotaa
daryaa kee rawaanee use de detee hai wus,a't
taalaab kee qismat meN samundar naheeN hotaa
gehraayee naheeN jis meN bhalaa shaa,i'ree kyaa hai?
har qaafiyah-paimaa to suKhanwar naheeN hotaa
miltee hai jise chhooT sitam Dhaane kee "Arman"
qaanoon kee naz^roN meN sitamgar naheeN hotaa
<<<With thanks to Sarwar Saaheb>>>
Re: HaathoN Kii LakeeroN Main......
Posted: Thu Aug 28, 2008 12:21 am
by Sarwar A. Raz
Munir saaheb: aadaab!
aap kee Ghazal mujh ko to nazar naheeN aayee. kahaaN hai?
Sarwar A. Raz :Sarwar:
Re: HaathoN Kii LakeeroN Main......
Posted: Sat Aug 30, 2008 12:21 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Muneer Saahib aadaab!
Sarwar SaaHib bajaa farma rahe haiN keh Ghazal naz^ar naheeN aarahee.
Wassalam
Muzaffar
Re: HaathoN Kii LakeeroN Main......
Posted: Sat Aug 30, 2008 6:39 am
by munir-armaan-nasimi
Mohtaram Saathiyo,
Intehaayi Mazarat Chaahta hoon keh pahli baar Ghazal theek tarah se "Attach" nahin hoyi thi. Liziye abki baar Urdu aur Roman dono main post kar raha hoon.
aapka apna,
armaan
Re: HaathoN Kii LakeeroN Main......
Posted: Sun Aug 31, 2008 3:37 pm
by sbashwar
Aziz Janaab Munir Saheb
haathoN kee lakeeroN meN muqaddar naheeN hotaa
har jeetne waalaa bhee Sikandar naheeN hotaa!
Apne aqeede ki baat hai. Wah
jhuktee hai jabeeN apnee faqat^ ek hee dar par
dar dar jo bhaTke woh qalandar naheeN hotaa
Kya kehne, bohat khoob
daryaa kee rawaanee use de detee hai wus,a't
taalaab kee qismat meN samundar naheeN hotaa
Accha sheir hai. Wah.
gehraayee naheeN jis meN bhalaa shaa,i'ree kyaa hai?
har qaafiyah-paimaa to suKhanwar naheeN hotaa
Bohat khoob.
miltee hai jise chhooT sitam Dhaane kee "Arman"
qaanoon kee naz^roN meN sitamgar naheeN hotaa
yeh sheir bhi bohat pasand ayaa.
har sheir qabil-e-daad hai. meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Wasslaam
Salem Bashwar
Re: HaathoN Kii LakeeroN Main......
Posted: Thu Sep 04, 2008 11:43 am
by munir-armaan-nasimi
sbashwar wrote:Aziz Janaab Munir Saheb
haathoN kee lakeeroN meN muqaddar naheeN hotaa
har jeetne waalaa bhee Sikandar naheeN hotaa!
Apne aqeede ki baat hai. Wah
jhuktee hai jabeeN apnee faqat^ ek hee dar par
dar dar jo bhaTke woh qalandar naheeN hotaa
Kya kehne, bohat khoob
daryaa kee rawaanee use de detee hai wus,a't
taalaab kee qismat meN samundar naheeN hotaa
Accha sheir hai. Wah.
gehraayee naheeN jis meN bhalaa shaa,i'ree kyaa hai?
har qaafiyah-paimaa to suKhanwar naheeN hotaa
Bohat khoob.
miltee hai jise chhooT sitam Dhaane kee "Arman"
qaanoon kee naz^roN meN sitamgar naheeN hotaa
yeh sheir bhi bohat pasand ayaa.
har sheir qabil-e-daad hai. meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Wasslaam
Salem Bashwar
Mohtaram bhai Salem Saaheb,
Armaan-nawazi ka tah-e-dil se shukr guzaar hoon. aapko meri ghazal pasand aayi... ess se badi baat aur kya ho sakti hai.
Insha'Allah main koshish karoonga keh aaindah bhi aur achcha kehne ki koshish karoon.......!!
Khuda Haafiz,
Armaan