GuZarish#44 bayad-e-AHmad Faraz marHoom!
Posted: Sun Aug 31, 2008 11:03 pm
Yaaraan-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat!
Yeh mushae'rah AHmad faraz marHoom kee yaad meN muna'aqid kiyaa jaa raha hai. un kee ketaab "janaN janaN" se mundarajah-e-zael miSra' muntakhib kiya geyaa hai. ummeed hai. un se apnee e'qeedat kaa iz^haar karte huwe jald az jald apne asha'aar se nawazeeN ge. miSra' mulaHiZ^ah keejiye
"Abhee abhee woh geyaa thaa magar zamanah huwaa"
Sadr-e-mushae'rah janab A'bdullah Nazir SaaHib.
Quwaafi: Zamanah , bahanah, nishaanah, kaafiranah, fasaanah waGhaera.
radeef: :huwaa:
Yeh beHr-e-mujtac makhboon meHZoof kehlaatee hai.
Iska vazn hei:
mufaae'lun.........fae'laatun..........mufaae'lun.........faa'lun
1212..........1122..........1212........112
//0//0..........///0/0.........//0//0......///0
Ijaazut: Ghair qaafiyah band miSra' ke aakhiri rukn ko fa'ilun kii bajaaye fa'ilaat ya faa'lun yaa fe'lun istema'al karsakte heiN.
Ummee hai sabhee dost apne apne kalam se mustafeed hone kaa maoqa' faraham kareeN ge. aor intez^aamiyah ko mamnoon farmaaeeN ge.
mutamannee-e-shirkat
intez^aamiyah Urdubandhan