Page 1 of 1
ek bundey ki faryad apne Khaliq se...............
Posted: Mon Sep 01, 2008 7:06 pm
by jawaid badauni
R a m a d h a n K a r e e m
maanta hooN gunaahgaar hooN maiN
apni Ghaflat pe sharmsaar hooN maiN
har Hadeeth.e Nabi* ko bhoola tha
maiN tou Qura’an hi ko bhoola tha
lazzat-e jism.o.jaaN meN khoya tha
chaar din ke jahaN meN khoya raha
pake ta’aleem bhi raha jahil
kyuuNkeh maiN deen.e Haq se tha Ghafil
raat meN kub kabhi ibaadat ki
jab bhi ki doosroN ki Geebat ki
fikr-e daulat meN maiN raha din raat
bhoolker haj, zakat som salaat
dil meN thee sirf is jahaN ki chaah
maanta hooN ghalat thee meri raah
phir bhi Ma’bood tera bundah hooN
FaKhr se tera kalma paRhta hooN
dil se maiN Ahmadee tou huuN Ya Rub
jaN niSaar.e Nabee* tou huuN ya Rub
koyee tujhse se baRa raheem nahiN
aur tujh sa koyee kareem nahiN
laGzishoN ka sila na de Ma’bood
mujh ko koye saza nah de Ma’bood
yeh jo Ramdhan ka maheenah hai
yeh tou rahmat ka ik Khazeenah hai
ai Khuda mujh ko Haq ki raah dikha
waastah tujh ko rooh.e Ahmad* ka
raghbat.e dahr se riha kar de
maaiil.e deen.e Mustafa* kar de
Apne a’amal per nah sharm aaye
Zindagee merii aisee ho jaaye
Tere mehboob ka moHib bun jaaooN
Aur maddaaH.e Mustafa* kahlaaooN
Mujh ko umr.e daraz bhee de de
Shauq.e roza namaz bhi de de
maiN rahooN mominoN ki SoHbat meN
raat guzre miree I’baadat meN
Sadqaa-e a’al.e Mustafa* mil jaaye
raah.e firdaus ka pata mil jaaye
----------------------------
* SAWW
Jawaid Badauni
Muscat - Oman
Re: ek bundey ki faryad apne Khaliq se...............
Posted: Mon Sep 01, 2008 9:42 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Jawaid Badauni SaaHib aadaab!
Ummeed hai kheriyat se hooN ge. Aap kee yeh fikr angez naz^m dekhee jo taqwiyat-e-eemaan kaa baai'c huee. ise dekh kar maiN kaafi der isee sooch meN Dooba meN Dooba raha keh yeh Z^arooree hai keh insaan khud apnaa muHaaSibah kare aor apnee iSlaH kee jaanib tawajjah kare warnah khuda ne to banee Aadam ko mukammal Dheeyl de rakhee hai. khaer aor shar donooN t^arH ke umoor ke liye woh khudmukhtaar hai. use ikhteyaar hai keh woh kaon saa rastah ikhteyaar kartaa hai. lekin use chahiye keh woh hardam raoz-e-esaab ko zehen meN rakhe aor khudaa se Dare ke us kaa laThee be aawaaz hai.
is naz^m par meree jaanib se mubaral baad qubool keejiye Allah subhanahu ta'alaa aap ko jazaa-e-khaer se nawaze aameen!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Re: ek bundey ki faryad apne Khaliq se...............
Posted: Tue Sep 02, 2008 8:37 am
by sbashwar
Mohtaram Jawaid Badauni Saheb
Ramadhan Mubarak
Bande ka mahisiba nazm mein bohat khoobsority ke saath dhal diya hai aapne.
Allah hum sabko khataoon se door rakhe aur sahi rah dikha ye. Ameen.
raat meN kub kabhi ibaadat ki
jab bhi ki doosroN ki Geebat ki
Ibadat ke saath dekhawa ki ibaadat ka zikr hosakta tha
Geebat ko aliheda joR dete.
Meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Wassalaam
Salem Bashwar
Re: ek bundey ki faryad apne Khaliq se...............
Posted: Tue Sep 02, 2008 5:04 pm
by jawaid badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Jawaid Badauni SaaHib aadaab!
Ummeed hai kheriyat se hooN ge. Aap kee yeh fikr angez naz^m dekhee jo taqwiyat-e-eemaan kaa baai'c huee. ise dekh kar maiN kaafi der isee sooch meN Dooba meN Dooba raha keh yeh Z^arooree hai keh insaan khud apnaa muHaaSibah kare aor apnee iSlaH kee jaanib tawajjah kare warnah khuda ne to banee Aadam ko mukammal Dheeyl de rakhee hai. khaer aor shar donooN t^arH ke umoor ke liye woh khudmukhtaar hai. use ikhteyaar hai keh woh kaon saa rastah ikhteyaar kartaa hai. lekin use chahiye keh woh hardam raoz-e-esaab ko zehen meN rakhe aor khudaa se Dare ke us kaa laThee be aawaaz hai.
is naz^m par meree jaanib se mubaral baad qubool keejiye Allah subhanahu ta'alaa aap ko jazaa-e-khaer se nawaze aameen!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
a'zeezi Muzaffar SaaHab
aadaab
baRee pyaaree baat kahi hai aap ne. apni zaat ka muHaaSibah bohat zaroori hai. yeh nazm maiN ne waah-waah ke liye nahiN kahi thee.yeh tou ek aaSee ke zameer ki awwaz hai. Yeh Nazm kahte waqt Qur'an shareef ke woh alfaz mere zahn meN mahfooz thEy jo kuch is Tarah hai shayad: "qasam Asr ki insaan Khasary meN hai..................".
aap ne Nazm paRhi aur mujhe mubarakbad bhi dee. Bohat bohat shukriya. Khush raheN!
MuKhliS
Jawaid
Re: ek bundey ki faryad apne Khaliq se...............
Posted: Tue Sep 02, 2008 5:08 pm
by jawaid badauni
sbashwar wrote:Mohtaram Jawaid Badauni Saheb
Ramadhan Mubarak
Bande ka mahisiba nazm mein bohat khoobsority ke saath dhal diya hai aapne.
Allah hum sabko khataoon se door rakhe aur sahi rah dikha ye. Ameen.
raat meN kub kabhi ibaadat ki
jab bhi ki doosroN ki Geebat ki
Ibadat ke saath dekhawa ki ibaadat ka zikr hosakta tha
Geebat ko aliheda joR dete.
Meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Wassalaam
Salem Bashwar
moHtarmee Bashwar Saahab
aadaab
Bahut bahut shukriya. Aaap ka mashwara pasand aaya. is per Gaur karooNga.
Yeh Nazm kya thee mere dil ki awwaz thee jis ko sunker aap ne mujh per eHsaan kiya hai. ek baar phir shukriya.
Wassalaam
Jawaid
Re: ek bundey ki faryad apne Khaliq se...............
Posted: Wed Sep 03, 2008 10:22 am
by Khurshidul Hasan Naiyer
muHtaram Jawaid Badauni Sb
Assalaam a'laikum
ek baNde kee faryaad apne Khaliq se. bahut pasaNd aaee. Jb Muzaffar Sb ne Theek likha hai keh imaan tazah hogayaa. Allah SWT ham sab ke dil ko narm farmaae or apnaa khaaS faz^l farmae.
daad or mubaarak baad pesh hai qubool farmaaeN. Ramz^aan kee amad peh mubarak baad or dua'aa kee bhee darkhaSt hai.
aHqar
Khurshidul Hasan Naiyer.
Re: ek bundey ki faryad apne Khaliq se...............
Posted: Wed Sep 03, 2008 8:37 pm
by jawaid badauni
Khurshidul Hasan Naiyer wrote:muHtaram Jawaid Badauni Sb
Assalaam a'laikum
ek baNde kee faryaad apne Khaliq se. bahut pasaNd aaee. Jb Muzaffar Sb ne Theek likha hai keh imaan tazah hogayaa. Allah SWT ham sab ke dil ko narm farmaae or apnaa khaaS faz^l farmae.
daad or mubaarak baad pesh hai qubool farmaaeN. Ramz^aan kee amad peh mubarak baad or dua'aa kee bhee darkhaSt hai.
aHqar
Khurshidul Hasan Naiyer.
MoHtaramee Naiyer SaaHab
aadaab
behud mamnoon hooN aap ka. waise yeh Nazm wah wah ke liye nahiN thee. yeh ek aaSee.o.KhaTakaar ke zameer ki aawaaz hai. agar mere kisee she'r ka kisee ek wahid dil per bhee aSar ho jaye jo maiN Khud ko bahut kaamyaab taSawwoor karooNga.
MuKhliS
Jawaid