Page 1 of 1

Guzarish#44 bayaad-e-AHmad faraz chand she'er pesh-e-khidmat

Posted: Tue Sep 02, 2008 9:00 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Muhtarameen o MuHtaramaat
Arbaab-e-MeHfil aur Ahbaab-e-Sukhan

Guzarish#44 ke teHat apne jaanib se chand she'er pesh-e-khidmat haiN. mulaaHiZ^ah keejiye. apnee aara' se Z^aroor nawaziye gaa.

Ghazal
Nazr AHmad Faraz

Hamaraa aek paree rukh se dostaanah huwaa!
miZaaj apnaa buree t^arH kaafiraanah huwaa!

hamaree aah-o-fuGhaaN to daroon-e-khaanah rahee
jo Zer-e-lab thaa sukhan sheher meN fasaanah huwaa!

shumaar abhee se kiye jaa rahe haiN Zakhm-e-jigar
abhee to us ka karam Sirf meHrmaanah huwaa!

bapaa nah kar sake hangaam-e-naza' aakhir-e-dam
hamaaree hastee peh Hamlah yooN qaatilaanah huwaa!

samajh sakaa nah woh meHfil meN baae'c-e-Giryah!
hamare Haal se waaqif hai jo zamaanah huwaa!

maraZ^ hazaar balaa khaez thaa tabhee ae dil!
dawaa meN laakh shafaa thee magar bhalaa nah huwaa!

kisee ke Husn-e-takhaat^ib kaa faeZ^-e-a'aam hai yeh
keh meraa t^arz-e-takallum bhee shaae'iraanah huwaa!

abhee abhee to woh aayaa thaa ban ke baad-e-Naseem!
"abhee abhee woh geyaa hai magar zamaanah huwaa"

Khuda taras hooN :Muzaffar: magar kae'ee din se
butooN se mil ke chalan kuch munaafiqaanaha huwaa!

Muzaffar A Muzaffar