Page 1 of 1

Bafarmaai'sh Jawaid Badauni SaHib!

Posted: Fri Sep 26, 2008 9:01 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Mohtarameen-o-Mohtaraamaat aadaab-o-tasleemaat!



a'zeezi Muzaffar Saahab,aadaab

aap ke KhulooS.e bekaraN ka hamesha se qaaiil hooN. Ghazal aap ko achchi lagee mujhe iskee Khushee hai. Kya hi achcha ho jo aap bhi is zameen meN chund ash'aar se nawazeN. aapki Ghazal ka muntazir hooN.

Khoosh raheN!

Jawaid Badaun
i

jaesa keh moHtaram jawaid Badauni SaaHib kee khuwaahish thee keh maiN is zameen meN chand asha'aar kahooN. to khubee-e-qismat ke bandah ne un kee khuwahish se pehle hee yeh Ghazal keh lee thee. so apnee ma'mulee se kosish lekar HaaZ^ir-e-khidmat hooN mulaHiZ^ah keejiye. agar kisee qaabil samjheeN to apnee aaraa' se naawaziye gaa.
Ghazal

Nazr-e-AHmad Faraz
1,
Naqsh-e-hastee miraa miTaa hee de!
AasmaaN! bijliyaaN giraa hee de!

2,
kiyaa khabar ab kee baar bad-e-Naseem
Ghunchah-e-Aarzu khilaa hee de!

3,
bastah lab kab talak rahooN yaa rab?
dehn ko Harf-e-mudda'aa hee de!

4,
teree muTThee meN Aaftaab sahee
mujh ko maTTee kaa ek diyaa hee de!

5,
Yaa Ilaahee hai talkh Qaed-e-Hayaat
a'rSah-e-u'mr ko ghaTaa hee de!

6,
Zindah rakhnaa hai gar mujhe maqSood
mujh se beemaar ko shifaa hee de!

7,
be neyaazee yeh teree uf taobah!
meree Halat peh muskuraa hee de!

8,
le geyaa looT kar jo Sabr-o-Qaraar
Z^abt^-e-Gham kaa woh HaoSlah hee de!

9,
kis ko furSat hai dilnawaazee kee?
Woh nah aaey gaa yeh bataa hee de!

10,
dushman-e-jaaN ko yaad kiyaa karnaa?
"ab to ae dil use bhulaa hee de"

11,
kuch zeyaadah naheeN Muzaffar ko
kushtah-e-Shab kaa khuN bahaa hee de!

Muzaffar A Muzaffar




Re: Bafarmaai'sh Jawaid Badauni SaHib!

Posted: Fri Sep 26, 2008 9:32 pm
by jawaid badauni
a'zeezi Muzaffar Saahab
aadaab

aap ka bahut bahut shikriya keh aap ne meri guzarish qubool farmayee. zameen itni asaan nahiN. phir bhi aap ne nihayat umdah ghazal se nawaza hai. tamam asha'ar hi achche haiN. is kaamyaab ghazal per meri daad qubool farmaaiye.

aapka muKhliS
Jawaid Badauni

Re: Bafarmaai'sh Jawaid Badauni SaHib!

Posted: Sun Sep 28, 2008 7:54 am
by sbashwar
Mohtram Muzaffar Saheb
:salaam:

Jawaid Saheb ki farmaish par humko ek umdra kalaam paRhne ko mila. Jawaid saheb aur aapka bohat shukria.
Sab-hi ashar bohat pasand aaye. Ek sheir par meri raye kuch yun hai:

Yaa Ilaahee hai talkh Qaed-e-Hayaat
a'rSah-e-u'mr ko ghaTaa hee de!

Islami taleemat mein lambi umr ki dua ka hukm hai taake zyada se zyada naik amal karsake.

Mukhlis
Salem Bahwar

Re: Bafarmaai'sh Jawaid Badauni SaHib!

Posted: Mon Sep 29, 2008 5:05 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram bashwar SaaHib aadaab!

Ghazal kee pazeeraee aor himmat afzaee ke liye be had mamnoon hooN. Eid kee peshgee mubarak baad bhee qubool keejiye. Allah aap ko khush rakhe. Aameen!

Ghaza par aap kee raae'e ke liye bhee nihayat mamnoon hooN mujhe ummeed hai keh aap yooN hee apnee qeematee aara' se nawaazte raheeN ge. inshAllah!

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Re: Bafarmaai'sh Jawaid Badauni SaHib!

Posted: Tue Oct 14, 2008 2:55 pm
by tahira Masood
Naqsh-e-hastee miraa miTaa hee de!
AasmaaN! bijliyaaN giraa hee de!

moHteram Muzaffar Saheb

salaam

go yeh shaer bohat ajeeb hai magar ismaiN kuch tau hai jis per daad diye baghair reh nahi paa rehi

nehaayat berjastah aur umdah

2,
kiyaa khabar ab kee baar bad-e-Naseem
Ghunchah-e-Aarzu khilaa hee de!


go yeh pehle shaer kaa tazaad hai magar phir bhi bohat a'alaa hai insaan umeed-o- naa ummeedi ke dermiyaan aisaa boht baar mehsuus kertaa hai

is per bhio daad Haazir hai


3,
bastah lab kab talak rahooN yaa rab?
dehn ko Harf-e-mudda'aa hee de!

bohat a'alaa bohat khoob!!!! =D>


4,
teree muTThee meN Aaftaab sahee
mujh ko maTTee kaa ek diyaa hee de!

=D> =D> waaaaaaaaah bohat hi a'alaa

5,
Yaa Ilaahee hai talkh Qaed-e-Hayaat
a'rSah-e-u'mr ko ghaTaa hee de!

is se ittefaaq nahin

magar mozo bohat derdnaak hai

adaaigi bohat laajawaab hai


6,
Zindah rakhnaa hai gar mujhe maqSood
mujh se beemaar ko shifaa hee de!

Aameen
Allah her beemaar ko shifaa ataa fermaaey.aameen


7,
be neyaazee yeh teree uf taobah!
meree Halat peh muskuraa hee de!

:-) achaa hai

8,
le geyaa looT kar jo Sabr-o-Qaraar
Z^abt^-e-Gham kaa woh HaoSlah hee de!

kyaa baat hai bohat a'alaa

9,
kis ko furSat hai dilnawaazee kee?
Woh nah aaey gaa yeh bataa hee de!

khooooooooooob!!!
10,
dushman-e-jaaN ko yaad kiyaa karnaa?
"ab to ae dil use bhulaa hee de"

behtreen

11,
kuch zeyaadah naheeN Muzaffar ko
kushtah-e-Shab kaa khuN bahaa hee de!

waaaaaaaaaaaaaah waah bohat a'alaa

Zaffar bhaee dilee daad HaaZir hai
=D> =D> =D>