Page 1 of 1

jo lazzat Aashnaa-e-dard-e-hijraaN hote jate haiN.

Posted: Sun Oct 05, 2008 3:54 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Yaaraan-e-meHfil aadaab!

Apnee zarrah barabar koshish le kar HaaZ^ir-e-khidmat hooN. Ummeed ahi keh aap SaaHibaan-e-e'lm-o-fan apnee qeematee aara' a se Z^aroor nawazeeN ge. peshgee shukriyah qubool keejiye.

Ghazal

jo lazzat Aashnaa-e-dard-e-hijraaN hote jaate haiN!
sar-e-kuY-e-tamannaa* woh Ghazal khuwaaN hote jaate haiN!


safeenah Doob hee jaaeY gaa ab beHr-e-t^alaat^um meN
Habaab Aasaa* Hareef-e-maoj-e-t^ufaaN hote jaate haiN!


Wohee bante haiN baae'c dosto betaabee-e-dil kaa
muHabbat meN jo nazdeek-e-raG-e-jaaN hote jaate haiN!


Chale aao bahaar aaee huee hai SeHn-e-Gulshan meN
JiGar ke daaGh ab rashk-e-GulistaaN hote jaate haiN!


muQaddar meN yahee SeHraa nawardee hai to Gham kiya hai?
GaleY kaa haar gar khaar-e-muGheelaaN hote jaate haiN!


mataae'-e-dil* jinheeN saoNpee thee maiN ne raah-e-ulfat meN
ta'ajub hai wohee Ghaarat Gar-e-jaaN hote jaate haiN!


Qeyaamat tak dikhaa sakte naheeN taaceer ulfat kee
jo kar ke e'hd-o-paemaaN ab pashemaaN hote jaate haiN!


dabistaan-e-muHabbat* meN ek aesaa daor aataa hai.
keh aoraaQ-e-kitaab-e-dil pareshaaN hote jaate haiN!


acar ba'd-e-fanaa hone laga hai jaZbah-e-dil kaa
"Woh mujh ko dafn kar ke ab pashemaaN hote jaate haiN"


JunooN meN bhee :muz^affar: hai hameeN paas-e-adab har dam!
baQadr-e-z^arf meHw-e-Husn-e-janaaN hote jaate haiN!

Muzaffar AHmad Muzaffar


sar-e-kuY-e-tamannaa*tamannaa kee galee meN
Habaab Aasaa* bulbule kee t^arH naapaae'daar, faanee, kamzoor-o-natawaaN
mataa'-e-dil*dil kee daolat
dabistaan-e-muHabbat*muhabbat kee dars gaah,

Re: jo lazzat Aashnaa-e-dard-e-hijraaN hote jate haiN.

Posted: Mon Oct 06, 2008 6:18 am
by Sohail Malik
Muzaffar bhaee salaam!

hamaisha ki tarah aap nay aik dilkash terakeeb say muraSa ghazal say nawaaza. DheroN daad qabul kijiay.

derj e zail sher kay mafhum per kuch roshni Daal dijiay

Qeyaamat tak dikhaa sakte naheeN taaceer ulfat kee
jo kar ke e'hd-o-paemaaN ab pashemaaN hote jaate haiN!





DuaoN maiN yaad rekhiay

sohail malik

Re: jo lazzat Aashnaa-e-dard-e-hijraaN hote jate haiN.

Posted: Mon Oct 06, 2008 7:08 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Biradaram Sohail Malik SaaHib aadaab!

Aap kee e'nayat hai. keh is keh itne khulooS se yaad karte haiN. aor himmat baRhaa dete haiN. shukriyah!

is she'er meN yeh kehne kee koshish kee gaee hai keh jo shakhS muHabbat meN apne meHboob se e'hd-o-pemaaN kar ke pashemaaN hotaa hai aesaa shakhS :taaceer-e-ulfat: naheeN dikhaa saktaa ya'nee woh muHabbat kaa nateejah akhaz naheeN kar saktaa ya'nee ulfat kaa phal HaaSil naheeN kar saktaa. jaesa keh aap jaante hee haiN keh taaceer ke deegar ma'nooN ke e'lawah aek mat^lab nateejah aor phal bhee hai. :taaceer-e-ulfat dikhaanaa: aek qadeem muHaawirah hai ya'nee ulfat kaa HaaSil yaa nateejah dikhaanaa. ab yeh tarkeeb gao keh raai'j naheeN lekin asatizah ne ise istema'aal kiya hai. jaesa keh Akbar Ilahabadi kee aek Ghazal ka mat^la' hai. jo zehn meN aaraha hai. keh

"jafaaeeN jheel kar taaceer ulfat kee dikhaate haiN
Hinaa kee t^arH pis lete haiN tab ham rang laate haiN"

jaesa keh a'aam t^aor par samjhaa jataa hai keh agar aek shakhS kisee kaam ke aaGhaaz se hee mayoos ho jae aor us par peshemaan bhee hone lage to woh kiyaa nateejah haaSil kar saktaa hai. z^aahir hai woh naakaam hee rahe gaa. pas taaceer-e-ulfat dikhaanaa muhabbat meN kaamyaabee HaaSil karne kee ta'beer hai. saadah alfaaz^ meN yooN kehnaa munasib ho gaa keh muHabbat meN jo shakhS e'hd-o-pemaaN karne ke ba'd pashemaaN hone lage woh muhabbat meN kaamyaabee naheeN HaaSilkar saktaa.

Allah aapko salamat raakhe Aameen!
t^aalib-e-dua'aa-e-khaaS
Muzaffar

[/color][/b][/size][/i]

Re: jo lazzat Aashnaa-e-dard-e-hijraaN hote jate haiN.

Posted: Mon Oct 13, 2008 5:48 pm
by aabarqi
Mohtaram Muzaffar Ahmad Muzaffar Sb
Aadaab o Tasleemat
Aapki yeh ustanah ghazal "Hadees e Dilbari" ke sath sath soz e duroon ki ghmmaz aur aapke tabahhur e zabaan o bayaan ki mazhar aur qadeem o jadeed asaleeb e sukhan ka ek khushnuma imtezaj hai.Allah kare zor e qalam aur ziadah.

Hai Muzaffar ki ghazal yeh Imtezaj e fikr o fan
Zau fegan hai jinke dam shama e bazm e ilm o fan
Ahmad Ali Barqi Azmi ( aabarqi.blogspot.com )

Re: jo lazzat Aashnaa-e-dard-e-hijraaN hote jate haiN.

Posted: Tue Oct 14, 2008 3:13 pm
by tahira Masood
Muzaffar Bha'ee

salaam

aik baar phir aap k kalaa per meri jaanib se dilee mubarakbaad qabuul fermaain

waisay tau her shaer alaiHdah alaiHdah daad kaa mustaHiq hai magar waqt ki kami k baaiC aisaa nahiN ker saki

ma'zerat khwaah hoN

dilee daad qabuul fermaaiN

wassalam