Page 1 of 1

meri ghazal Mushairah (October-2008)

Posted: Fri Oct 10, 2008 8:50 am
by jawaid badauni
a'zeezi Muzaffar SaaHab
aadaab

bahut din baad aap ki bazm meN apni nacheez TaraHee Ghazal leke hazir huuwa hooN. kya a'rz karooN "gham.e hastee, ghame-janaN, gham-e dauraN, gham-e dil.....". Bhaaii! miSra kbhi aasaan bhi de diya kijiye. itni muKhtaSar zameen aur KhaSee dushwaar radeef. phir bhi kuch she'r kah liye haiN.

membraan se iltmaas hai koyee she'r achcha lage tou mujhe bataaiyega zaroor.

Khair andesh,

Jawaid Badauni
--------------------------------------------------------------------------



mire zindagani saNwar jayegee
tiree ik nazar kaam kar jayegee

woh hastee bahut jispe nazaaN hai tou
woh hai Khak ik din bikhar jayegee

du’a saas ki leke dekh ai Bahu
tiree jald hi god bhar jayegee

sabhi gham tou mehmaan haiN mere ghar
khushee kya Khabar kis ke ghar jayegee

rah.e Haqq.o.eeman ko choR dey
jo kahlee hai woh jeb bhar jayegee

Thikana shab.e gham ka bus mera ghar
woh ab mujh se bachke kidhar jayegee

shahadat pe beTe ki nazaaN hai maaN
Zamanah yeh samjha tha mar jayegee

Ghazal teri beshak hai sada magar
diloN men yeh :Jawaid: utar jayegee

Re: meri ghazal Mushairah (October-2008)

Posted: Fri Oct 10, 2008 2:52 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biradaram Jawaid Badauni SaaHib tasleemaat! :-)

Aap ne farmayaa hai keh "bohot dinooN ba'd aap kee bazm meN apnee t^araHee Ghazal le ar aayaa hooN" qiblah aapkee tashreef aawaree ke liye mamnoon hooN. lekin yeh meHfil to aap kee apnee meHfil hai. balkeh yeh kehnaa durust ho gaa keh Aap bohot dinooN ba'd apnee hee meHfil meN Ghazal le kar tashreef laae haiN. yeh aap kee apnee meHfil hai aor aap aese mukhliS dostooN ke dam kham se aabaad hai. aate raheeN ge to aabaad rahe gee warnarnah "dekho to kitne sheher samundar ke ho gae"

Ab Ghazal kee jaanib aate haiN. maiN zaatee t^aor par mubaaliGhah se gureez kartaa hooN. lekin eHbaab ko mujh se yahee shikwah rehtaa hai keh shaayad maiN ta'reef-o-taoSeef ke baab meN zeyaadah likh detaa hooN. aesaa hargiz naheeN hai. maiN alfaaz^ ke chunao meN khaaSah moHtaat^ waqea' huwaa hooN. aor nihayat talaash se az^haar-e-raae'e kartaa hooN.

Aap kee Ghazal is baar bhee aap kee baaliGh naz^aree kee aae'nah daar hai. har lafz^ gaoyaa zindah hai saans le raha hai. aor har Harf apne hone kee khud gawahee de raha. aor yooN is barqee qirt^aas-e-abeeZ^ par apnee raoshanee se SadyooN ke Halqah Zan z^ulmat ke dhaarooN ko paash paash kar raha hai. hujr-o-wiSaal kaa dukh maa kee udaasee dua'aa kaa acar aor kheraat kee afaadiyat Ghurabaa parwaree GharaZ^ aesee ka'ee deegar Hassaas aor Z^arooree masaa'il se pharpoor kalam dilooN ko garmaane ke liye kaafee hai. aor zaoq-e-mut^aalia'ah kee taskeen kaa samaan bhee muhaiyyaa kar raha hai. jo qaabil-e-khiraaj-e-teHseen hai.


mire zindagani saNwar jayegee
tiree ik nazar kaam kar jayegee

Bohot Khoob Waah Waah Kiyaa baat hai! =D>

woh hastee bahut jispe nazaaN hai tou
woh hai Khak ik din bikhar jayegee

Kiya kehne Waah! Waah! =D>

du’a saas ki leke dekh ai Bahu
tiree jald hi god bhar jayegee

Waah Waah!

sabhi gham tou mehmaan haiN mere ghar
khushee kya Khabar kis ke ghar jayegee

Bohot khoob Waah waah! =D>

rah.e Haqq.o.eeman ko choR dey
jo kahlee hai woh jeb bhar jayegee

Waah!

Thikana shab.e gham ka bus mera ghar
woh ab mujh se bachke kidhar jayegee

Waah Waah!

shahadat pe beTe ki nazaaN hai maaN
Zamanah yeh samjha tha mar jayegee

Bohot Khoob Waah Waah Waah! kiyaa baat hai. =D>

Ghazal teri beshak hai sada magar
diloN men yeh :Jawaid: utar jayegee

Bohot khoob Waah Waah Waah utar gaee jee utar gaee Waah! =D>

Muzaffar A Muzaffar

Re: meri ghazal Mushairah (October-2008)

Posted: Fri Oct 10, 2008 7:52 pm
by jawaid badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Biradaram Jawaid Badauni SaaHib tasleemaat! :-)

Aap ne farmayaa hai keh "bohot dinooN ba'd aap ee bazm meN apnee t^araHee Ghazal le ar aayaa hooN" qiblah aapkee tashreef aawaree ke liye mamnoon hooN. lekin yeh meHfil to aap kee apnee meHfil hai. balkeh yeh kehnaa durust ho gaa keh Aap bohot dinooN ba'd apnee hee meHfil meN Ghazal le kar tashreef laae haiN. yeh aap kee apnee meHfil hai aor aap aese mukhliS dostooN ke dam kham se aabaad hai. aate raheeN ge to aabaad rahe gee warnarnah "dekho to kitne sheher samundar ke ho gae"

Ab Ghazal kee jaanib aate haiN. maiN zaatee t6aor par bubaaliGhah se gureez kartaa hooN. lekin eHbaab ko mujh se yahee shikwah rehtaa hai keh shaayad maiN ta'reef-o-taoSeef ke baab meN zeyaadah likh detaa hooN. aesaa hargiz naheeN hai. maiN alfaaz^ ke chunao meN khaaSah moHtaat^ waqea' huwaa hooN. aor nihayat talaash se az^haar-e-raae'e kartaa hooN.

Aap kee Ghazal is baar bhee aap kee baaliGh naz^aree kee aae'nah daar hai. har lafz^ gaoyaa zindah hai saans le raha hai. aor har Harf apne hone kee khud gawahee de raha. aor yooN is barqee qirt^aas-e-abeeZ^ par apnee raoshanee se SadyooN ke Halqah Zan z^ulmat ke dhaarooN ko paash paash kar raha hai. hujr-o-wiSaal kaa dukh maa kee udaasee dua'aa kaa acar aor kheraat kee afaadiyat Ghurabaa parwaree GharaZ^ aesee ka'ee deegar Hassaas aor Z^arooree masaa'il se pharpoor kalam dilooN ko garmaane ke liye kaafee hai. aor zaoq-e-mut^aalia'ah kee taskeen kaa samaan bhee muhaiyyaa kar raha hai. jo qaabil-e-khiraaj-e-teHseen hai.


mire zindagani saNwar jayegee
tiree ik nazar kaam kar jayegee

Bohot Khoob Waah Waah Kiyaa baat hai! =D>

woh hastee bahut jispe nazaaN hai tou
woh hai Khak ik din bikhar jayegee

Kiya kehne Waah! Waah! =D>

du’a saas ki leke dekh ai Bahu
tiree jald hi god bhar jayegee

Waah Waah!

sabhi gham tou mehmaan haiN mere ghar
khushee kya Khabar kis ke ghar jayegee

Bohot khoob Waah waah! =D>

rah.e Haqq.o.eeman ko choR dey
jo kahlee hai woh jeb bhar jayegee

Waah!

Thikana shab.e gham ka bus mera ghar
woh ab mujh se bachke kidhar jayegee

Waah Waah!

shahadat pe beTe ki nazaaN hai maaN
Zamanah yeh samjha tha mar jayegee

Bohot Khoob Waah Waah Waah! kiyaa baat hai. =D>

Ghazal teri beshak hai sada magar
diloN men yeh :Jawaid: utar jayegee

Bohot khoob Waah Waah Waah utar gaee jee utar gaee Waah! =D>

Muzaffar A Muzaffar

moHibbee Muzaffar SaaHab,
tasleemaat

aap ki daad yaqeenan baaYiSe faKh.o.masaarat hai aur is se meri himmat afzaaii bhi huuwe. yaqeenan aap ke tabsare meN aap ka khulooS shamil hota hai. warnah yeh bhi such hai keh yeh meri sada tareen GhazaloN men se ek hai jo sirf chund lamhoN ki mehnat ka nateejah hai.
mujhe Khushi hai keh Ghazal aap ko pasaNd aayee aur deegar chaupaloN meN kuch aur dostoN ne bhi isey pasaNd farmaya.

mera dil yehee chaahta hai keh meree ghazal zindagee se kuch qareeb rahe. main kuch she'r ghazal ke rung meN kahne ki koshish karta hoon magar chund ashaa'r apne andaz meN bhi kahna chaahta hooN jin maiN maiN samaj ko darpesh masaail aur ek aam insan ki zindagee per kuch likhna chahta hooN.

is zameen meN aap ki Ghazal ka intezaar hai. ummid hai kuch aur achchee ghazaleN bhi paRhne ko mileNgee.

Himmat afzaaii ke liye ek baar phir aap ka shukriya.

KhulooSkaar
Jawaid Badauni

Re: meri ghazal Mushairah (October-2008)

Posted: Sat Oct 11, 2008 8:36 am
by sbashwar
Mohtaram Jawaid Badauni Saheb
:salaam:

Ghazal sada sahi laikin pur asr hai. Aapki ye ghazal ke asha'ar bohat pasand aaye hain:

mire zindagani saNwar jayegee
tiree ik nazar kaam kar jayegee

woh hastee bahut jispe nazaaN hai tou
woh hai Khak ik din bikhar jayegee

rah.e Haqq.o.eeman ko choR dey
jo kahlee hai woh jeb bhar jayegee

shahadat pe beTe ki nazaaN hai maaN
Zamanah yeh samjha tha mar jayegee

Meri dili daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Mukhlis
Salem Bashwar

Re: meri ghazal Mushairah (October-2008)

Posted: Sun Oct 12, 2008 4:59 am
by jawaid badauni
sbashwar wrote:Mohtaram Jawaid Badauni Saheb
:salaam:

Ghazal sada sahi laikin pur asr hai. Aapki ye ghazal ke asha'ar bohat pasand aaye hain:

mire zindagani saNwar jayegee
tiree ik nazar kaam kar jayegee

woh hastee bahut jispe nazaaN hai tou
woh hai Khak ik din bikhar jayegee

rah.e Haqq.o.eeman ko choR dey
jo kahlee hai woh jeb bhar jayegee

shahadat pe beTe ki nazaaN hai maaN
Zamanah yeh samjha tha mar jayegee

Meri dili daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Mukhlis
Salem Bashwar

moHiibbee Salem Bashwar SaaHab
aadaab

ghazal ki pazeeraayee ke liye aap ka behud mamnoon hooN. ummid hai kuch aur ghazaleN bhi jald hi paRhne ko mileNgee.

ek baar phir aap ka shukriya.

muKhliS

Jawaid Badauni