Page 1 of 1

PAHLI GHAZAL

Posted: Wed Oct 22, 2008 2:05 am
by akhtaranjum
Ahl-e-bazm ko adaab!

maiN pahli ghazal kay sath hazir hooN...

Re: PAHLI GHAZAL

Posted: Wed Oct 22, 2008 6:32 am
by Mahtab Qadr
Janab Akhtar sahib salaam e masnoon

Ghazal nazarnawaz huvi, matla baraye matla hai. dosra sher khoob hai, khateeb e shahr wala sher bhi khoob hai, aur kabhi thi rukh pe nadamat bahut umdah hai, maqta bhi pasand aaya.
shukria

Mahtab Qadr

Re: PAHLI GHAZAL

Posted: Wed Oct 22, 2008 11:21 am
by munir-armaan-nasimi
akhtaranjum wrote:Ahl-e-bazm ko adaab!

maiN pahli ghazal kay sath hazir hooN...

Mohtaram Janab Akhtar Anjum Saaheb... Bazm-e-Urdu-Bandhan main aap ka tah-e-dil se khair maqdam karta hoon aur ummeed karta hoon keh aap esi tarah aate rahenge aur apni behtareen kavishoN se nawazte rahenge.

Aapki Ghazal behad pasand aayi....... Daad hazir hai. Khaas kar yeh sher.......

میری حیات کے کچھ روز و شب بھی ایسے ہیں
نہ مجح سے رویا گیا اور نہ مسکرایا گیا


Mujhe yaqeen hai keh na sirf aapke balki hum main se aksar logoN ka bhi yahi haal hoga.

Masha'Allah... behad pyara sher hai... Alla'h kar zor-e-qalam aur ziyadah...!!

Khair-andesh

Munir Armaan

Re: PAHLI GHAZAL

Posted: Wed Oct 22, 2008 4:42 pm
by jawaid badauni
akhtaranjum wrote:Ahl-e-bazm ko adaab!

maiN pahli ghazal kay sath hazir hooN...

Masha Allah, "Sahar khud hi bata deti hai runge sham kya hoga..mire aaGaaz se poocho mira anjaam kya hoga."

aap ki ghazal bahut achchi lagee. maTley ne KhuSuusan bahut mota'Assir kiya. meri daad aur mubarakbaad qubool farmaaiye.

MuKhliS

Jawaid Badauni

Re: PAHLI GHAZAL

Posted: Thu Oct 23, 2008 3:58 am
by aabarqi
Akhtar Anjum ki bahut purkaif hai" PAHLI GHAZAL"
jiske padhne se dil e muztar gaya mera BAHAL

Hain tamaam ash'aar iske mazhar e soz e Duroon
Gardish e haalaat par jo tabserah hain Barmahal

Ahmad Ali Barqi Azmi
aabarqi.blogspot.com

Re: PAHLI GHAZAL

Posted: Thu Oct 23, 2008 6:55 am
by Ehtesham Anwar
Akhtar Anjum shb kia kahnay haiN

etni khobsurat ghazal ki meri janib se dherooN daad qabool fermaiN

aur haan janab Munir Armaan shb se pochna tha kay,

senior kay liay zoray qalam aur zayada hoo.... (ye dua nahi balkay tanz hojata hay)

Khaiandaesh,
Ehtesham Anwar

Re: PAHLI GHAZAL

Posted: Fri Oct 24, 2008 12:41 am
by akhtaranjum
Akhtar Anjum ki bahut purkaif hai" PAHLI GHAZAL"
jiske padhne se dil e muztar gaya mera BAHAL

Hain tamaam ash'aar iske mazhar e soz e Duroon
Gardish e haalaat par jo tabserah hain Barmahal
Ahmad Ali Barqi Azmi
aabarqi.blogspot.com

janaab AA BARQI AZMI sahib adaab!
gazal aapko pasans aayi yaqinan ye aapkay husnay nazar ka kamaal hay warna ghazal itni khoobsurat kahaaN
janaab barqi sahib aapki khidmat maiN aik she'r

ik umr iztiraab-e-musalsal maiN kat gayee
baithay kaheeN na uth'kay teraiy saNge'dar say ham


khair andaish
akhtar anjum

Re: PAHLI GHAZAL

Posted: Fri Oct 24, 2008 1:08 am
by akhtaranjum
jawaid badauni"][quote="akhtaranjum"]Ahl-e-bazm ko adaab!

maiN pahli ghazal kay sath hazir hooN...




janaab jawaid badauni sahib taslimaat!
aapki daad nay himmat ko aor baland kiya agar ehl-e-bazm isii tarha sarah'tay rahay tao inshaa'allah daosari ghazal bahi bohut jald aapkay saamnay hogi
aapki khidmat maiN dao ash'aar..


ham say aawara-o-badhaal zamaanay bhar maiN
kisko daitay haiN sada aapko maloom nahiN..


apnay anjaam kay baray maiN khabar hay hamko
apna anjaam hay kia aapko maloom anhiN..
wassa'laam

KKHTAR ANJUM

Re: PAHLI GHAZAL

Posted: Sun Oct 26, 2008 6:08 am
by sbashwar
Mohtaram Akhtar Anjum Saheb
:salaam:

Sabse pehle main iss bazm mein dili isteqbal karta houn.
Kya kehne, bohat hi umda ghazal kahi aapne. har sheir alehida alehida daad ke qabil hai. khateeb-e-shehr.... bohat khoob.

Meri daad aur mubarakbaad qubool farmaye.

Khush-amdeed
Aapka muhlis
Salem Bashwar

Re: PAHLI GHAZAL

Posted: Sun Oct 26, 2008 10:04 pm
by akhtaranjum
muhtaram janaab saleem bashwar sahib adaab!
aapki daad nay mairi himmat bandhaayii aap jaisay she'r fehm adab daosat hazraat agar kisi ko daad dayiN tao wo ik sanad hay urdu bandhan ka ho sakta hay keh ah'qar mustaqil member bhi ho jai
mairi taraf say salaam qubool ho
aur dhairoN duaai'eiN aapkao aor ahbaab-e-bazm ko
mukhlis
Akhtar Anjum

Re: PAHLI GHAZAL

Posted: Sun Oct 26, 2008 10:11 pm
by akhtaranjum
muhtarmi ehttesham anwer adaab!
janaab nay ghazal paRhi tabsara farmaya shukria
ghazal ki pasan'deedgi ka bhi shukria qubool farmayie umeed hay aayinda bhi mairi ghzal par tabsara farmaayiNgay
duaa go
AKHTAR ANJUM

Re: PAHLI GHAZAL

Posted: Sun Oct 26, 2008 10:23 pm
by akhtaranjum
JANAAB MUNIR ARMAAN SAHIB ADAAB !
aapnay ghazal ki taa'reef maiN jo kuch kaha ACCHA KAHA hay
daad dainay ka bay'had shukria
duaa'go
AKHTAR ANJUM

Re: PAHLI GHAZAL

Posted: Sun Oct 26, 2008 10:29 pm
by akhtaranjum
janaab mahtaab qdr sahib slaam!
mairi ghazal aapko pasand aayi aor aapnay iska izhaar bohut mahabbat aur khuloos say kia
jazaak allah
shukria

AKHTAR ANJUM