Page 1 of 1
AIK GHAZAL AHBAB KI NAZR
Posted: Wed Oct 22, 2008 2:16 am
by afzalshah
Aap ahbab ki nazr aik ghazal ra'ay ka muntazir rahonga
Afzal shah
Re: AIK GHAZAL AHBAB KI NAZR
Posted: Wed Oct 22, 2008 6:27 am
by Mahtab Qadr
Salam e masnoon
Afzal shah sahib
aap ki ghazal ka her sher apni tarakeeb aur fikr ke aitebaar se bahut pasand aaya. bataur e khas matla ,sher no. 2, 5 ,7, aur maqta bahut ziada achcay lage.
sher no. 4 ke pahle misre mai typing error mahsoos hoti hai, ghaleban misra yoN tha
vo kaun be adab tha kal mai kaday mai saqi
typing mai saqi se pahle mai rah gaya hai isay durust farma kar dobara attach kardeiN to ye masala wazeh ho jayega.
shukria
Re: AIK GHAZAL AHBAB KI NAZR
Posted: Wed Oct 22, 2008 11:46 am
by munir-armaan-nasimi
afzalshah wrote:Aap ahbab ki nazr aik ghazal ra'ay ka muntazir rahonga
Afzal shah
Masha'Allah Afzal Shah Saaheb... Kya Shaandaar Ghazal kahi hai... ek ek sher pe be-sakhta Daad dene ko jee chaahta hai. Magar ek baat meri samajh main nahin aayi........
main khud to bach ke nikla tairaak chhod aaya;
Kya kehna chaahte hain aap? Baat meri samajh main nahin aayi.
Kya shair itna khud-garz bhi ho sakta hai keh khud ko bachaa le aur apne "tairaak" ko manzdhar main.......
Dont mind.
Munir Armaan
Re: AIK GHAZAL AHBAB KI NAZR
Posted: Wed Oct 22, 2008 4:32 pm
by jawaid badauni
afzalshah wrote:Aap ahbab ki nazr aik ghazal ra'ay ka muntazir rahonga
Afzal shah
moHtarmee Afzal Shah SaaHab
aadaab
Khush aamdeed. nihayat Gair riwaayatee andaz ki Ghazal se nawazah hai aap ne. achhci lagee. meree daad qubool kijiye.
Chauthey sher ke misraa.e oolah meN saqee lafz se qabl "meN" lafz type hone se rah gaya hai. dursust kar lijiyega.
ummid aap se mulaqqat hoti rahegee.
MuKhliS
Jawaid Badauni
Re: AIK GHAZAL AHBAB KI NAZR
Posted: Thu Oct 23, 2008 5:08 am
by aabarqi
Mohtaram Afzal shah Sb
Assalam o Alaikum
Aapki yeh pukaif aur sahar angez ghazal ahle nazar ke liye dawat e fikr o amal hai. Aapke ashhab e qalam ki jaulaniyaan layaq e taseen o sataish hain.Aake kalam ki dilaavezi is zaban zad e khaas o aam Farsi sher ki misdaq hai ki :
Ze farq ta be qadam har kuja ki minigareem
Karishmeh daaman e dil mikashad ki ja injaast
Ahmad Ali Barqi Azmi
aabarqi.blogspot.com
Re: AIK GHAZAL AHBAB KI NAZR
Posted: Thu Oct 23, 2008 6:38 am
by Ehtesham Anwar
Bhaai Afzal SHah
bohat hi khobsurat ghazal ki meri janib se behad mubarak bad qabol fermaeN....
Ehtesham Anwar
Re: AIK GHAZAL AHBAB KI NAZR
Posted: Thu Oct 23, 2008 12:52 pm
by afzalshah
munir-armaan-nasimi wrote:afzalshah wrote:Aap ahbab ki nazr aik ghazal ra'ay ka muntazir rahonga
Afzal shah
Masha'Allah Afzal Shah Saaheb... Kya Shaandaar Ghazal kahi hai... ek ek sher pe be-sakhta Daad dene ko jee chaahta hai. Magar ek baat meri samajh main nahin aayi........
main khud to bach ke nikla tairaak chhod aaya;
Kya kehna chaahte hain aap? Baat meri samajh main nahin aayi.
Kya shair itna khud-garz bhi ho sakta hai keh khud ko bachaa le aur apne "tairaak" ko manzdhar main.......
Dont mind.
Munir Armaan
aadab arz janab Munir Armaan sahib
aap ney aur ehbaab ne meiN rehjaney kii taref tawajjuh dilai
yeh jaldi meiN rehgaya shukriya!
seedhi sii baat hey mujhey teirna nahiN aata
teirak mahir hey voh samander ya dariya ki teh meiN
jaker aap ki phenki houi koi cheez uTha k aap ko
laker desakta hey ager aap muSr heiN k meiN bachney
k bajaye DoobjaouN to aisa bhi hojaeyga mager
phir aap ko aisi shairi paRhney ko nahiN milegii
kya kehtey heiN aaNjanab!
afza shah 8)
Re: AIK GHAZAL AHBAB KI NAZR
Posted: Sun Oct 26, 2008 6:15 am
by sbashwar
Mohtaram Afzal Shah Saheb
Aapka iss bazm mein teh-dil se isteqbal kiya jaata hai. Hamein qavi ummid hai aapki aamad iss bazm ki raunaq baRhaiyegi.
Mitti ke maqbare mein, mein khak choR aaya
mein roh tha nikla so poshak choR aayaa
Jaab kiya kehne, ek umda ghazal kehne par meri dili daad aur mubarakbaad arz hai.
Aapka muhlis
Salem Bashwar
Re: AIK GHAZAL AHBAB KI NAZR
Posted: Sun Oct 26, 2008 8:42 pm
by afzalshah
muhtaram janaab AA BARQI AZMI sahib adaab!
saocdhta hooN keh kin lafzoN say aap ka shukria ada karooN jo aap kay shayaan-e-shaan bhi hoN aur khoobsurat bhi
mairay khayaal say sinf-e-shai;ri maiN pukhtagi,sacchaa'eii aur khoobsurati ka taa'alluq shaa'eir ki insaan doasti ,sacchaa'eii aur zindagi kay nashaib-o-faraaz say aagahii hay
khususan kisi bhi shaobay maiN asaatiza karaam ka ehtaraam zaroor hay
so mujhay apnay asaatiza par bay'intehaa naaz hayu
awwal,,,.....zill-ur- rahaman khaN [rahman khawer]
doim,,,,......naseer-ullah khaN [naseer koti]
jinkii ilmi baseerat nay mujhay iss qabil kiya keh aaj maira kalaam ahbaab kay saamnay hay
himmat afzaa'ei par ahbaab ka tah-e-dil say mamnoon haoN
mazeed raiy ka muntazir
AFZAL SHAH
[/color]
Re: AIK GHAZAL AHBAB KI NAZR
Posted: Sun Oct 26, 2008 11:17 pm
by akhtaranjum
HAZRAT AFZAL SHAH
MIYAN BOHUT UMDA GHAZAL KAHI HAY AOR BOHAT SARI DAD BHI QABOL FARMA'EYE JII CAHATA HAY KEH AAP KAY HAR SHE'R KI ALAG ALAG TARIF KI JAEY
BHAI AFZAL AHAH MOBARAK HO
APNAY JIS ANDAAZ SAY APNAY ASAATIZA KI BArA'EII KO UJAAGAR KIA HAY
QABIL-E-SATAA'EISH HAY AOR ACCHI BAAT HAY KEH HAMAISHA ASAATIZA KI IZZAT KO MALHOOZ-E-KHAATIR RAKKHA JAI
TAO KABHI NAKAAMI NAHIn HOGI
DUAA'GO
AKHTAR ANJUM
Re: AIK GHAZAL AHBAB KI NAZR
Posted: Sun Oct 26, 2008 11:52 pm
by afzalshah
sbashwar wrote:Mohtaram Afzal Shah Saheb
Aapka iss bazm mein teh-dil se isteqbal kiya jaata hai. Hamein qavi ummid hai aapki aamad iss bazm ki raunaq baRhaiyegi.
Mitti ke maqbare mein, mein khak choR aaya
mein roh tha nikla so poshak choR aayaa
Jaab kiya kehne, ek umda ghazal kehne par meri dili daad aur mubarakbaad arz hai.
Aapka muhlis
Salem Bashwar
janaab saleem bashwar sahib salaam-e-masnoon!
aap nay mujhay shaamil-e-bazm haonay par jis khuloos aor mahabbat ka izhaar farmaaya hay
wo mairay li'ye anmaol tohfa hay
jahaN tak ghazal ki baat hay tao us maiN bhi huzoor ki bass wasi-un-nazari hay keh aapnay pasand ki oar qabil-e-daad bhi samjha jis say mairi haosala afzaa'eii hu'yii
urdu bandhan kay ahbaab ki khidmat maiN inshaa'allah jald hii doosari ghazal bhi paish karoNga
ahbaab ki raaye ka muntazir rahoNga
wassalaam
AFZAL SHAH
Re: AIK GHAZAL AHBAB KI NAZR
Posted: Mon Oct 27, 2008 1:12 am
by afzalshah
janaab mahtaab qadr sahab adaab arz!
aapnay mairi ghazal paRhi aor daad-o-tahseen say nawaaza janaab ka tah-e-dil say shukria ada karta hoN
aap nay isay qabil-e-izhaar samjha jis say mairay haosalay baland huye
jazaak allah
umeed hay keh aainda bhi karam farmaatay rahaiNgay
mukhlis
AFZAL SHAH
Re: AIK GHAZAL AHBAB KI NAZR
Posted: Mon Oct 27, 2008 2:11 am
by afzalshah
jawaid badauni wrote:afzalshah wrote:Aap ahbab ki nazr aik ghazal ra'ay ka muntazir rahonga
Afzal shah
moHtarmee Afzal Shah SaaHab
aadaab
Khush aamdeed. nihayat Gair riwaayatee andaz ki Ghazal se nawazah hai aap ne. achhci lagee. meree daad qubool kijiye.
Chauthey sher ke misraa.e oolah meN saqee lafz se qabl "meN" lafz type hone se rah gaya hai. dursust kar lijiyega.
ummid aap se mulaqqat hoti rahegee.
MuKhliS
Jawaid Badauni
muhtaram janaab Jawaid Badauni sahab
salaam-e-masnoon!
aapnay bhi ghair riwaayatee andaaz maiN mukkammil khulooos kay saath mairi haosala afzaayii kii
jis ka maiN tah-e-dil say mamnoon haoN
umeed hay keh aaynda bhi karam farmaatay rahaiNgay
aor raa'ye bhi daiNgay
mukhlis
afzal shah
Re: AIK GHAZAL AHBAB KI NAZR
Posted: Mon Oct 27, 2008 7:16 pm
by sajhashmi
Afzal Shah ka mat`laA maiN maiN k baad Rooh Poshak sabb mubham lagta hey
ghaliban inn k zehn meiN ustaad Mushtaq Shabnam ka sheir mehfooz nah hoga?
BADEN MEIN QAID REHTI ROOH KABB TEK
PARINDAH URR GAYA PINJRAH PARA HEY
YEH sheir Mushtaq Sahib k aaneywaley majmooey SHUNIDAH NASHUNIDAH meiN mojoud hey
unn ki tadfeen k waqt Naseer Koti,Akhtar Anjum,Ehtesham Anwer ,raqim sabb hi issey dohrarahey thay
ager yeh tawarudd hey to khoob hey mager Mushtaq Shabnem marhoom k sheir ki kiya baat hey
baherhaal Ghazal k baaqi ash`ar Afzal Shah ki upach,fikri irtiqa aur justujoo wa lagen k aainahdar
heiN
mashq bahem rehjaiye to achcha sheir nikel ker aajaiyega
duago
sajhashmi
Re: AIK GHAZAL AHBAB KI NAZR
Posted: Sat Dec 27, 2008 3:30 am
by afzalshah
muhtaram sajhasmi sahib
umeeed -e-wasiq hay keh aap khair say hoNgay
ustaad mushtaaq shabnam sahib wqa'ee bohut baRay aor ustaad shayer thay
wesay to is say qabl mwenay ye she'r nah paRha tha nah suna tha jahaN tak meray ustaad ka ta'alluq hay
to unhoN nay aaj tak esa nahiN kia jis say kisi ko bhi kabhi bhi koee etiraaz ho aor na hi wo apnay kisi shaagird ko misray likh kar daitay haiN mairay ustaad ko jitnay ashaar yaad haiN shayed aapko uska bar'hawaN hissah bhi yaad nah ho
mushtaaq sahib chuN'keh maroof haiN missal kay taor par agar unka she'r kisi ko yaad nah ho to phir kis ka ho
aor phir mujh kam nazar kay she'r ko aap nay itnay baRhay shayer kay she'r say mansoob kar kay apni apni hairaan kun mizaaj aor rawwish ka izhaar kia hay
mushtaaq sahib jesa sher nah maiN keh sakta hooN nah aap
unka har she'r bolata hay keh maiN takhleeq-e-mushtaaq hooN meray matlay maiN aap nay kkhud kaha keh aghlaat haiN to ye kesa tawwarrud huwa
aik maiN hi nahiN dunya k har shayer kay khayalaat kisi nah kisi say barha takraatay haiN
aap bhi daikhiayga koi nah koi she'r aapka bhi esa hoga
nishaandahi karnay par aap ka shukria
phir bhi khush rahaiN
aapnay kalaam ko pasand kia paziraayii dii shukria
umeed hay karam farmaatay rahaingay
aapka maddaah
ahqar
afzal shah