Page 1 of 1

dil ke zakhmoN pe....

Posted: Sun Feb 27, 2005 11:15 pm
by asad
Adab dostoN! :-)
nacheez aap ki bazm meiN pehli martaba apni kaavish (urdustan pe diye gaye tarahi misre' pe) le kar haazir hua hai, aap ki qeemati aara ka intezar rahega


---------------------------------------------------------
dil ke zakhmoN pe barchee chalane lage!
:aap bhi mujh pe tohmat lagane lage:!!

muskuraa kar vo nazreN jhukaane lage
shola-e-ishq kee lau baRhaane lage!!

dasht-e-furqat meiN vo choR aaye hameN
un se milne meiN ham ko zamaane lage

aaj shokhee kisee kii jo dekhee to, phir
merii nazroN meiN tum jhilmilaane lage

chehra apnaa khud aksar lagaa ajnabee
apne qisse hameN khud fasaane lage

imtehaan-e-muHabbat kii Had hai koii
aa ke baithe qareeN! aazmaane lage!!

haal-e-dil Ghair ko kal sunate the vo
raaz-e-dil aaj ham ko bataane lage

aashiqee ko samjhtaa hai jo dillagee
jaane kyaa ho agar dil lagaane lage!

aik manzil thi vo , aik tuu hai ajal!
tuune rakkha bharam, ham thikaane lage

uss k tevar se ghabraake dekho : Asad:
naaz zaalim ke kaise uthaane lage!


------------------------------------------------------------

Posted: Mon Feb 28, 2005 8:35 am
by fatimah
aslaam_u_alikam

asad sahib aap ki gazal behad pasand aayii.
sabhii ashaar bohat khub kahey hain aap ney.
dheeron daad qubool kijiye.
shukriya

Re: dil ke zakhmoN pe....

Posted: Mon Feb 28, 2005 1:05 pm
by tahira Masood
asad wrote:Adab dostoN! :-)
nacheez aap ki bazm meiN pehli martaba apni kaavish (urdustan pe diye gaye tarahi misre' pe) le kar haazir hua hai, aap ki qeemati aara ka intezar rahega


---------------------------------------------------------
dil ke zakhmoN pe barchee chalane lage!
:aap bhi mujh pe tohmat lagane lage:!!

muskuraa kar vo nazreN jhukaane lage
shola-e-ishq kee lau baRhaane lage!!

dasht-e-furqat meiN vo choR aaye hameN
un se milne meiN ham ko zamaane lage

aaj shokhee kisee kii jo dekhee to, phir
merii nazroN meiN tum jhilmilaane lage

chehra apnaa khud aksar lagaa ajnabee
apne qisse hameN khud fasaane lage

imtehaan-e-muHabbat kii Had hai koii
aa ke baithe qareeN! aazmaane lage!!

haal-e-dil Ghair ko kal sunate the vo
raaz-e-dil aaj ham ko bataane lage

aashiqee ko samjhtaa hai jo dillagee
jaane kyaa ho agar dil lagaane lage!

aik manzil thi vo , aik tuu hai ajal!
tuune rakkha bharam, ham thikaane lage

uss k tevar se ghabraake dekho : Asad:
naaz zaalim ke kaise uthaane lage!


------------------------------------------------------------
Mashallah aik nahaayat khoobsurat kalaam manzoom kiyaahai aaap nae. dilee daad aur mubarakbaad qabul fermaaiN.

Bahut khoob

Posted: Tue Mar 01, 2005 6:01 am
by Abdullah Nazir

Janab
[Asad MS Saahib,


Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houii. Saare ashAar bahut hii dilkash heiN.

Meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,

Nazir.


Posted: Tue Mar 01, 2005 7:02 am
by Raji
asad wrote:

muskuraa kar vo nazreN jhukaane lage :-)
shola-e-ishq kee lau baRhaane lage!! :C
nice

aaj shokhee kasuu kii jo dekhee to, phir
merii nazroN meiN TUM jhilmilaane lage :cry:
nice

haal-e-dil Ghair ko kal sunate the vo
raaz-e-dil aaj ham ko bataane lage :evil:
bohat khoob :)

aashiqee ko samjhtaa hai jo dillagee
jaane kyaa ho agar dil lagaane lage! :shock:
khoob

aik manzil thi "VO" :cry: , aik tuu hai ajal!
tuune rakkha bharam, ham thikaane lage!! :cry:
superb



----------------------------------------------------------------
Asad saaHeb majmooii taur par aap ka kalam pasand aaya aur quoted ashaar khoob lage so daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

Khair andesh

Zahida Raees :Raji:

Posted: Sun Mar 13, 2005 9:01 pm
by asad
Fatima Sahiba Adab!
ghazal ki pazeerai ke liye aap ka mamnoon hooN!
shukria!

niyaazmaNd
asad

Posted: Sun Mar 13, 2005 9:08 pm
by asad
Tahira Sahiba Adab!
zarranavaazee ke liye aap ka tah-e-dil se mamnoon hooN!
bohat shukria!

niyaazmaNd
asad

Posted: Sun Mar 13, 2005 9:15 pm
by asad
Mohtaram Janab Nazir Sahib Adab!
hausla afzaai ke liye aap ka behad shukrguzaar hooN. aap ki duayeN aur mohabbateN haiN.....varna khaaksaar kis qaabil hai!

talib-e-dua
asad

Posted: Sun Mar 13, 2005 9:30 pm
by asad
Raji Sahiba :Adab!
mere paas le de ke vuhee ghisaapitaa lafz hai! :-)
aap kee baRee inaayt hai k aap ne na sirf yahaN bal.k aur mehfiloN meiN bhi is naa.ahl ki hauslaa-afzaai farmaayee.
meraa dilii shukria qubool farmaaeN.

niyaazmaNd
asad

Posted: Sun Mar 13, 2005 9:34 pm
by asad
Sara Sahiba Adab!
umeed hai mizaaj bakhair hoNge!
aap ko agar ek bhi sher pasand aa gayaa to samajhiye mehnat vsool huyee! :-)
bohat shukria!

niyaazmand
asad

bohot khoob

Posted: Mon Mar 14, 2005 5:25 am
by Safiya
Asad saahab

Bohot hi khoobssorti se girah baandhi haiy aapne, ghazal ka har sheyr khoob-dar-khoob haiy

maghar ye kuch ziyada pasand aayen hain

dasht-e-furqat meiN vo choR aaye hameN
un se milne meiN ham ko zamaane lage

chehra apnaa khud aksar lagaa ajnabee
apne qisse hameN khud fasaane lage

aashiqee ko samjhtaa hai jo dillagee
jaane kyaa ho agar dil lagaane lage!

bohot bohot mubarakbaad, Allah kare zor-e-kalaam aur ziyada.....

Safiya

Posted: Fri Mar 18, 2005 8:30 pm
by asad
Safiya Sahiba Adab!
aap ka tah-e-dil se mamnoon hooN ke aap ne ghazal kee yooN pazeerai kee.
bahot bahot shukria!

khairaNdesh
asad